Poet
Iftikhar Arif
افتخار عارفb. 1943
Poems
- اب بھی توہین اطاعت نہیں ہوگی ہم سےدل نہیں ہوگا تو بیعت نہیں ہوگی ہم سےab bhī tauhīn itā.at nahīñ hogī ham sedil nahīñ hogā to bai.at nahīñ hogī ham se
- امید و بیم کے محور سے ہٹ کے دیکھتے ہیںذرا سی دیر کو دنیا سے کٹ کے دیکھتے ہیںummīd-o-bīm ke mehvar se haṭ ke dekhte haiñzarā sī der ko duniyā se kaṭ ke dekhte haiñ
- انہیں میں جیتے انہیں بستیوں میں مر رہتےیہ چاہتے تھے مگر کس کے نام پر رہتےunheñ meñ jīte unheñ bastiyoñ meñ mar rahteye chāhte the magar kis ke nām par rahte
- اہل محبت کی مجبوری بڑھتی جاتی ہےمٹی سے گلاب کی دوری بڑھتی جاتی ہےahl-e-mohabbat kī majbūrī baṛhtī jātī haimiṭṭī se gulāb kī dūrī baṛhtī jātī hai
- بستی بھی سمندر بھی بیاباں بھی مرا ہےآنکھیں بھی مری خواب پریشاں بھی مرا ہےbastī bhī samundar bhī bayābāñ bhī mirā haiānkheñ bhī mirī ḳhvāb-e-pareshāñ bhī mirā hai
- بکھر جائیں گے ہم کیا جب تماشا ختم ہوگامرے معبود آخر کب تماشا ختم ہوگاbikhar jā.eñge ham kyā jab tamāshā ḳhatm hogāmire ma.abūd āḳhir kab tamāshā ḳhatm hogā
- جیسا ہوں ویسا کیوں ہوں سمجھا سکتا تھا میںتم نے پوچھا تو ہوتا بتلا سکتا تھا میںjaisā hūñ vaisā kyūñ hūñ samjhā saktā thā maiñtum ne pūchhā to hotā batlā saktā thā maiñ
- حامی بھی نہ تھے منکر غالبؔ بھی نہیں تھےہم اہل تذبذب کسی جانب بھی نہیں تھےhāmī bhī na the munkir ġhālib bhī nahīñ theham ahl tazabzub kisī jānib bhī nahīñ the
- حریم لفظ میں کس درجہ بے ادب نکلاجسے نجیب سمجھتے تھے کم نسب نکلاharīm-e-lafz meñ kis darja be adab niklājise najīb samajhte the kam nasab niklā
- خزانۂ زر و گوہر پہ خاک ڈال کے رکھہم اہل مہر و محبت ہیں دل نکال کے رکھḳhazāna-e-zar-o-gauhar pe ḳhāk ḍāl ke rakhham ahl mehr-o-mohabbat haiñ dil nikāl ke rakh
- خواب دیرینہ سے رخصت کا سبب پوچھتے ہیںچلیے پہلے نہیں پوچھا تھا تو اب پوچھتے ہیںḳhvāb-e-derīna se ruḳhsat kā sabab pūchhte haiñchaliye pahle nahīñ pūchhā thā to ab pūchhte haiñ
- خواب دیکھنے والی آنکھیں پتھر ہوں گی تب سوچیں گےسندر کومل دھیان تتلیاں بے پر ہوں گی تب سوچیں گےḳhvāb dekhne vālī ānkheñ patthar hoñgī tab socheñgesundar komal dhyān titliyāñ be par hoñgī tab socheñge
- خواب کی طرح بکھر جانے کو جی چاہتا ہےایسی تنہائی کہ مر جانے کو جی چاہتا ہےḳhvāb kī tarah bikhar jāne ko jī chāhtā haiaisī tanhā.ī ke mar jāne ko jī chāhtā hai
- خوف کے سیل مسلسل سے نکالے مجھے کوئیمیں پیمبر تو نہیں ہوں کہ بچا لے مجھے کوئیḳhauf ke sail musalsal se nikāle mujhe koīmaiñ payambar to nahīñ hūñ ke bachā le mujhe koī
