Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Allama Iqbal

Poet

Allama Iqbal

محمد اقبال

1877–1938Born in SialkotDied in Lahore

Muhammad Iqbal was a poet and philosopher who wrote in Urdu and Persian. He studied in Lahore, Cambridge and Munich, then practised law in Lahore while writing on religion and politics. His Urdu collections include Bang-e-Dara, Bal-e-Jibril and Zarb-e-Kalim. His 1930 Allahabad Address set out a political framework for the Muslim-majority regions of north-western India, and Pakistan honours him as its national poet.

Writes about

  • Selfhood
  • Muslim revival
  • Philosophy
  • Nature

Poems

  1. gulzār-e-hast-o-būd na begāna vār dekhhai dekhne kī chīz use bār bār dekh
  2. na āte, hameñ is meñ takrār kyā thīmagar va.ada karte hue ār kyā thī
  3. ajab vā.iz kī deñdārī hai yā rab!adāvat hai use sāre jahāñ se
  4. lā.ūñ vo tinke kahīñ se āshiyāne ke liyebijliyāñ be tāb hūñ jin ko jalāne ke liye
  5. kyā kahūñ apne chaman se maiñ judā kyūñkar huāaur asīr-e-halqa-e-dām-e-havā kyūñkar huā
  6. anokhī vaz.a hai, sāre zamāne se nirāle haiñye āshiq kaun sī bastī ke yā rab rahne vāle haiñ
  7. zāhir kī ānkh se na tamāshā kare koīho dekhnā to dedah dil vā kare koī
  8. kahūñ kyā ārzūe be dilī mujh ko kahāñ tak haimire bāzār kī raunaq hī saudā-e-ziyāñ tak hai
  9. jinheñ maiñ ḍhūñḍtā thā āsmānoñ meñ zamīnoñ meñvo nikle mere zulmat ḳhāna-e-dil ke makīnoñ meñ
  10. tire ishq kī intihā chāhtā hūñmirī sādgī dekh kyā chāhtā hūñ
  11. kushāda dast-e-karam jab vo be niyāz kareniyāz mand na kyūñ ājizī pe nāz kare
  12. saḳhtiyāñ kartā hūñ dil par, ġhair se ġhāfil hūñ maiñhā.e kyā achchhī kahī zālim hūñ maiñ, jāhil hūñ maiñ
  13. majnūñ ne shahr chhoṛā to sahrā bhī chhoṛ denazzāre kī havas ho to lailā bhī chhoṛ de
  14. zindagī insāñ kī ik dam ke sivā kuchh bhī nahīñdam havā kī mauj hai, ram ke sivā kuchh bhī nahīñ
  15. ilāhī aql-e-ḳhajsata-e-pe ko zarā sī dīvāngī sikhā deuse hai saudā-e-baḳhiya kārī, mujhe sar-e-pairahan nahīñ hai
  16. zamāna dekhegā jab mire dil se mahshar uṭṭhegā guftugū kāmirī ḳhamoshī nahīñ hai, goyā mazār hai harf-e-ārzū kā
  17. chamak terī ayāñ bijlī meñ, ātish meñ, sharāre meñjhalak terī huvaidā chānd meñ, sūraj meñ, tāre meñ
  18. yūñ to ai bazm-e-jahāñ! dilkash the hangāme tireik zarā afsurdagī tere tamāshā.oñ meñ thī
  19. misāl-e-partau-e-mai tauf-e-jām karte haiñyahī namāz adā sub.h-o-shām karte haiñ
  20. zamāna āyā hai be hijābī kā, ām dīdār-e-yār hogāsukūt thā parda dār jis kā, vo rāz ab āshkār hogā
  21. ai bād-e-sabā! kamlī vāle se jā kahiyo paiġhām mirāqabze se ummat bechārī ke deñ bhī gayā, duniyā bhī ga.ī
