Poet
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
b. 1904
Poems
- آج ان کا مزاج برہم ہےیا مقدر میں ایک نیا خم ہےāj un kā mizāj bar.ham haiyā muqaddar meñ ek nayā ḳham hai
- ابھی حسن خود سے ہے بے خبر ابھی عشق بھی ہے نہاں نہاںنہ ہیں قصے راز و نیاز کے نہ فسانے دل کے زباں زباںabhī husn-e-ḳhud se hai be ḳhabar abhī ishq bhī hai nihāñ nihāñna haiñ qisse rāz-o-niyāz ke na fasāne dil ke zabāñ zabāñ
- اپنے حال دل پہ خود ہی مسکرا سکتا ہوں میںکب کسی کے رحم کا احساں اٹھا سکتا ہوں میںapne hāl-e-dil pe ḳhud hī muskurā saktā hūñ maiñkab kisī ke rahm kā ehsāñ uṭhā saktā hūñ maiñ
- اس شوخ کے لطیف اشاروں کو دیکھیےبکھرے ہوئے حسین نظاروں کو دیکھیےus shoḳh ke latīf ishāroñ ko dekhiyebikhre hue hasīn nazāroñ ko dekhiye
- اشک غم آنکھوں سے کتنے بہہ گئےجو نہ کہنا تھا اسے ہم کہہ گئےashk-e-ġham ānkhoñ se kitne bah ga.ejo na kahnā thā use ham kah ga.e
- آ گئے وہ مرے خیالوں میںگھنٹیاں بج اٹھیں شوالوں میںā ga.e vo mire ḳhayāloñ meñghanṭiyāñ baj uṭheñ shavvāloñ meñ
- الفت کے فسانے ماضی کے کچھ بھولے کچھ یاد آ بھی گئےغم کے بادل دل پہ مرے کچھ چھٹ بھی گئے کچھ چھا بھی گئےulfat ke fasāne māzī ke kuchh bhūle kuchh yād ā bhī ga.eġham ke bādal dil pe mire kuchh chhuṭ bhī ga.e kuchh chhā bhī ga.e
- امید دید کام آئے نہ آئےسحر آئی ہے شام آئے نہ آئےummīd-e-dīd kām ā.e na ā.esahar ā.ī hai shām ā.e na ā.e
- بے تعلق زندگی بھی زندگی ہوتی ہے کیاساز دل خاموش ہو تو نغمگی ہوتی ہے کیاbe ta.alluq zindagī bhī zindagī hotī hai kyāsāz-e-dil ḳhāmosh ho to naġhmagī hotī hai kyā
- پاس میں روح وفا ہو جیسےدل مرا جلتا دیا ہو جیسےpās meñ rūh-e-vafā ho jaisedil mirā jaltā diyā ho jaise
- پیار ان کو دیکھ کر بے اختیار آ ہی گیاوہ جو آئے دل مرا دیوانہ وار آ ہی گیاpyār un ko dekh kar be iḳhtiyār ā hī gayāvo jo ā.e dil mirā dīvāna vār ā hī gayā
- تجھ کو چاہوں مری مجال کہاںبس میں لیکن مرا خیال کہاںtujh ko chāhūñ mirī majāl kahāñbas meñ lekin mirā ḳhayāl kahāñ
- تجھے اپنی فضاؤں پر پشیماں کون دیکھے گاترا غم سہ کے بھی تجھ کو پریشاں کون دیکھے گاtujhe apnī fazā.oñ par pashemāñ kaun dekhegātirā ġham sah ke bhī tujh ko pareshāñ kaun dekhegā
- تمہاری آرزو تم سے کہیں بڑھ کر حسیں نکلیکہ دنیا کی ہر اک شے سے یہی دل کے قریں نکلیtumhārī ārzū tum se kahīñ baṛh kar hasīñ niklīke duniyā kī har ik shai se yahī dil ke qarīñ niklī
- تنہائیوں میں کیا کہوں کیا یاد آ گیاافسانہ ایک بھولا ہوا یاد آ گیاtanhā.iyoñ meñ kyā kahūñ kyā yād ā gayāafsāna ek bhūlā huā yād ā gayā
