وفا کی خیر مناتا ہوں بے وفائی میں بھی
Iftikhar Arif (b. 1943)وفا کی خیر مناتا ہوں بے وفائی میں بھی
میں اس کی قید میں ہوں قید سے رہائی میں بھی
لہو کی آگ میں جل بجھ گئے بدن تو کھلا
رسائی میں بھی خسارہ ہے نارسائی میں بھی
بدلتے رہتے ہیں موسم گزرتا رہتا ہے وقت
مگر یہ دل کہ وہیں کا وہیں جدائی میں بھی
لحاظ حرمت پیماں نہ پاس ہم خوابی
عجب طرح کے تصادم تھے آشنائی میں بھی
میں دس برس سے کسی خواب کے عذاب میں ہوں
وہی عذاب در آیا ہے اس دہائی میں بھی
تصادم دل و دنیا میں دل کی ہار کے بعد
حجاب آنے لگا ہے غزل سرائی میں بھی
میں جا رہا ہوں اب اس کی طرف اسی کی طرف
جو میرے ساتھ تھا میری شکستہ پائی میں بھی
wafa ki khair manata hun be wafai mein bhi
main us ki qaid mein hun qaid se rihai mein bhi
lahu ki ag mein jal bujh gae badan to khula
rasai mein bhi khasara hai narasai mein bhi
badalte rahte hain mausam guzarta rahta hai waqt
magar ye dil ke wahin ka wahin judai mein bhi
lihaz hurmat-e-paiman na pas ham khwabi
ajab tarah ke tasadum the ashnai mein bhi
main das baras se kisi khwab ke azab mein hun
wahi azab dar aya hai is duhai mein bhi
tasadum-e-dil-o-duniya mein dil ki har ke baad
hijab ane laga hai ghazal sarai mein bhi
main ja raha hun ab us ki taraf usi ki taraf
jo mere sath tha meri shikasta pai mein bhi