Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Fani Badayuni

فانی بدایونی

1879–1941

Poems

  1. āp se sharh-e-ārzū to kareñāp taklīf-e-guftugū to kareñ
  2. ānkh uṭhā.ī hī thī ke khā.ī choṭbach ga.ī ānkh dil pe ā.ī choṭ
  3. āh ab tak to be asar na huīkuchh tumheñ ko mirī ḳhabar na huī
  4. āh se yā āh kī tāsīr sejī bahal jātā kisī tadbīr se
  5. ab unheñ apnī adā.oñ se hijāb ātā haichashm-e-bad dūr dulhan ban ke shabāb ātā hai
  6. ibtidā-e-ishq hai lutf-e-shabāb āne ko haisabr ruḳhsat ho rahā hai iztirāb āne ko hai
  7. ab lab pe vo hangāma-e-fariyād nahīñ haiallāh re tirī yād ke kuchh yād nahīñ hai
  8. adā se āṛ meñ ḳhanjar ke muñh chhupā.e huemirī qazā ko vo lā.e dulhan banā.e hue
  9. ik fasāna sun ga.e ik kah ga.emaiñ jo royā muskurā kar rah ga.e
  10. ai ajal ai jān fānī tū ne ye kyā kar diyāmār ḍālā marne vāle ko ke achchhā kar diyā
  11. ai maut tujh pe umr-e-abad kā madār haitū etibār-e-hastī-e-be etibār hai
  12. bijliyāñ ṭūṭ paṛeñ jab vo muqābil se uṭhāmil ke palṭī thīñ nigāheñ ke dhuāñ dil se uṭhā
  13. be ajal kām na apnā kisī unvāñ niklādam to niklā magar āzurda-e-ehsāñ niklā
  14. be ḳhudī pe thā fānī kuchh na iḳhtiyār apnāumr bhar kiyā nāhaq ham ne intizār apnā
  15. be zauq-e-nazar bazm-e-tamāshā na rahegīmuñh pher liyā ham ne to duniyā na rahegī
  16. tirī tirchhī nazar kā tīr hai mushkil se niklegādil us ke sāth niklegā agar ye dil se niklegā
  17. terā nigāh-e-shauq koī rāz dāñ na thāānkhoñ ko varna jalva-e-jānāñ kahāñ na thā
  18. jab pursish hāl vo farmāte haiñ jāniye kyā ho jātā haikuchh yūñ bhī zabāñ nahīñ khultī kuchh dard sivā ho jātā hai
  19. jab dil meñ tire ġham ne hasrat kī banā ḍālīduniyā mirī rāhat kī qismat ne miṭā ḍālī
  20. jazb-e-dil jab barū-e-kār āyāhar nafas se payām-e-yār āyā
  21. justujū-e-nishāt-e-mub.ham kyādil muyassar hai lazzat-e-ġham kyā
  22. jin ḳhāk ke zarroñ par vo sāya-e-mahmil thājo ḳhāk kā zarra thā vahshat kada-e-dil thā
  23. jī ḍhūñḍhtā hai ghar koī donoñ jahāñ se dūris āp kī zamīñ se alag āsmāñ se dūr
  24. jīne kī hai ummīd na marne kā yaqīñ haiab dil kā ye ālam hai na duniyā hai na deñ hai
  25. hāsil-e-ilm bashar jahl kā irfāñ honāumr bhar aql se sīkhā kiye nādāñ honā
  26. ḳhudā asar se bachā.e is āstāne koduā chalī hai mirī qismat āzmāne ko
  27. ḳhalq kahtī hai jise dil tire dīvāne kāek gosha hai ye duniyā isī vīrāne kā
  28. ḳhud masīhā ḳhud hī qātil haiñ to vo bhī kyā kareñzaḳhm paidā kareñ yā zaḳhm-e-dil achchhā kareñ
  29. ḳhushī se ranj kā badlā yahāñ nahīñ miltāvo mil ga.e to mujhe āsmāñ nahīñ miltā
  30. dil kī har larzish-e-muztar pe nazar rakhte haiñvo merī be ḳhabarī kī bhī ḳhabar rakhte haiñ
  31. duniyā-e-husn-o-ishq meñ kis kā zuhūr thāhar ānkh barq pāsh thī har zarra tūr thā
  32. der meñ yā haram meñ guzregīumr tere hī ġham meñ guzregī
  33. ḍaro na tum ke na sun le kahīñ ḳhudā merīke rūshanās ijābat nahīñ duā merī
  34. rah jā.e yā balā se ye jān rah na jā.eterā to ai sitamgar armān rah na jā.e
  35. zabāñ mudda.ā āshnā chāhtā hūñdil ab zindagī se ḳhafā chāhtā hūñ
  36. zindagī jabr hai aur jabr ke āsār nahīñhā.e is qaid ko zanjīr bhī darkār nahīñ
  37. zīst kā hāsil banāyā dil jo goyā kuchh na thāġham ne dil ko dil banāyā varna kyā thā kuchh na thā
  38. sitam ījād rahoge sitam ījād raheis meñ ab shād rahe yā koī nāshād rahe
  39. sang-e-dar dekh ke sar yād āyākoī dīvāna magar yād āyā
  40. savāl-e-dīd pe tevrī chaṛhā.ī jātī haimajāl-e-dīd pe bijlī girā.ī jātī hai
  41. shabāb hosh ke fī aljumla yādgār huījo umr sirf-e-tamāshā-e-husn-e-yār huī
  42. shauq se nākāmī kī badaulat kūcha-e-dil hī chhūṭ gayāsārī ummīdeñ ṭūṭ ga.īñ dil baiṭh gayā jī chhūṭ gayā
  43. zabt apnā shi.ār thā na rahādil pe kuchh iḳhtiyār thā na rahā
  44. ishq ishq ho shāyad husn meñ fanā ho karintihā huī ġham kī dil kī ibtidā ho kar
  45. qasam na khā.o taġhāful se bāz āne kīke dil meñ ab nahīñ tāqat satā.e jāne kī
  46. qissa-e-zīst muḳhtasar kartekuchh to apnī sī chāra gar karte
  47. qatra dariyā-e-āshnā.ī haikyā tirī shān kibriyā.ī hai
  48. kuchh bas hī na thā varna ye ilzām na leteham tujh se chhupā kar bhī tirā nām na lete
  49. kuchh kam to huā ranj farāvān tamannāāġhāz-e-junūñ go nahīñ pāyān-e-tamannā
  50. kisī ke ek ishāre meñ kis ko kyā na milābashar ko zīst milī maut ko bahāna milā