Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Mohsin Naqvi

محسن نقوی

1947–1996

Poems

Meter
  1. āp kī ānkh se gahrā hai mirī rūh kā zaḳhmāp kyā soch sakeñge mirī tanhā.ī ko
  2. ab ke bārish meñ to ye kār-e-ziyāñ honā hī thāapnī kachchī bastiyoñ ko be nishāñ honā hī thā
  3. ab vo tūfāñ hai na vo shor havā.oñ jaisādil kā ālam hai tire ba.ad ḳhalā.oñ jaisā
  4. ab ye sochūñ to bhanvar zehn meñ paṛ jāte haiñkaise chehre haiñ jo milte hī bichhaṛ jāte haiñ
  5. itnī muddat ba.ad mile hokin sochoñ meñ gum phirte ho
  6. ujaṛ ujaṛ ke sañvartī hai tere hijr kī shāmna pūchh kaise guzartī hai tere hijr kī shām
  7. ujṛe hue logoñ se gurezāñ na huā karhālāt kī qabroñ ke ye katbe bhī paṛhā kar
  8. ashk apnā ke tumhārā nahīñ dekhā jātāabr kī zad meñ sitārā nahīñ dekhā jātā
  9. agarche meñ ik chaṭān sā ādmī rahā hūñmagar tire ba.ad hausla hai ke jī rahā hūñ
  10. ek pal meñ zindagī bhar kī udāsī de gayāvo judā hote hue kuchh phūl bāsī de gayā
  11. bichhaṛ ke mujh se ye mashġhala iḳhtiyār karnāhavā se ḍarnā bujhe charāġhoñ se pyār karnā
  12. banām tāqat koī ishāra nahīñ chalegāudās nasloñ pe ab ijāra nahīñ chalegā
  13. bhiṛkā.eñ mirī pyās ko aksar tirī ānkheñsahrā mirā chehrā hai samundar tirī ānkheñ
  14. phir vahī maiñ hūñ vahī shahr badar sannāṭāmujh ko ḍas le na kahīñ ḳhāk basar sannāṭā
  15. tire badan se jo chhū kar idhar bhī ātā haimisāl-e-rang vo jhonkā nazar bhī ātā hai
  16. jab se us ne shahr ko chhoṛā har rasta sunsān huāapnā kyā hai sāre shahr kā ik jaisā nuqsān huā
  17. jab hijr ke shahr meñ dhūp utrī meñ jāg paṛā to ḳhvāb huāmirī soch ḳhizāñ kī shāḳh banī tirā chehra aur gulāb huā
  18. jugnū guhar charāġh ujāle to de gayāvo ḳhud ko ḍhūñḍne ke havāle to de gayā
  19. ḳhumār mausam ḳhushbū had chaman meñ khulāmirī ġhazal kā ḳhazāna tire badan meñ khulā
  20. ḳhud apne dil meñ ḳharāsheñ utārnā hoñgīabhī to jāg ke rāteñ guzārnā hoñgī
  21. zikr-e-shab-e-firāq se vahshat use bhī thīmerī tarah kisī se mohabbat use bhī thī
  22. zabāñ rakhtā hūñ lekin chup khaṛā hūñmaiñ āvāzoñ ke ban meñ ghar gayā hūñ
  23. zaḳhm ke phūl se taskīn-e-talab kartī haiba.az auqāt mirī rūh ġhazab kartī hai
  24. sāre lahje tire be zamāñ ek maiñis bhare shahr meñ rā.īgāñ ek maiñ
  25. sānsoñ ke is hunar ko na āsāñ ḳhayāl karzinda hūñ sā.atoñ ko maiñ sadiyoñ meñ ḍhāl kar
  26. ajīb ḳhauf musallat thā kal havelī parlahū charāġh jalātī rahī hathelī par
  27. azāb-e-dīd meñ ānkheñ lahū lahū kar kemaiñ sharmsār huā terī justujū kar ke
  28. ġhazloñ kī dhanak oṛh mire shola badan tohai merā suḳhan to mirā mauzū-e-suḳhan to
  29. fazā kā habs shagūfoñ ko bās kyā degābadan darīda kisī ko libās kyā degā
  30. qatl chhupte the kabhī sang kī dīvār ke bīchab to khulne lage maqtal bhare bāzār ke bīch
  31. kaṭhin tanhā.iyoñ se kaun khelā meñ akelābharā ab bhī mire gā.oñ kā mela meñ akelā
  32. kis ne sang-e-ḳhāmushī pheñkā bhare bāzār parik sukūt-e-marg tārī hai dar-o-dīvār par
  33. laboñ pe harf rajaz hai zira utār ke bhīmaiñ jashn-e-fat.h manātā hūñ jang hār ke bhī
  34. mārka ab ke huā bhī to phir aisā hogātere dariyā pe mirī pyās kā pahra hogā
  35. maiñ chup rahā ke zahr yahī mujh ko rās thāvo sang lafz pheñk ke kitnā udās thā
  36. maiñ dil pe jabr karūñgā tujhe bhulā dūñgāmarūñgā ḳhud bhī tujhe bhī kaṛī sazā dūñgā
  37. maiñ kal tanhā thā ḳhilqat so rahī thīmujhe ḳhud se bhī vahshat ho rahī thī
  38. nayā hai shahr na.e āsre talāsh karūñtū kho gayā hai kahāñ ab tujhe talāsh karūñ
  39. vo dilāvar jo siyah shab ke shikārī niklevo bhī chaṛhte hue sūraj ke pujārī nikle
  40. har ek shab yūñ hī dekheñgī sū-e-dar ānkheñtujhe gañvā ke na soeñgī umr bhar ānkheñ
  41. ham jo pahuñche sar-e-maqtal to ye manzar dekhāsab se ūnchā thā jo sar nok-e-sināñ par dekhā
  42. havā-e-hijr meñ jo kuchh thā ab ke ḳhāk huāke pairahan to gayā thā badan bhī chāk huā
  43. ye dil ye pāgal dil mirā kyūñ bujh gayā āvārgīis dasht meñ ik shahr thā vo kyā huā āvārgī
  44. ye kah ga.e haiñ musāfir luṭe gharoñ vāleḍareñ havā se parinde khule paroñ vāle