Poet
Habib Jalib
حبیب جالب1928–1993
Poems
- آگ ہے پھیلی ہوئی کالی گھٹاؤں کی جگہبد دعائیں ہیں لبوں پر اب دعاؤں کی جگہāg hai phailī huī kālī ghaṭā.oñ kī jagahbad duā.eñ haiñ laboñ par ab duā.oñ kī jagah
- اب تیری ضرورت بھی بہت کم ہے مری جاںاب شوق کا کچھ اور ہی عالم ہے مری جاںab terī zarūrat bhī bahut kam hai mirī jāñab shauq kā kuchh aur hī ālam hai mirī jāñ
- اپنوں نے وہ رنج دئے ہیں بیگانے یاد آتے ہیںدیکھ کے اس بستی کی حالت ویرانے یاد آتے ہیںapnoñ ne vo ranj diye haiñ begāne yād āte haiñdekh ke is bastī kī hālat vīrāne yād āte haiñ
- اس رعونت سے وہ جیتے ہیں کہ مرنا ہی نہیںتخت پر بیٹھے ہیں یوں جیسے اترنا ہی نہیںis ra.ūnat se vo jīte haiñ ke marnā hī nahīñtaḳht par baiṭhe haiñ yūñ jaise utarnā hī nahīñ
- اس شہر خرابی میں غم عشق کے مارےزندہ ہیں یہی بات بڑی بات ہے پیارےis shahr ḳharābī meñ ġham-e-ishq ke mārezinda haiñ yahī bāt baṛī bāt hai pyāre
- اس نے جب ہنس کے نمسکار کیامجھ کو انسان سے اوتار کیاus ne jab hañs ke namaskār kiyāmujh ko insān se autār kiyā
- افسوس تمہیں کار کے شیشے کا ہوا ہےپروا نہیں اک ماں کا جو دل ٹوٹ گیا ہےafsos tumheñ kār ke shīshe kā huā haiparvā nahīñ ik māñ kā jo dil ṭūṭ gayā hai
- اک شخص با ضمیر مرا یار مصحفیؔمیری طرح وفا کا پرستار مصحفیؔik shaḳhs bā zamīr mirā yār mushafīmerī tarah vafā kā parastār mushafī
- اور سب بھول گئے حرف صداقت لکھنارہ گیا کام ہمارا ہی بغاوت لکھناaur sab bhūl ga.e harf-e-sadāqat likhnārah gayā kām hamārā hī baġhāvat likhnā
- باتیں تو کچھ ایسی ہیں کہ خود سے بھی نہ کی جائیںسوچا ہے خموشی سے ہر اک زہر کو پی جائیںbāteñ to kuchh aisī haiñ ke ḳhud se bhī na kī jā.eñsochā hai ḳhamoshī se har ik zahr ko pī jā.eñ
- بٹے رہو گے تو اپنا یوں ہی بہے گا لہوہوئے نہ ایک تو منزل نہ بن سکے گا لہوbaṭe rahoge to apnā yūñ hī bahegā lahūhue na ek to manzil na ban sakegā lahū
- بڑے بنے تھے جالبؔ صاحب پٹے سڑک کے بیچگولی کھائی لاٹھی کھائی گرے سڑک کے بیچbaṛe bane the jālib sāhab piṭe saṛak ke bīchgolī khā.ī lāṭhī khā.ī gire saṛak ke bīch
- بہت روشن ہے شام غم ہماریکسی کی یاد ہے ہم دم ہماریbahut raushan hai shām-e-ġham hamārīkisī kī yād hai ham dam hamārī
- بھلا بھی دے اسے جو بات ہو گئی پیارےنئے چراغ جلا رات ہو گئی پیارےbhalā bhī de use jo bāt ho ga.ī pyārena.e charāġh jalā rāt ho ga.ī pyāre
- پھر دل سے آ رہی ہے صدا اس گلی میں چلشاید ملے غزل کا پتا اس گلی میں چلphir dil se ā rahī hai sadā us galī meñ chalshāyad mile ġhazal kā patā us galī meñ chal
- پھر کبھی لوٹ کر نہ آئیں گےہم ترا شہر چھوڑ جائیں گےphir kabhī lauṭ kar na ā.eñgeham tirā shahr chhoṛ jā.eñge
- ترے ماتھے پہ جب تک بل رہا ہےاجالا آنکھ سے اوجھل رہا ہےtire māthe pe jab tak bal rahā haiujālā ānkh se ojhal rahā hai
