Poet
انعام اللہ خاں یقین
Poems
- اس قدر غرق لہو میں یہ دل زار نہ تھاجب حنا سے ترے پاؤں کو سروکار نہ تھاis qadar ġharq lahū meñ ye dil-e-zār na thājab hinā se tire pā.oñ ko sarokār na thā
- اس گل سے کچھ حجاب ہمیں درمیاں نہ تھاجس دن کہ یہ بہار نہ تھی گلستاں نہ تھاus gul se kuchh hijāb hameñ darmiyāñ na thājis din ke ye bahār na thī gulsitāñ na thā
- اگرچہ عشق میں آفت ہے اور بلا بھی ہےنرا برا نہیں یہ شغل کچھ بھلا بھی ہےagarche ishq meñ āfat hai aur balā bhī hainarā burā nahīñ ye shaġhl kuchh bhalā bhī hai
- بہار آئی ہے کیا کیا چاک جیب پیرہن کرتےجو ہم بھی چھوٹ جاتے اب تو کیا دیوانہ پن کرتےbahār ā.ī hai kyā kyā chāk-e-jeb-e-pairahan kartejo ham bhī chhūṭ jāte ab to kyā dīvāna pan karte
- تیری آنکھوں کی کیفیت کو میخانے سے کیا نسبتنگہ کی گردشوں کو دور پیمانے سے کیا نسبتterī ānkhoñ kī kaifiyat ko maiḳhāne se kyā nisbatnigah kī gardishoñ ko dūr paimāne se kyā nisbat
- ٹک اک انصاف کر اتنی بھی کرتا ہے جفا کوئیکرے گا بعد میرے کس توقع پر وفا کوئیṭuk ik insāf kar itnī bhī kartā hai jafā koīkaregā ba.ad mere kis tavaqqo par vafā koī
- چلا آنکھوں سے جب کشتی میں وہ محبوب جاتا ہےکبھی آنکھیں بھر آتی ہیں کبھی جی ڈوب جاتا ہےchalā ānkhoñ se jab kashtī meñ vo mahbūb jātā haikabhī ānkheñ bhar ātī haiñ kabhī jī ḍūb jātā hai
- چمن میں مجھ سے دیوانے کے لے جانے سے کیا حاصلدکھا کر گل جنوں کو شور میں لانے سے کیا حاصلchaman meñ mujh se dīvāne ke le jāne se kyā hāsildikhā kar gul junūñ ko shor meñ lāne se kyā hāsil
- حق مجھے باطل آشنا نہ کرےمیں بتوں سے پھروں خدا نہ کرےhaq mujhe bātil āshnā na karemaiñ butoñ se phirūñ ḳhudā na kare
- دل نہیں کھنچتا ہے بن مجنوں بیاباں کی طرفخوش نہیں آتا نظر کرنا غزالاں کی طرفdil nahīñ khiñchtā hai ban majnūñ bayābāñ kī tarafḳhush nahīñ ātā nazar karnā ġhazālāñ kī taraf
- دوانہ مجھ سا کب جیتا ہے کیوں تدبیر کرتے ہیںکوئی دن چلنے پھرنے دیں عبث زنجیر کرتے ہیںdīvāna mujh sā kab jītā hai kyūñ tadbīr karte haiñkoī din chalne phirne deñ abas zanjīr karte haiñ
- سریر سلطنت سے آستان یار بہتر تھاہمیں ظل ہما سے سایۂ دیوار بہتر تھاsarīr-e-saltanat se āstān-e-yār behtar thāhameñ zill-e-humā se sāya-e-dīvār behtar thā
- شب ہجراں کی وحشت کو تو اے بیداد کیا جانےجو دن پڑتے ہیں راتوں کو مجھے تیری بلا جانےshab-e-hijrāñ kī vahshat ko to ai bedād kyā jānejo din paṛte haiñ rātoñ ko mujhe terī balā jāne
- شہر میں تھا نہ ترے حسن کا یہ شور کبھومصر اس جنس سے اتنا نہ تھا معمور کبھوshahr meñ thā na tire husn kā ye shor kabhūmisr is jins se itnā na thā ma.amūr kabhū
- عشق تیرے سے لگاوے نہ خدا عار مجھےنہ کرے دام رہائی میں گرفتار مجھےishq tere se lagāve na ḳhudā ār mujhena kare dām rihā.ī meñ giraftār mujhe
- عمر آخر ہے جنوں کر لوں بہاراں پھر کہاںہاتھ مت پکڑو مرا یارو گریباں پھر کہاںumr āḳhir hai junūñ kar lūñ bahārāñ phir kahāñhāth mat pakṛo mirā yāro garebāñ phir kahāñ
- کار دیں اس بت کے ہاتھوں ہائے ابتر ہو گیاجس مسلماں نے اسے دیکھا وہ کافر ہو گیاkār deñ us but ke hāthoñ hā.e abtar ho gayājis musalmāñ ne use dekhā vo kāfir ho gayā
