Poet
Iftikhar Arif
افتخار عارفb. 1943
Poems
- بلند ہاتھوں میں زنجیر ڈال دیتے ہیںعجیب رسم چلی ہے دعا نہ مانگے کوئیbuland hāthoñ meñ zanjīr ḍāl dete haiñajīb rasm chalī hai duā na māñge koī
- بیٹیاں باپ کی آنکھوں میں چھپے خواب کو پہچانتی ہیںاور کوئی دوسرا اس خواب کو پڑھ لے تو برا مانتی ہیںbeṭiyāñ bāp kī ānkhoñ meñ chhupe ḳhvāb ko pahchāntī haiñaur koī dūsrā is ḳhvāb ko paṛh le to burā māntī haiñ
- تم سے بچھڑ کر زندہ ہیںجان بہت شرمندہ ہیںtum se bichhaṛ kar zinda haiñjān bahut sharminda haiñ
- خاک میں دولت پندار و انا ملتی ہےاپنی مٹی سے بچھڑنے کی سزا ملتی ہےḳhāk meñ daulat pindār-o-anā miltī haiapnī miṭṭī se bichhaṛne kī sazā miltī hai
- دل کبھی خواب کے پیچھے کبھی دنیا کی طرفایک نے اجر دیا ایک نے اجرت نہیں دیdil kabhī ḳhvāb ke pīchhe kabhī duniyā kī tarafek ne ajr diyā ek ne ujrat nahīñ dī
- دنیا بدل رہی ہے زمانہ کے ساتھ ساتھاب روز روز دیکھنے والا کہاں سے لائیںduniyā badal rahī hai zamāna ke sāth sāthab roz roz dekhne vālā kahāñ se lā.eñ
- راس آنے لگی دنیا تو کہا دل نے کہ جااب تجھے درد کی دولت نہیں ملنے والیrās āne lagī duniyā to kahā dil ne ke jāab tujhe dard kī daulat nahīñ milne vālī
- زمانہ ہو گیا خود سے مجھے لڑتے جھگڑتےمیں اپنے آپ سے اب صلح کرنا چاہتا ہوںzamāna ho gayā ḳhud se mujhe laṛte jhagaṛtemaiñ apne āp se ab sulh karnā chāhtā hūñ
- ستاروں سے بھرا یہ آسماں کیسا لگے گاہمارے بعد تم کو یہ جہاں کیسا لگے گاsitāroñ se bharā ye āsmāñ kaisā lagegāhamāre ba.ad tum ko ye jahāñ kaisā lagegā
- کوئی تو پھول کھلائے دعا کے لہجے میںعجب طرح کی گھٹن ہے ہوا کے لہجے میںkoī to phūl khilā.e duā ke lahje meñajab tarah kī ghuṭan hai havā ke lahje meñ
- گھر سے نکلے ہوئے بیٹوں کا مقدر معلومماں کے قدموں میں بھی جنت نہیں ملنے والیghar se nikle hue beṭoñ kā muqaddar ma.alūmmāñ ke qadmoñ meñ bhī jannat nahīñ milne vālī
- وہی چراغ بجھا جس کی لو قیامت تھیاسی پہ ضرب پڑی جو شجر پرانا تھاvahī charāġh bujhā jis kī lau qayāmat thīusī pe zarb paṛī jo shajar purānā thā
- وہی فراق کی باتیں وہی حکایت وصلنئی کتاب کا ایک اک ورق پرانا تھاvahī firāq kī bāteñ vahī hikāyat vaslna.ī kitāb kā ek ik varaq purānā thā
- ہم بھی اک شام بہت الجھے ہوئے تھے خود میںایک شام اس کو بھی حالات نے مہلت نہیں دیham bhī ik shām bahut uljhe hue the ḳhud meñek shām us ko bhī hālāt ne mohlat nahīñ dī
- یہ وقت کس کی رعونت پہ خاک ڈال گیایہ کون بول رہا تھا خدا کے لہجے میںye vaqt kis kī ra.ūnat pe ḳhāk ḍāl gayāye kaun bol rahā thā ḳhudā ke lahje meñ