  22. ye surūd-e-qumrī-o-bulbul fareb-e-gosh haibātin-e-hangāma ābād-e-chaman ḳhāmosh hai
  23. nāla hai bulbul-e-shorīda tirā ḳhām abhīapne sīne meñ use aur zarā thām abhī
  24. parda chehre se uṭhā, anjuman ārā.ī karchashm-e-mehr-o-mah-o-anjum ko tamāshā.ī kar
  25. phir bād-e-bahār ā.ī, iqbāl ġhazal ḳhvāñ hoġhuncha hai agar gul ho, gul hai to gulistāñ ho
  26. bhī ai haqīqat muntazir nazar libās-e-majāz meñke hazāroñ sajde taṛap rahe haiñ mirī jabīn-e-niyāz meñ
  27. tah-e-dām bhī ġhazal āshnā rahe tā.irān-e-chaman to kyājo fuġhāñ diloñ meñ taṛap rahī thī, navā-e-zer-e-labī rahī
  28. garche tū zindānī-e-asbāb haiqalb ko lekin zarā āzād rakh
  29. merī navā-e-shauq se shor-e-harīm-e-zāt meñġhalġhala hā-e-alamāñ but kadeh sifāt meñ
  30. agar kaj rau haiñ anjum, āsmāñ terā hai yā merāmujhe fikr-e-jahāñ kyūñ ho, jahāñ terā hai yā merā?
  31. gesū-e-tābdār ko aur bhī tābdār karhosh-o-ḳhirad shikār kar, qalb-o-nazar shikār kar
  32. asar kare na kare, sun to le mirī fariyādnahīñ hai dād kā tālib ye bandah āzād
  33. kyā ishq ek zindagī-e-musta.ār kākyā ishq pā.idār se nāpā.idār kā
  34. pareshāñ hoke merī ḳhāk āḳhir dil na ban jā.ejo mushkil ab hai yā rab phir vahī mushkil na ban jā.e
  35. digargūñ hai jahāñ, tāroñ kī gardish tez hai sāqīdil har zarra meñ ġhauġhā-e-rastāḳhez hai sāqī
  36. lā phir ik bār vahī bāda-o-jām ai sāqīhāth ā jā.e mujhe merā maqām ai sāqī!
  37. miṭā diyā mire sāqī ne ālam-e-man-o-topilā ke mujh ko mai lā ala illā ho
  38. matā-e-bebahā hai dard-o-soz-e-ārzūmandīmaqām-e-bandagī de kar na lūñ shān-e-ḳhudāvandī
  39. tujhe yād kyā nahīñ hai mire dil kā vo zamānavo adab gah-e-mohabbat, vo nigah kā tāziyāna
  40. zamīr-e-lāla mai la.al se huā labrezishāra pāte hī sūfī ne toṛ dī parhez
  41. vahī merī kam nasībī, vahī terī be niyāzīmere kām kuchh na āyā ye kamāl ne navāzī
  42. apnī jaulāñgāh zer-e-āsmāñ samjhā thā maiñāb-o-gil ke khel ko apnā jahāñ samjhā thā maiñ
  43. ik dānish-e-nūrānī, ik dānish-e-burhānīhai dānish-e-burhānī, hairat kī farāvānī
  44. yā rab! ye jahān-e-guzarāñ ḳhūb hai lekinkyūñ ḳhvār haiñ mardān-e-safā kesh-o-hunarmand
  45. samā saktā nahīñ pahnā.e fitrat meñ mirā saudāġhalat thā ai junūñ shāyad tirā andāza-e-sahrā
  46. ye kaun ġhazal ḳhvāñ hai pursoz-o-nishāt angezandesha-e-dānā ko kartā hai junūñ āmez
  47. vo harf-e-rāz ke mujh ko sikhā gayā hai junūñḳhudā mujhe nafas-e-jibra.īl de to kahūñ
  48. ālim-e-āb-o-ḳhāk-o-bād! sirr-e-ayāñ hai tū ke maiñvo jo nazar se hai nihāñ, us kā jahāñ hai tū ke maiñ
  49. tū abhī rah guzar meñ hai, qaid-e-maqām se guzarmisr-o-hijāz se guzar, pāras-o-shām se guzar
  50. amīn-e-rāz hai mardān-e-har kī darveshīke jibra.īl se hai us ko nisbat-e-ḳhveshī