- تم سے پہلے وہ جو اک شخص یہاں تخت نشیں تھااس کو بھی اپنے خدا ہونے پہ اتنا ہی یقیں تھاtum se pahle vo jo ik shaḳhs yahāñ taḳht nashīñ thāus ko bhī apne ḳhudā hone pe itnā hī yaqīñ thā
- جاگنے والو تا بہ سحر خاموش رہوکل کیا ہوگا کس کو خبر خاموش رہوjāgne vālo tā ba sahar ḳhāmosh rahokal kyā hogā kis ko ḳhabar ḳhāmosh raho
- جب کوئی کلی صحن گلستاں میں کھلی ہےشبنم مری آنکھوں میں وہیں تیر گئی ہےjab koī kalī sehn-e-gulistāñ meñ khulī haishabnam mirī ānkhoñ meñ vahīñ tīr ga.ī hai
- جھوٹی خبریں گھڑنے والے جھوٹے شعر سنانے والےلوگو صبر کہ اپنے کئے کی جلد سزا ہیں پانے والےjhūṭī ḳhabreñ ghaṛne vāle jhūṭe sher sunāne vālelogo sabr ke apne kiye kī jald sazā haiñ pāne vāle
- جیون مجھ سے میں جیون سے شرماتا ہوںمجھ سے آگے جانے والو میں آتا ہوںjīvan mujh se maiñ jīvan se sharmātā hūñmujh se āge jāne vālo meñ ātā hūñ
- چور تھا زخموں سے دل زخمی جگر بھی ہو گیااس کو روتے تھے کہ سونا یہ نگر بھی ہو گیاchūr thā zaḳhmoñ se dil zaḳhmī jigar bhī ho gayāus ko rote the ke sonā ye nagar bhī ho gayā
- خوب آزادئ صحافت ہےنظم لکھنے پہ بھی قیامت ہےḳhūb āzādī-e-sihāfat hainazm likhne pe bhī qayāmat hai
- درخت سوکھ گئے رک گئے ندی نالےیہ کس نگر کو روانہ ہوئے ہیں گھر والےdaraḳht sūkh ga.e ruk ga.e nadī nāleye kis nagar ko ravāna hue haiñ ghar vāle
- دشمنوں نے جو دشمنی کی ہےدوستوں نے بھی کیا کمی کی ہےdushmanoñ ne jo dushmanī kī haidostoñ ne bhī kyā kamī kī hai
- دل پر جو زخم ہیں وہ دکھائیں کسی کو کیااپنا شریک درد بنائیں کسی کو کیاdil par jo zaḳhm haiñ vo dikhā.eñ kisī ko kyāapnā sharīk-e-dard banā.eñ kisī ko kyā
- دل پر شوق کو پہلو میں دبائے رکھاتجھ سے بھی ہم نے ترا پیار چھپائے رکھاdil par shauq ko pahlū meñ dabā.e rakhātujh se bhī ham ne tirā pyār chhupā.e rakhā
- دل کی بات لبوں پر لا کر اب تک ہم دکھ سہتے ہیںہم نے سنا تھا اس بستی میں دل والے بھی رہتے ہیںdil kī bāt laboñ par lā kar ab tak ham dukh sahte haiñham ne sunā thā is bastī meñ dil vāle bhī rahte haiñ
- دل والو کیوں دل سی دولت یوں بیکار لٹاتے ہوکیوں اس اندھیاری بستی میں پیار کی جوت جگاتے ہوdil vālo kyūñ dil sī daulat yūñ bekār luṭāte hokyūñ is andhiyārī bastī meñ pyār kī jot jagāte ho
- ذرے ہی سہی کوہ سے ٹکرا تو گئے ہمدل لے کے سر عرصۂ غم آ تو گئے ہمzarre hī sahī koh se ṭakrā to ga.e hamdil le ke sar arsa-e-ġham ā to ga.e ham
- شعر سے شاعری سے ڈرتے ہیںکم نظر روشنی سے ڈرتے ہیںsher se shāyarī se ḍarte haiñkam nazar raushnī se ḍarte haiñ
- شعر ہوتا ہے اب مہینوں میںزندگی ڈھل گئی مشینوں میںsher hotā hai ab mahīnoñ meñzindagī ḍhal ga.ī mashīnoñ meñ