- دکھ اور طرح کے ہیں دعا اور طرح کیاور دامن قاتل کی ہوا اور طرح کیdukh aur tarah ke haiñ duā aur tarah kīaur dāman-e-qātil kī havā aur tarah kī
- دیار نور میں تیرہ شبوں کا ساتھی ہوکوئی تو ہو جو مری وحشتوں کا ساتھی ہوdayār-e-nūr meñ tīra shaboñ kā sāthī hokoī to ho jo mirī vahshatoñ kā sāthī ho
- ذرا سی دیر کو آئے تھے خواب آنکھوں میںپھر اس کے بعد مسلسل عذاب آنکھوں میںzarā sī der ko ā.e the ḳhvāb ānkhoñ meñphir is ke ba.ad musalsal azāb ānkhoñ meñ
- روش میں گردش سیارگاں سے اچھی ہےزمیں کہیں کی بھی ہو آسماں سے اچھی ہےravish meñ gardish-e-sayyārgāñ se achchhī haizamīñ kahīñ kī bhī ho āsmāñ se achchhī hai
- ستارہ وار جلے پھر بجھا دئے گئے ہمپھر اس کے بعد نظر سے گرا دئے گئے ہمsitāra vār jale phir bujhā diye ga.e hamphir is ke ba.ad nazar se girā diye ga.e ham
- سر بام ہجر دیا بجھا تو خبر ہوئیسر شام کوئی جدا ہوا تو خبر ہوئیsar-e-bām-e-hijr diyā bujhā to ḳhabar huīsar-e-shām koī judā huā to ḳhabar huī
- سمجھ رہے ہیں مگر بولنے کا یارا نہیںجو ہم سے مل کے بچھڑ جائے وہ ہمارا نہیںsamajh rahe haiñ magar bolne kā yārā nahīñjo ham se mil ke bichhaṛ jā.e vo hamārā nahīñ
- سمندر اس قدر شوریدہ سر کیوں لگ رہا ہےکنارے پر بھی ہم کو اتنا ڈر کیوں لگ رہا ہےsamundar is qadar shorīda sar kyūñ lag rahā haikināre par bhī ham ko itnā ḍar kyūñ lag rahā hai
- شہر گل کے خس و خاشاک سے خوف آتا ہےجس کا وارث ہوں اسی خاک سے خوف آتا ہےshahr-e-gul ke ḳhas-o-ḳhāshāk se ḳhauf ātā haijis kā vāris hūñ isī ḳhāk se ḳhauf ātā hai
- عذاب یہ بھی کسی اور پر نہیں آیاکہ ایک عمر چلے اور گھر نہیں آیاazāb ye bhī kisī aur par nahīñ āyāke ek umr chale aur ghar nahīñ āyā
- غیروں سے داد جور و جفا لی گئی تو کیاگھر کو جلا کے خاک اڑا دی گئی تو کیاġhairoñ se dād jaur-o-jafā lī ga.ī to kyāghar ko jalā ke ḳhāk uṛā dī ga.ī to kyā
- فضا میں وحشت سنگ و سناں کے ہوتے ہوئےقلم ہے رقص میں آشوب جاں کے ہوتے ہوئےfazā meñ vahshat sang-o-sināñ ke hote hueqalam hai raqs meñ āshob-e-jāñ ke hote hue
- کچھ بھی نہیں کہیں نہیں خواب کے اختیار میںرات گزار دی گئی صبح کے انتظار میںkuchh bhī nahīñ kahīñ nahīñ ḳhvāb ke iḳhtiyār meñrāt guzār dī ga.ī sub.h ke intizār meñ
- کوئی جنوں کوئی سودا نہ سر میں رکھا جائےبس ایک رزق کا منظر نظر میں رکھا جائےkoī junūñ koī saudā na sar meñ rakhā jā.ebas ek rizq kā manzar nazar meñ rakhā jā.e
- کوئی مژدہ نہ بشارت نہ دعا چاہتی ہےروز اک تازہ خبر خلق خدا چاہتی ہےkoī muzhda na bashārat na duā chāhtī hairoz ik tāza ḳhabar ḳhalq-e-ḳhudā chāhtī hai