- تیرے لطف و کرم سے جو دامن میں میرے آیا ہےسینے سے وہ پھول لگایا خار وہ میں نے چوما ہےtere lutf-o-karam se jo dāman meñ mere āyā haisīne se vo phūl lagāyā ḳhār vo maiñ ne chūmā hai
- جب سے نظر سے دور وہ پیارے چلے گئےوہ شام وہ سحر وہ نظارے چلے گئےjab se nazar se dūr vo pyāre chale ga.evo shām vo sahar vo nazāre chale ga.e
- چشم دل پر کیف ہے چھایا ہواہے تصور میں کوئی آیا ہواchashm-e-dil pur kaif hai chhāyā huāhai tasavvur meñ koī āyā huā
- چمن چمن سے گلوں کا یہی پیام آیاوہی حسیں ہے جو دنیا میں شاد کام آیاchaman chaman se guloñ kā yahī payām āyāvahī hasīñ hai jo duniyā meñ shād kām āyā
- حدیث دلبراں ہے اور میں ہوںجہاں اندر جہاں ہے اور میں ہوںhadīs-e-dilbarāñ hai aur maiñ hūñjahāñ andar jahāñ hai aur maiñ hūñ
- حسین خواب نہیں کوئی زندگی کی طرحکوئی سراب جہاں میں نہیں خوشی کی طرحhasīn ḳhvāb nahīñ koī zindagī kī tarahkoī sarāb-e-jahāñ meñ nahīñ ḳhushī kī tarah
- خامشی اجتناب سے پہلےاک ستم آفتاب سے پہلےḳhāmushī ijtināb se pahleik sitam āftāb se pahle
- درد بڑھ کر دوا نہ ہو جائےزندگی بے مزہ نہ ہو جائےdard baṛh kar davā na ho jā.ezindagī be maza na ho jā.e
- درد منت کش درماں ہو ضروری تو نہیںزخم مرہم کا ہی خواہاں ہو ضروری تو نہیںdard minnat kash-e-darmāñ ho zarūrī to nahīñzaḳhm-e-marham kā hī ḳhvāhāñ ho zarūrī to nahīñ
- درد ہی دیتا ہے اب وہ نہ دوا دیتا ہےہائے کیسا وہ وفاؤں کا صلہ دیتا ہےdard hī detā hai ab vo na davā detā haihā.e kaisā vo vafā.oñ kā sila detā hai
- دل کو جو اپنے بس میں نہ پاؤں تو کیا کروںآنکھیں نہ رہ گزر میں بچھاؤں تو کیا کروںdil ko jo apne bas meñ na pā.oñ to kyā karūñānkheñ na rah guzar meñ bichhā.ūñ to kyā karūñ
- دل کی کشتی تیرے حوالےتیرے سوا اب کون سنبھالےdil kī kashtī tere havāletere sivā ab kaun sambhāle
- دل میں غم کی کنی نہیں ہوتیزندگی زندگی نہیں ہوتیdil meñ ġham kī kinī nahīñ hotīzindagī zindagī nahīñ hotī
- دنیا سے بے نیاز غزل کہہ رہا ہوں میںقلب و جگر نواز غزل کہہ رہا ہوں میںduniyā se be niyāz ġhazal kah rahā hūñ maiñqalb-o-jigar navāz ġhazal kah rahā hūñ maiñ
- سایہ قدم قدم پہ ہے ہر روشنی کے ساتھصبحیں چھپی ہیں پردے میں ہر تیرگی کے ساتھsāya qadam qadam pe hai har raushnī ke sāthsub.heñ chhupī haiñ parde meñ har tīrgī ke sāth
- شکوہ نہیں گلہ نہیں ربط کوئی بہم نہیںرسم سلام کیا جہاں پرسش حال غم نہیںshikva nahīñ gila nahīñ rabt koī baham nahīñrasm-e-salām kyā jahāñ pursish-e-hāl-e-ġham nahīñ
- عارض اشکوں سے ترے تر نہیں دیکھے جاتےخاک میں رلتے یہ گوہر نہیں دیکھے جاتےāriz ashkoñ se tire tar nahīñ dekhe jāteḳhāk meñ rulte ye gauhar nahīñ dekhe jāte
