حدیث دلبراں ہے اور میں ہوں
JaiKrishn Chaudhry Habeeb (b. 1904)حدیث دلبراں ہے اور میں ہوں
جہاں اندر جہاں ہے اور میں ہوں
مداوائے غم فرقت نہیں کچھ
بس ان کی داستاں ہے اور میں ہوں
نہ ہمدم ہے نہ کوئی ہم نواں ہے
دل اپنا راز داں ہے اور میں ہوں
بھری محفل میں بھی بیٹھا ہوں تنہا
مرا درد نہاں ہے اور میں ہوں
نہیں درد آشنا جس سے کہوں کچھ
مرے منہ میں زباں ہے اور میں ہوں
بہار آئی چمن میں آئی ہوگی
یہاں دور خزاں ہے اور میں ہوں
نہیں باقی وہ نغمہ اور ترانہ
بس اک ہو کا سماں ہے اور میں ہوں
نہ وہ ساقی نہ وہ ہم مشرب اپنے
جمود مے کشاں ہے اور میں ہوں
کبھی اس دل کی زد میں تھا زمانہ
اب اک اتری کماں ہے اور میں ہوں
نہیں مہلت کہ دم بھر مڑ کے دیکھوں
مری عمر رواں ہے اور میں ہوں
نہ خود اپنا نہ اپنے ہیں شب و روز
رضائے دیگراں ہے اور میں ہوں
ہوا بیزار ناقوس اذاں سے
فریب این و آں ہے اور میں ہوں
کبھی کا جل چکا گو آشیانہ
خیال آشیاں ہے اور میں ہوں
حبیبؔ اب زندگی کی شام آئی
غم سود و زیاں ہے اور میں ہوں
hadis-e-dilbaran hai aur main hun
jahan andar jahan hai aur main hun
mudawa-e-gham-e-furqat nahin kuchh
bas un ki dastan hai aur main hun
na hamdam hai na koi ham nawan hai
dil apna raz dan hai aur main hun
bhari mahfil mein bhi baitha hun tanha
mira dard-e-nihan hai aur main hun
nahin dard-e-ashna jis se kahun kuchh
mire munh mein zaban hai aur main hun
bahar ai chaman mein ai hogi
yahan daur-e-khizan hai aur main hun
nahin baqi wo naghma aur tarana
bas ik ho ka saman hai aur main hun
na wo saqi na wo ham mashrab apne
jumud-e-mai kashan hai aur main hun
kabhi is dil ki zad mein tha zamana
ab ik utri kaman hai aur main hun
nahin mohlat ke dam bhar mur ke dekhun
miri umr-e-rawan hai aur main hun
na khud apna na apne hain shab-o-roz
raza-e-digaran hai aur main hun
hawa bezar naqus-e-azan se
fareb-e-ain-o-an hai aur main hun
kabhi ka jal chuka go ashiyana
khayal-e-ashiyan hai aur main hun
habib ab zindagi ki sham ai
gham-e-sud-o-ziyan hai aur main hun