Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

انعام اللہ خاں یقین

Poems

Meter
  1. is qadar ġharq lahū meñ ye dil-e-zār na thājab hinā se tire pā.oñ ko sarokār na thā
  2. us gul se kuchh hijāb hameñ darmiyāñ na thājis din ke ye bahār na thī gulsitāñ na thā
  3. agarche ishq meñ āfat hai aur balā bhī hainarā burā nahīñ ye shaġhl kuchh bhalā bhī hai
  4. bahār ā.ī hai kyā kyā chāk-e-jeb-e-pairahan kartejo ham bhī chhūṭ jāte ab to kyā dīvāna pan karte
  5. terī ānkhoñ kī kaifiyat ko maiḳhāne se kyā nisbatnigah kī gardishoñ ko dūr paimāne se kyā nisbat
  6. ṭuk ik insāf kar itnī bhī kartā hai jafā koīkaregā ba.ad mere kis tavaqqo par vafā koī
  7. chalā ānkhoñ se jab kashtī meñ vo mahbūb jātā haikabhī ānkheñ bhar ātī haiñ kabhī jī ḍūb jātā hai
  8. chaman meñ mujh se dīvāne ke le jāne se kyā hāsildikhā kar gul junūñ ko shor meñ lāne se kyā hāsil
  9. haq mujhe bātil āshnā na karemaiñ butoñ se phirūñ ḳhudā na kare
  10. dil nahīñ khiñchtā hai ban majnūñ bayābāñ kī tarafḳhush nahīñ ātā nazar karnā ġhazālāñ kī taraf
  11. dīvāna mujh sā kab jītā hai kyūñ tadbīr karte haiñkoī din chalne phirne deñ abas zanjīr karte haiñ
  12. sarīr-e-saltanat se āstān-e-yār behtar thāhameñ zill-e-humā se sāya-e-dīvār behtar thā
  13. shab-e-hijrāñ kī vahshat ko to ai bedād kyā jānejo din paṛte haiñ rātoñ ko mujhe terī balā jāne
  14. shahr meñ thā na tire husn kā ye shor kabhūmisr is jins se itnā na thā ma.amūr kabhū
  15. ishq tere se lagāve na ḳhudā ār mujhena kare dām rihā.ī meñ giraftār mujhe
  16. umr āḳhir hai junūñ kar lūñ bahārāñ phir kahāñhāth mat pakṛo mirā yāro garebāñ phir kahāñ
  17. kār deñ us but ke hāthoñ hā.e abtar ho gayājis musalmāñ ne use dekhā vo kāfir ho gayā
  18. kab sune zanjīr mujh majrūh dīvāne kī arznaiñ pahuñchtī kān tak is zulf ke shāne kī arz
  19. kar sake kyā aql mere ġham ke jāne kā ilājkām kab ātā hai dīvānoñ ko siyāne kā ilāj
  20. kam nahīñ ham būjhte ka.aba se maiḳhāne ke ta.īñsajda ham karte haiñ jūñ mehrāb paimāne ke ta.īñ
  21. koī maidāñ na jītā ishq kā farhād ke āgekisū ne dam na mārā tesha-e-faulād ke āge
  22. kyā dil hai agar jalva gah yār na hovehai tūr se kyā kām jo dīdār na hove
  23. garebāñ phāṛte haiñ dekh ḳhūbān-e-chaman kyūñ karna kīje chāk nāseh is havā meñ pairahan kyūñ kar
  24. ga.e sab bhūl shikve dekh rū-e-yār kyā kahiyezabāñ hairat se merī ho ga.ī be kār kyā kahiye
  25. mohabbat meñ muravvat kī hikāyat ke suḳhan ḳhālīke jūñ fānūs dil kī sham.a ban hai pairahan ḳhālī
  26. misr meñ husn kī vo garmī-e-bāzār kahāñjins to hai pe zuleḳhā sā ḳharīdār kahāñ
  27. muft kab āzād kartī hai giraftārī mujhejī hai āḳhir le ke chhoṛegī ye bīmārī mujhe
  28. muñh pe khātā hai ye is tarah se talvār ke basdil mirā ishq meñ aisā hai jigar dār ke bas
  29. vo kaun dil hai jahāñ jalva gar vo nūr nahīñis āftāb kā kis zarra meñ zuhūr nahīñ
  30. hai tire dāġh se tar sīna-e-sozāñ merāāb-o-rang āg se rakhtā hai gulistāñ merā
  31. yār kab dil kī jarāhat pe nazar kartā haikaun us kūche meñ juz tere guzar kartā hai
  32. ye vo ānsū haiñ jin se zohra ātish nāk ho jāveagar pīve koī un ko to jal kar ḳhāk ho jāve