- کہاں کے نام و نسب علم کیا فضیلت کیاجہان رزق میں توقیر اہل حاجت کیاkahāñ ke nām-o-nasab ilm kyā fazīlat kyājahān-e-rizq meñ tauqīr ahl-e-hājat kyā
- گلی کوچوں میں ہنگامہ بپا کرنا پڑے گاجو دل میں ہے اب اس کا تذکرہ کرنا پڑے گاgalī kūchoñ meñ hangāma bapā karnā paṛegājo dil meñ hai ab us kā tazkira karnā paṛegā
- مرے خدا مجھے اتنا تو معتبر کر دےمیں جس مکان میں رہتا ہوں اس کو گھر کر دےmire ḳhudā mujhe itnā to motabar kar demaiñ jis makān meñ rahtā hūñ us ko ghar kar de
- منصب نہ کلاہ چاہتا ہوںتنہا ہوں گواہ چاہتا ہوںmansab na kulāh chāhtā hūñtanhā hūñ gavāh chāhtā hūñ
- میرا مالک جب توفیق ارزانی کرتا ہےگہرے زرد زمین کی رنگت دھانی کرتا ہےmerā mālik jab taufīq arzānī kartā haigahre zard zamīn kī rangat dhānī kartā hai
- وفا کی خیر مناتا ہوں بے وفائی میں بھیمیں اس کی قید میں ہوں قید سے رہائی میں بھیvafā kī ḳhair manātā hūñ be vafā.ī meñ bhīmaiñ us kī qaid meñ hūñ qaid se rihā.ī meñ bhī
- وہی پیاس ہے وہی دشت ہے وہی گھرانا ہےمشکیزے سے تیر کا رشتہ بہت پرانا ہےvahī pyās hai vahī dasht hai vahī gharānā haimashkīze se tīr kā rishta bahut purānā hai
- ہجر کی دھوپ میں چھاؤں جیسی باتیں کرتے ہیںآنسو بھی تو ماؤں جیسی باتیں کرتے ہیںhijr kī dhūp meñ chhā.oñ jaisī bāteñ karte haiñānsū bhī to mā.oñ jaisī bāteñ karte haiñ
- ہم اپنے رفتگاں کو یاد رکھنا چاہتے ہیںدلوں کو درد سے آباد رکھنا چاہتے ہیںham apne raftagāñ ko yād rakhnā chāhte haiñdiloñ ko dard se ābād rakhnā chāhte haiñ
- ہم اہل جبر کے نام و نسب سے واقف ہیںسروں کی فصل جب اتری تھی تب سے واقف ہیںham ahl jabr ke nām-o-nasab se vāqif haiñsaroñ kī fasl jab utrī thī tab se vāqif haiñ
- یہ اب کھلا کہ کوئی بھی منظر مرا نہ تھامیں جس میں رہ رہا تھا وہی گھر مرا نہ تھاye ab khulā ke koī bhī manzar mirā na thāmaiñ jis meñ rah rahā thā vahī ghar mirā na thā
- یہ بستیاں ہیں کہ مقتل دعا کیے جائیںدعا کے دن ہیں مسلسل دعا کیے جائیںye bastiyāñ haiñ ke maqtal duā kiye jā.eñduā ke din haiñ musalsal duā kiye jā.eñ
- یہ بستی جانی پہچانی بہت ہےیہاں وعدوں کی ارزانی بہت ہےye bastī jānī pahchānī bahut haiyahāñ va.adoñ kī arzānī bahut hai
- یہ قرض کج کلہی کب تلک ادا ہوگاتباہ ہو تو گئے ہیں اب اور کیا ہوگاye qarz kaj kulahī kab talak adā hogātabāh ho to ga.e haiñ ab aur kyā hogā
- یہ معجزہ بھی کسی کی دعا کا لگتا ہےیہ شہر اب بھی اسی بے وفا کا لگتا ہےye mojiza bhī kisī kī duā kā lagtā haiye shahr ab bhī usī be vafā kā lagtā hai