Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Siraj Aurangabadi

سراج اورنگ آبادی

1712–1764Born in AurangabadDied in Aurangabad

Sayyid Sirajuddin, known as Siraj Aurangabadi, was a Sufi poet of the Deccan who spent his life in his home city. He wrote first in Persian, then in Urdu, and gave up poetry as a young man at the instruction of his spiritual guide. His Kulliyat holds ghazals and the masnavi Bostan-e-Khayal, and he compiled a selection of Persian poets. His ghazal Khabar-e-Tahayyur-e-Ishq has been sung by Abida Parveen.

Writes about

  • Love
  • Mysticism
  • Self-forgetting

Poems

Meter
  1. dil meñ ḳhayālāt rangīñ guzarte haiñ jyūñ bās phūloñ ke rangoñ meñ rahiyevahshat ke jangal meñ kab lag pareshāñ ho ġham ke bhāroñ ke sangoñ meñ rahiye
  2. dil-e-nādāñ mirā hai be taqsīrzab.h karte ho os kūñ be takbīr
  3. din badan ab lutf terā ham pe kam hone lagāyā to thā vaisā karam yā ye sitam hone lagā
  4. do rangī ḳhūb na.īñ yak rang ho jāsarāpā mom ho yā sang ho jā
  5. dekhā hai jis ne yār ke ruḳhsār kī tarafhargiz na jāve sair kūñ gul zār kī taraf
  6. rishte meñ tirī zulf ke hai jān hamārābe jā nahīñ sumbul ke ūpar mān hamārā
  7. zulf-e-mushkyun-e-yār qahrī haikyā qayāmat kā nāg zahrī hai
  8. sarv gulshan par suḳhan is qad kā bālā ho gayāhar nihāl is sharm sīñ jangal kā pālā ho gayā
  9. suno to ḳhūb hai ṭuk kān dhar merā suḳhan pyāreke āshiq par na honā is qadar bhī dil kaṭhin pyāre
  10. sune rātoñ kūñ gar jangal meñ mere ġham kī vāvailātū majnūñ qabr sīñ uṭh kar pukāre āh yā lailā
  11. sīmāb jal gayā to use gard boliyeāshiq fanā huā to use mard boliye
  12. sīna sāfī kī hai jise ainakis kūñ dīdār-e-yār hai be shak
  13. sharbat-e-vasl pilā jā lab-e-shīrīñ kī qasamjān jātā hai mirā sūra-e-āsīñ kī qism
  14. sanam jab chīra-e-zar tār bāñdhejhalak sīñ kūcha-o-bāzār bāñdhe
  15. sanam ḳhush taba.iyāñ sīkhe ho tum kin kin zarīfoñ sīñke ye lutf adā ma.alūm hotā hai latīfoñ sīñ
  16. sanam hazār huā to vahī sanam kā sanamke asl-e-hastī nābūd hai adam kā adam
  17. zālim mire jigar kūñ kare kyūñ na phānk phānksīkhā hai vo nigah kā piṭā aur adā kā bānk
  18. ālam ke dostoñ meñ muravvat nahīñ rahīsharm-o-hayā-o-mehr-o-shafqat nahīñ rahī
  19. ushshāq kā dil dāġh kā andāza huā mahzpeshānī dilbar pe ajab ġhāza huā mahz
  20. ishq kī jo lagan nahīñ dekhāvo bira kī agan nahīñ dekhā
  21. ishq meñ ā ke aql kūñ khonāñbāḳhirad ho ke be ḳhirad honāñ
  22. ishq meñ avval fanā darkār haidil sīñ tark-e-māsivā darkār hai
  23. ishq ne ḳhūñ kiyā hai dil jis kāpāra-e-la.al ashk hai tis kā
  24. amal sīñ mai parastoñ ke tujhe kyā kām ai vā.izsharāb-e-shauq kā tū ne piyā naiñ jām ai vā.iz
  25. ġham-e-āhista ro yāñ rafta raftakyā hai mujh kūñ hairāñ rafta rafta
  26. ġham kī jab sozish sīñ mahram hove gāchashma-e-ḳhurshīd shabnam hove gā
  27. ġham ne bāñdhā hai mire jī pe khulā hā.e khulāphir na.e sar saitī ā.ī hai balā hā-e-balā
  28. fajr uṭh yār kā dīdār kiranāñshab-e-hijrāñ kā dukh iz.hār-e-kiranāñ
  29. fidā kar jān agar jānī yahī haiare dil vaqt-e-be jānī yahī hai
  30. fasl-e-gul kā ġham-e-dil nāshād par bāqī rahāhashr lag ye muzlima sayyād par bāqī rahā
  31. qad tirā sarv-e-ravāñ thā mujhe ma.alūm na thāgulshan-e-dil meñ ayāñ thā mujhe ma.alūm na thā
  32. kāfir huā hūñ rishta-e-zunnār kī qasamtujh zulf halqa dār ke har tār kī qasam
  33. kabhī tum mol lene ham kūñ hañs hañs bhā.o karte hokabhī tīr-e-nigāh-e-tund kā barsā.u karte ho
  34. kal sīñ be kal hai mirā jī yār kūñ dekhā na thākyūñ na hove betāb dil dil dār kūñ dekhā na thā
  35. kaun kahtā hai jafā karte ho tumshart-e-ma.ashūqī vafā karte ho tum
  36. kahāñ hai gul badan mohan pyārāke jyūñ bulbul hai nālāñ dil hamārā
  37. kyā balā sahar haiñ sajan ke nainhai ḳhajil jis ange hiran ke nain
  38. kyā balā kā hai nasha ishq ke paimāne meñkoī hoshyār nahīñ aql ke kāshāne meñ
  39. kiyā ġham ne sarāyat be nihāyatkarūñ kis sīñ shikāyat be nihāyat
  40. kyūñ tire gesū kūñ gesū bolnāñdil meñ ātā hai ke shabū bolnāñ
  41. gul ruḳhoñ ne kiye haiñ sair kā ṭhāṭgulshan ābād kā bharā hai hāṭ
  42. mān mat kar āshiq-e-be tāb kā armān mānjān kar anjān mat ho maj kūñ to be jān jān
  43. mā.il hūñ gul badan kā mujhe gul sīñ kyā ġharazkākul meñ us ke band hūñ sumbul sīñ kyā ġharaz
  44. majlis-e-aish garm ho yārabyār agar hove sham-e-bazm-e-tarab
  45. mujh par ai mahram-e-jāñ parda-e-asrār kūñ kholḳhvāb-e-ġhaflat sīñ uṭhā dīda-e-be dār kūñ khol
  46. mujh dard sīñ yār āshnā na.īñshāyad ke kisī kā mubtalā na.īñ
  47. mujh sīñ ġham dast-o-garebāñ na huā thā so huāchāk sīne kā numāyāñ na huā thā so huā
  48. mahram-e-dil huā vo sahrā vākar ke ma.alūm vālahu-o-rusvā
  49. maḳhmūr chashmoñ kī tabrīd karne kūñ shabnam hai sardāb shoroñ kī mānindrope ke thāle safedī hai nargis kī zardī hai zar ke kaṭoroñ kī mānind
  50. mirā dil ā gayā jhaṭ paṭ jhapaṭ meñhavā luṭ paṭ lipaṭ zulfoñ kī luṭ meñ