وہی حالات ہیں فقیروں کے
Habib Jalib (1928–1993)وہی حالات ہیں فقیروں کے
دن پھرے ہیں فقط وزیروں کے
اپنا حلقہ ہے حلقۂ زنجیر
اور حلقے ہیں سب امیروں کے
ہر بلاول ہے دیس کا مقروض
پاؤں ننگے ہیں بے نظیروں کے
وہی اہل وفا کی صورت حال
وارے نیارے ہیں بے ضمیروں کے
سازشیں ہیں وہی خلاف عوام
مشورے ہیں وہی مشیروں کے
بیڑیاں سامراج کی ہیں وہی
وہی دن رات ہیں اسیروں کے
wahi halat hain faqiron ke
din phire hain faqat waziron ke
apna halqa hai halqa-e-zanjir
aur halqe hain sab amiron ke
har bilawal hai des ka maqruz
paon nange hain be naziron ke
wahi ahl-e-wafa ki surat hal
ware niare hain be zamiron ke
sazishen hain wahi khilaf-e-awam
mashware hain wahi mushiron ke
beriyan samraj ki hain wahi
wahi din rat hain asiron ke