- فیضؔ اور فیضؔ کا غم بھولنے والا ہے کہیںموت یہ تیرا ستم بھولنے والا ہے کہیںfaiz aur faiz kā ġham bhūlne vālā hai kahīñmaut ye terā sitam bhūlne vālā hai kahīñ
- کبھی تو مہرباں ہو کر بلا لیںیہ مہوش ہم فقیروں کی دعا لیںkabhī to mehrbāñ ho kar balā leñye mahvash ham faqīroñ kī duā leñ
- کچھ لوگ خیالوں سے چلے جائیں تو سوئیںبیتے ہوئے دن رات نہ یاد آئیں تو سوئیںkuchh log ḳhayāloñ se chale jā.eñ to soeñbīte hue din rāt na yād ā.eñ to soeñ
- کم پرانا بہت نیا تھا فراقاک عجب رمز آشنا تھا فراقkam purānā bahut nayā thā firāqik ajab ramz āshnā thā firāq
- کون بتائے کون سجھائے کون سے دیس سدھار گئےان کا رستہ تکتے تکتے نین ہمارے ہار گئےkaun batā.e kaun sujhā.e kaun se des sudhār ga.eun kā rasta takte takte nain hamāre hār ga.e
- کہیں آہ بن کے لب پر ترا نام آ نہ جائےتجھے بے وفا کہوں میں وہ مقام آ نہ جائےkahīñ āh ban ke lab par tirā nām ā na jā.etujhe be vafā kahoñ maiñ vo maqām ā na jā.e
- لوگ گیتوں کا نگر یاد آیاآج پردیس میں گھر یاد آیاlog gītoñ kā nagar yād āyāāj pardes meñ ghar yād āyā
- میرؔ و غالبؔ بنے یگانہؔ بنےآدمی اے خدا خدا نہ بنےmīr-o-ġhālib bane yagāna baneādmī ai ḳhudā ḳhudā na bane
- نہ ڈگمگائے کبھی ہم وفا کے رستے میںچراغ ہم نے جلائے ہوا کے رستے میںna ḍagmagā.e kabhī ham vafā ke raste meñcharāġh ham ne jalā.e havā ke raste meñ
- وطن کو کچھ نہیں خطرہ نظام زر ہے خطرے میںحقیقت میں جو رہزن ہے وہی رہبر ہے خطرے میںvatan ko kuchh nahīñ ḳhatra nizām-e-zar hai ḳhatre meñhaqīqat meñ jo rahzan hai vahī rahbar hai ḳhatre meñ
- وہ دیکھنے مجھے آنا تو چاہتا ہوگامگر زمانے کی باتوں سے ڈر گیا ہوگاvo dekhne mujhe ānā to chāhtā hogāmagar zamāne kī bātoñ se ḍar gayā hogā
- وہی حالات ہیں فقیروں کےدن پھرے ہیں فقط وزیروں کےvahī hālāt haiñ faqīroñ kedin phire haiñ faqat vazīroñ ke
- ہجوم دیکھ کے رستہ نہیں بدلتے ہمکسی کے ڈر سے تقاضا نہیں بدلتے ہمhujūm dekh ke rasta nahīñ badalte hamkisī ke ḍar se taqāzā nahīñ badalte ham
- ہم آوارہ گاؤں گاؤں بستی بستی پھرنے والےہم سے پریت بڑھا کر کوئی مفت میں کیوں غم کو اپنا لےham āvāra gā.oñ gā.oñ bastī bastī phirne vāleham se prīt baṛhā kar koī muft meñ kyūñ ġham ko apnā le
- ہم نے دل سے تجھے سدا ماناتو بڑا تھا تجھے بڑا ماناham ne dil se tujhe sadā mānātū baṛā thā tujhe baṛā mānā
- ہم نے سنا تھا صحن چمن میں کیف کے بادل چھائے ہیںہم بھی گئے تھے جی بہلانے اشک بہا کر آئے ہیںham ne sunā thā sehn-e-chaman meñ kaif ke bādal chhā.e haiñham bhī ga.e the jī bahlāne ashk bahā kar ā.e haiñ
- یوں وہ ظلمت سے رہا دست و گریباں یارواس سے لرزاں تھے بہت شب کے نگہباں یاروyūñ vo zulmat se rahā dast-o-garebāñ yārous se larzāñ the bahut shab ke nigahbāñ yāro