- کب سنے زنجیر مجھ مجروح دیوانے کی عرضنیں پہنچتی کان تک اس زلف کے شانے کی عرضkab sune zanjīr mujh majrūh dīvāne kī arznaiñ pahuñchtī kān tak is zulf ke shāne kī arz
- کر سکے کیا عقل میرے غم کے جانے کا علاجکام کب آتا ہے دیوانوں کو سیانے کا علاجkar sake kyā aql mere ġham ke jāne kā ilājkām kab ātā hai dīvānoñ ko siyāne kā ilāj
- کم نہیں ہم بوجھتے کعبہ سے میخانے کے تئیںسجدہ ہم کرتے ہیں جوں محراب پیمانے کے تئیںkam nahīñ ham būjhte ka.aba se maiḳhāne ke ta.īñsajda ham karte haiñ jūñ mehrāb paimāne ke ta.īñ
- کوئی میداں نہ جیتا عشق کا فرہاد کے آگےکسو نے دم نہ مارا تیشۂ فولاد کے آگےkoī maidāñ na jītā ishq kā farhād ke āgekisū ne dam na mārā tesha-e-faulād ke āge
- کیا دل ہے اگر جلوہ گہہ یار نہ ہووےہے طور سے کیا کام جو دیدار نہ ہووےkyā dil hai agar jalva gah yār na hovehai tūr se kyā kām jo dīdār na hove
- گریباں پھاڑتے ہیں دیکھ خوبان چمن کیوں کرنہ کیجے چاک ناصح اس ہوا میں پیرہن کیوں کرgarebāñ phāṛte haiñ dekh ḳhūbān-e-chaman kyūñ karna kīje chāk nāseh is havā meñ pairahan kyūñ kar
- گئے سب بھول شکوے دیکھ روئے یار کیا کہیےزباں حیرت سے میری ہو گئی بے کار کیا کہیےga.e sab bhūl shikve dekh rū-e-yār kyā kahiyezabāñ hairat se merī ho ga.ī be kār kyā kahiye
- محبت میں مروت کی حکایت کے سخن خالیکہ جوں فانوس دل کی شمع بن ہے پیرہن خالیmohabbat meñ muravvat kī hikāyat ke suḳhan ḳhālīke jūñ fānūs dil kī sham.a ban hai pairahan ḳhālī
- مصر میں حسن کی وہ گرمئ بازار کہاںجنس تو ہے پہ زلیخا سا خریدار کہاںmisr meñ husn kī vo garmī-e-bāzār kahāñjins to hai pe zuleḳhā sā ḳharīdār kahāñ
- مفت کب آزاد کرتی ہے گرفتاری مجھےجی ہے آخر لے کے چھوڑے گی یہ بیماری مجھےmuft kab āzād kartī hai giraftārī mujhejī hai āḳhir le ke chhoṛegī ye bīmārī mujhe
- منہ پہ کھاتا ہے یہ اس طرح سے تلوار کہ بسدل مرا عشق میں ایسا ہے جگر دار کہ بسmuñh pe khātā hai ye is tarah se talvār ke basdil mirā ishq meñ aisā hai jigar dār ke bas
- وہ کون دل ہے جہاں جلوہ گر وہ نور نہیںاس آفتاب کا کس ذرہ میں ظہور نہیںvo kaun dil hai jahāñ jalva gar vo nūr nahīñis āftāb kā kis zarra meñ zuhūr nahīñ
- ہے ترے داغ سے تر سینۂ سوزاں میراآب و رنگ آگ سے رکھتا ہے گلستاں میراhai tire dāġh se tar sīna-e-sozāñ merāāb-o-rang āg se rakhtā hai gulistāñ merā
- یار کب دل کی جراحت پہ نظر کرتا ہےکون اس کوچے میں جز تیرے گزر کرتا ہےyār kab dil kī jarāhat pe nazar kartā haikaun us kūche meñ juz tere guzar kartā hai
- یہ وہ آنسو ہیں جن سے زہرہ آتش ناک ہو جاوےاگر پیوے کوئی ان کو تو جل کر خاک ہو جاوےye vo ānsū haiñ jin se zohra ātish nāk ho jāveagar pīve koī un ko to jal kar ḳhāk ho jāve
- پڑ گئی دل میں ترے تشریف فرمانے میں دھومباغ میں مچتی ہے جیسے فصل گل آنے میں دھومpaṛ ga.ī dil meñ tire tashrīf farmāne meñ dhūmbāġh meñ machtī hai jaise fasl-e-gul āne meñ dhūm
- جب دیکھتا ہوں تنہا تجھ کو سجن چمن میںکس کس طرح کی باتیں آتی ہیں میرے من میںjab dekhtā hūñ tanhā tujh ko sajan chaman meñkis kis tarah kī bāteñ ātī haiñ mere man meñ
- نہیں معلوم اب کی سال مے خانے پہ کیا گزراہمارے توبہ کر لینے سے پیمانے پہ کیا گزراnahīñ ma.alūm ab kī sāl mai ḳhāne pe kyā guzrāhamāre tauba kar lene se paimāne pe kyā guzrā