- فلک سے ہوئے ہیں یہ پیہم اشارےزمیں سے نہیں دور یہ چاند تارےfalak se hue haiñ ye paiham ishārezamīñ se nahīñ dūr ye chānd tāre
- کبھی طویل کبھی مختصر بھی ہوتی ہےہر ایک رات کی لیکن سحر بھی ہوتی ہےkabhī tavīl kabhī muḳhtasar bhī hotī haihar ek rāt kī lekin sahar bhī hotī hai
- کسی در پہ جانے کو جی چاہتا ہےوفا آزمانے کو جی چاہتا ہےkisī dar pe jāne ko jī chāhtā haivafā āzmāne ko jī chāhtā hai
- کون سی جا ہے جہاں حسن کا شہرا نہ ہواعشق بیچارہ کہاں دہر میں رسوا نہ ہواkaun sī jā hai jahāñ husn kā shahrā na huāishq bechāra kahāñ dahr meñ rusvā na huā
- کہہ چکے حال راز باقی ہےناز اٹھائے نیاز باقی ہےkah chuke hāl rāz bāqī haināz uṭhā.e niyāz bāqī hai
- گلشن میں ترے حسن کی جب بات چلی ہےٹھہری ہے نظر گل پہ نہ غنچے پہ رکی ہےgulshan meñ tire husn kī jab bāt chalī haiṭhahrī hai nazar gul pe na ġhunche pe rukī hai
- محبت ہی اگر تجھ کو نہ راس آئی تو کیا ہوگاترے غم میں طبیعت میری گھبرائی تو کیا ہوگاmohabbat hī agar tujh ko na rās ā.ī to kyā hogātire ġham meñ tabī.at merī ghabrā.ī to kyā hogā
- مرے دل میں گردش وقت کے کئی دور ایسے گزر گئےکہ جو ابھرے نقش تھے مٹ گئے جو مٹے نشاں تھے ابھر گئےmire dil meñ gardish-e-vaqt ke ka.ī dūr aise guzar ga.eke jo ubhre naqsh the miṭ ga.e jo miṭe nishāñ the ubhar ga.e
- نظریں جھکی سوال پہ میرے جواب میںکیا کیا نہ کہہ گئی ہے نگاہیں حجاب میںnazreñ jhukī savāl pe mere javāb meñkyā kyā na kah ga.ī hai nigāheñ hijāb meñ
- نگاہ مختصر سے داستاں تک بات جا پہنچیخدا جانے کہاں سے اب کہاں تک بات جا پہنچیnigāh muḳhtasar se dāstāñ tak bāt jā pahuñchīḳhudā jāne kahāñ se ab kahāñ tak bāt jā pahuñchī
- نہ رنگ و بو ہے نہ کیف و نغمہ نظر میں بھی دل ربا نہیں ہےمیں کیسے سمجھوں بہار آئی کہ غنچہ دل کا کھلا نہیں ہےna rang-o-bū hai na kaif-o-naġhma nazar meñ bhī dil rubā nahīñ haimaiñ kaise samjhūñ bahār ā.ī ke ġhuncha dil kā khulā nahīñ hai
- وہ جو بے نیاز جہاں کرے مجھے اس نظر کی تلاش ہےجو تجھے بنا دے غم آشنا مجھے اس اثر کی تلاش ہےvo jo be niyāz jahāñ kare mujhe is nazar kī talāsh haijo tujhe banā de ġham āshnā mujhe is asar kī talāsh hai
- ہر آنے جانے والے کا منہ دیکھتا رہامیں رہ گزر پہ زیست کی تنہا کھڑا رہاhar āne jāne vāle kā muñh dekhtā rahāmaiñ rah guzar pe zīst kī tanhā khaṛā rahā
- یاد ایام رفتہ یوں آئےدھندلے دھندلے سے جیسے کچھ سائےyād-e-ayyām-e-rafta yūñ ā.edhundle dhundle se jaise kuchh sā.e
- یوں تصور میں کھلے گل ہیں تیری بات کے بعدجیسے گلشن میں نکھر جائے فضا رات کے بعدyūñ tasavvur meñ khule gul haiñ terī bāt ke ba.adjaise gulshan meñ nikhar jā.e fazā rāt ke ba.ad