روش میں گردش سیارگاں سے اچھی ہے
Iftikhar Arif (b. 1943)روش میں گردش سیارگاں سے اچھی ہے
زمیں کہیں کی بھی ہو آسماں سے اچھی ہے
جو حرف حق کی حمایت میں ہو وہ گم نامی
ہزار وضع کے نام و نشاں سے اچھی ہے
عجب نہیں کل اسی کی زبان کھینچی جائے
جو کہہ رہا ہے خموشی زباں سے اچھی ہے
بس ایک خوف کہیں دل یہ بات مان نہ جائے
یہ خاک غیر ہمیں آشیاں سے اچھی ہے
ہم ایسے گل زدگاں کو بہار یک ساعت
نگار خانۂ عہد خزاں سے اچھی ہے
rawish mein gardish-e-sayyargan se achchhi hai
zamin kahin ki bhi ho asman se achchhi hai
jo harf-e-haq ki himayat mein ho wo gum nami
hazar waza ke nam-o-nishan se achchhi hai
ajab nahin kal usi ki zaban khinchi jae
jo kah raha hai khamoshi zaban se achchhi hai
bas ek khauf kahin dil ye bat man na jae
ye khak ghair hamen ashiyan se achchhi hai
ham aise gul zadagan ko bahar yak saat
nigar khana-e-ahd-e-khizan se achchhi hai