امید و بیم کے محور سے ہٹ کے دیکھتے ہیں
Iftikhar Arif (b. 1943)امید و بیم کے محور سے ہٹ کے دیکھتے ہیں
ذرا سی دیر کو دنیا سے کٹ کے دیکھتے ہیں
بکھر چکے ہیں بہت باغ و دشت و دریا میں
اب اپنے حجرۂ جاں میں سمٹ کے دیکھتے ہیں
تمام خانہ بدوشوں میں مشترک ہے یہ بات
سب اپنے اپنے گھروں کو پلٹ کے دیکھتے ہیں
پھر اس کے بعد جو ہونا ہے ہو رہے سر دست
بساط عافیت جاں الٹ کے دیکھتے ہیں
وہی ہے خواب جسے مل کے سب نے دیکھا تھا
اب اپنے اپنے قبیلوں میں بٹ کے دیکھتے ہیں
سنا یہ ہے کہ سبک ہو چلی ہے قیمت حرف
سو ہم بھی اب قد و قامت میں گھٹ کے دیکھتے ہیں
ummid-o-bim ke mehwar se hat ke dekhte hain
zara si der ko duniya se kat ke dekhte hain
bikhar chuke hain bahut bagh-o-dasht-o-dariya mein
ab apne hujra-e-jan mein simat ke dekhte hain
tamam khana badoshon mein mushtarak hai ye bat
sab apne apne gharon ko palat ke dekhte hain
phir is ke baad jo hona hai ho rahe sar-e-dast
bisat-e-afiyat-e-jan ulat ke dekhte hain
wahi hai khwab jise mil ke sab ne dekha tha
ab apne apne qabilon mein bat ke dekhte hain
suna ye hai ke subuk ho chali hai qimat harf
so ham bhi ab qad-o-qamat mein ghut ke dekhte hain