Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

b. 1904

Poems

  1. apnā ye charāġh-e-dil maddham hī sahī lekinduniyā ke andheroñ se tanhā hī ye laṛtā hai
  2. is darja kabhī jāzib ye duniyā na thī pahleye kis ke tasavvur meñ tasvīr nazar ā.ī
  3. is sīna-e-vīrāñ meñ khilā.e na kabhī phūlkyūñ bāġh pe itrātī rahī bād-e-sabā hai
  4. is tarah be kaif guzrā ai habīb apnā shabābjis tarah se sone ghar meñ jaltā hai koī charāġh
  5. is ālam-e-fānī meñ sadā kaun rahā haiik nām hai allāh kā ik naqsh-e-vafā hai
  6. is qadar va.ade kā andāz hasīñ hotā haike tire jhūṭ pe bhī sach kā yaqīñ hotā hai
  7. andāz-e-muqaddar ke haiñ gesū-e-jānāñ sejo gāh ulajhte haiñ aur gāh sañvarte haiñ
  8. insāñ ke dard-o-ġham kā kahīñ zikr hī nahīñhai bāt shaiḳh kī to kabhī barahman kī bāt
  9. insāñ ke dil kī ḳhair zamīñ āsmāñ kī ḳhairhar roz gul khilāte haiñ insāñ na.e na.e
  10. un se hañste hī hañste mohabbat sī shaihone vālī kahīñ thī magar ho ga.ī
  11. un ke honṭoñ par āyā tabassum idharnabz-e-ālam idhar tez tar ho ga.ī
  12. bichhṛe mujh se is tarah vo zindagī ke ham safarbujh ga.e hūñ jalte jalte jaise raste ke charāġh
  13. bhes meñ masarrat ke ġham kahīñ na āyā hois sabab se ḍar ḍar kar ham ḳhushī se milte haiñ
  14. bedād muqaddar se dil merā ulajhtā haijab āp nazar mujh par kuchh lutf se karte haiñ
  15. pā ke ik terā tabassum muskurā.ī kā.inātjhūm uṭhā vo bhī dil jīne se jo bezār thā
  16. terī yādoñ kā hī sarmāyā liye baiṭhe haiñham kabhī be sar-o-sāmān na hone pā.e
  17. ṭūṭ jāte haiñ jo duniyā ke sahāre sāreparda-e-ġhaib se hotā hai sahārā paidā
  18. jab thake hāthoñ se patvār bhī gir jāte haiñain girdāb meñ hotā hai kināra paidā
  19. jis pe ik bār jale haiñ tire qadmoñ ke charāġhrāste vo kabhī sunsān na hone pā.e
  20. jigar ke dāġh dikhāne se fā.ida kyā haiabhī zamāne ke hālāt sāzgār nahīñ
  21. junūñ hī sāth rahe zindagī meñ mere habībsafar meñ aur koī ham safar mile na mile
  22. jahāñ hasīñ hai mohabbat kī dil navāzī semagar ye rāz koī ḳhāl ḳhāl hī jāne
  23. jahāñ kahīñ bhī koī dil figār hotā haivahīñ pe sāya-e-parvardigār hotā hai
  24. chhoṛ āte haiñ har jānib kuchh naqsh-e-vafā apneham zīst kī rāhoñ se jis vaqt guzarte haiñ
  25. hāl-e-dil par hañsā kabhī royāyūñ mirī umr be sabāt ga.ī
  26. hāl-e-dil kahte hī ā jātī hai jab yād un kīham kahīñ hote haiñ afsāna kahīñ hotā hai
  27. habīb ḳhud hī banā.eñge roz-o-shab apnehavā hī kyā jo zamāne ne sāth chhoṛ diyā
  28. ḳhayāl-e-yār ke raushan diye karo varnaandherī rāt meñ manzil kā etibār nahīñ
  29. dil ṭūṭ ke hī āḳhir bantā hai kisī qābiltaḳhrīb ke parde meñ ta.amīr nazar ā.ī
  30. dil kashī tere tasavvur kī rahī roz afzūñbāhamī rabt kā har chand vo naqsha na rahā
  31. donoñ hāthoñ se masarrat ko luṭāyā hai habībġham kī daulat to magar tum se luṭā.ī na ga.ī
  32. sah lūñgā ai habīb sitam hā.e rozgārhāsil agar ho dost kī pyārī nazar mujhe
  33. shab-e-ġham kā habīb shikva kyūñdekh vo pau phaṭī vo rāt ā.ī
  34. aql insāñ ne biṭhā rakhe haiñ pahre dil pardil kī kyā bāt kahegā jo na dīvāna bane
  35. umr apnī to isī taur se guzrī hai habībrahā tūfāñ hī nigāhoñ meñ kināra na rahā
  36. kisī ke jalvoñ se ma.amūr hai jahāñ apnānahīñ ye fikr ke duniyā ne sāth chhoṛ diyā
  37. gul hī kabhī to muntaḳhab rozgār thāḳhāroñ pe ab to āyā hai mausam-e-bahār kā
  38. mānūs is qadar hūñ maiñ lazzat se dard kīdil hai ke ḍhūñḍ letā hai paikāñ na.e na.e
  39. mujhe hī dekh ke jītā hūñ tere va.adoñ parye kaun kahtā hai va.adoñ pe etibār nahīñ
  40. maqtal to hoñge āj bhī mansūr haiñ kahāñab zeb-e-dāstān hai dār-o-rasan kahāñ
  41. nālāñ hūñ apne zauq-e-nazar se habīb kyūñkyā sah rahe haiñ qalb-o-jigar kuchh na pūchhiye
  42. nik.hat vahī surūr vahī dil kashī vahīāmad ye āp kī hai ke jhonkā bahār kā
  43. na tamannā hai tirī aur na vo dard tapishdil ke marne kā mujhe ab to yaqīñ hotā hai
  44. vo nāla jo sīne se na āyā kabhī lab takhangāmoñ meñ duniyā ke use tū ne sunā hai
  45. har ik fasurda qalb pe chhā.ī shaguftagījab chhiṛ ga.ī hai bazm meñ us gul badan kī bāt
  46. har ik qadam pe zindagī hai intizār meñkitne hī moṛ ubhreñge har ik safar ke sāth
  47. havas ne husn kī aisī bigāṛ dī sūrathabīb kaun hai jo us ko āj pahchāne
  48. haiñ sab ye tire shikve kotāhī-e-ulfat sekuchh dil kī taṛap kam hai kuchh ḳhām tamannā hai
  49. yād-e-hazīñ nuqūsh-e-karam aur nigāh chandkyā bāñdhā ham ne raḳht-e-safar kuchh na pūchhiye
  50. yā guftugū ho un lab-o-ruḳhsār-o-zulf kīyā un ḳhamosh nazroñ ke lutf-e-suḳhan kī bāt