کچھ بھی نہیں کہیں نہیں خواب کے اختیار میں
Iftikhar Arif (b. 1943)کچھ بھی نہیں کہیں نہیں خواب کے اختیار میں
رات گزار دی گئی صبح کے انتظار میں
باب عطا کے سامنے اہل کمال کا ہجوم
جن کو تھا سرکشی پہ ناز وہ بھی اسی قطار میں
جیسے فساد خون سے جلد بدن پہ داغ برص
دل کی سیاہیاں بھی ہیں دامن داغدار میں
وقت کی ٹھوکروں میں ہے عقدہ کشائیوں کو زعم
کیسی الجھ رہی ہے ڈور ناخن ہوشیار میں
آئے گا آئے گا وہ دن ہو کے رہے گا سب حساب
وقت بھی انتظار میں خلق بھی انتظار میں
جیسی لگی تھی دل میں آگ ویسی غزل بنی نہیں
لفظ ٹھہر نہیں سکے درد کی تیز دھار میں
kuchh bhi nahin kahin nahin khwab ke ikhtiyar mein
rat guzar di gai subh ke intizar mein
bab ata ke samne ahl-e-kamal ka hujum
jin ko tha sarkashi pe naz wo bhi isi qatar mein
jaise fasad-e-khun se jald badan pe dagh baras
dil ki siyahiyan bhi hain daman daghdar mein
waqt ki thokaron mein hai uqda kushaiyon ko zaam
kaisi ulajh rahi hai dor nakhun-e-hoshyar mein
aega aega wo din ho ke rahega sab hisab
waqt bhi intizar mein khalq bhi intizar mein
jaisi lagi thi dil mein ag waisi ghazal bani nahin
lafz thahar nahin sake dard ki tez dhar mein