Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ahmad Faraz

احمد فراز

1931–2008Born in KohatDied in Islamabad

Syed Ahmad Shah wrote under the pen name Ahmad Faraz. He studied Urdu and Persian at Peshawar, worked for Radio Pakistan and as a university lecturer, and in 1976 became the first head of the Pakistan Academy of Letters. Poems against military rule under Zia-ul-Haq led to his arrest and some years of self-exile. His collections include Tanha Tanha, Dard-e-Ashob and Janan Janan.

Writes about

  • Love
  • Resistance
  • Exile
  • Dissent

Poems

  1. gila fuzūl thā ahd-e-vafā ke hote hueso chup rahā sitam nāravā ke hote hue
  2. gumāñ yahī hai ke dil ḳhud idhar ko jātā haiso shak kā fā.ida us kī nazar ko jātā hai
  3. le uṛā phir koī ḳhayāl hameñsāqiyā sāqiyā sambhāl hameñ
  4. misāl-e-dast-e-zuleḳhā tapāk chāhtā haiye dil bhī dāman-e-yūsuf hai chāk chāhtā hai
  5. mizāj ham se ziyāda judā na thā us kājab apne taur yahī the to kyā gila us kā
  6. mustaqil mahrūmiyoñ par bhī to dil mānā nahīñlākh samjhāyā ke is mahfil meñ ab jānā nahīñ
  7. muntazir kab se tahayyur hai tirī taqrīr kābāt kar tujh par gumāñ hone lagā tasvīr kā
  8. manzileñ ek sī āvārgiyāñ ek sī haiñmuḳhtalif ho ke bhī sab zindagiyāñ ek sī haiñ
  9. maiñ bhī palkoñ pe sajā lūñgā lahū kī būndeñtum bhī pā basta zanjīr hinā ho jānā
  10. maiñ to maqtal meñ bhī qismat kā sikandar niklāqura-e-fāl mire nām kā aksar niklā
  11. nazar bujhī to karishme bhī roz-o-shab ke ga.eke ab talak nahīñ ā.e haiñ log jab ke ga.e
  12. nauha garoñ meñ dīda-e-tar bhī usī kā thāmujh par ye zulm bār-e-digar bhī usī kā thā
  13. na terā qurb na bāda hai kyā kyā jā.ephir āj dukh bhī ziyāda hai kyā kyā jā.e
  14. na harīf-e-jāñ na sharīk-e-ġham-e-shab intizār koī to hokise bazm-e-shauq meñ lā.eñ ham dil-e-be qarār koī to ho
  15. na dil se āh na lab se sadā nikaltī haimagar ye bāt baṛī dūr jā nikaltī hai
  16. na sah sakā jab masāfatoñ ke azāb sāretū kar ga.e kūch merī ānkhoñ se ḳhvāb sāre
  17. na shab-o-roz hī badle haiñ na hāl achchhā haikis barahman ne kahā thā ke ye sāl achchhā hai
  18. na manziloñ ko na ham rah guzar ko dekhte haiñajab safar hai ke bas ham safar ko dekhte haiñ
  19. nahīñ ke nāma buroñ ko talāsh karte haiñham apne be ḳhabroñ ko talāsh karte haiñ
  20. vahshat-e-dil sila-e-ābla pā.ī le lemujh se yārab mire lafzoñ kī kamā.ī le le
  21. vahshateñ baṛhtī ga.īñ hijr ke āzār ke sāthab to ham bāt bhī karte nahīñ ġham ḳhvār ke sāth
  22. vafā ke bāb meñ ilzām-e-āshiqī na liyāke terī bāt kī aur terā nām bhī na liyā
  23. vo dushman-e-jāñ jān se pyārā bhī kabhī thāab kis se kahīñ koī hamārā bhī kabhī thā
  24. vahī sach bolne vālā hamārā dost dekhogale meñ tauq pā.oñ meñ rasan pahne hue hai
  25. har āshnā meñ kahāñ ḳhū-e-mahramāna voke be vafā thā magar dost thā purānā vo
  26. har ek bāt na kyūñ zahr sī hamārī lageke ham ko dast-e-zamāna se zaḳhm-e-kārī lage
  27. har tamāshā.ī faqat sāhil se manzar dekhtākaun dariyā ko ulaṭṭā kaun gauhar dekhtā
  28. har koī dil kī hathelī pe hai sahrā rakhekis ko sairāb kare vo kise pyāsā rakhe
  29. har koī turra-e-pechāk pahan kar niklāek maiñ pairahan-e-ḳhāk pahan kar niklā
  30. ham bhī shāyar the kabhī jān-e-suḳhan yād nahīñtujh ko bhūle haiñ to dil dārī-e-fan yād nahīñ
  31. ham to ḳhush the ke chalo dil kā junūñ kuchh kam haiab jo ārām bahut hai to sukūñ kuchh kam hai
  32. ham to yūñ ḳhush the ke ik tār-e-garebān meñ haikyā ḳhabar thī ke bahār us ke bhī armān meñ hai
  33. havā ke zor se pindār-e-bām-o-dar bhī gayācharāġh ko jo bachāte the un kā ghar bhī gayā
  34. huī hai shām to ānkhoñ meñ bas gayā phir tokahāñ gayā hai mire shahr ke musāfir to
  35. yūñ to pahle bhī hue us se ka.ī bār judālekin ab ke nazar āte haiñ kuchh āsār judā
  36. yūñ hī mar mar ke jiyeñ vaqt guzāre jā.eñzindagī ham tire hāthoñ se na māre jā.eñ
  37. ye be dilī hai to kashtī se yār kyā utreñidhar bhī kaun hai dariyā ke pār kyā utreñ
  38. ye habs to jaltī huī rut se bhī girāñ haiai ṭhahre hue abr-e-karam ab to baras bhī
  39. ye shahr-e-sehr zada hai sadā kisī kī nahīñyahāñ ḳhud apne liye bhī duā kisī kī nahīñ
  40. ye tabī.at hai to ḳhud āzār ban jā.eñge hamchāra gar roeñge aur ġham ḳhvār ban jā.eñge ham
  41. ye ālam shauq kā dekhā na jā.evo but hai yā ḳhudā dekhā na jā.e
  42. ye kyā ke sab se bayāñ dil kī hālateñ karnīfarāz tujh ko na ā.eñ mohabbateñ karnī
  43. ye maiñ bhī kyā hūñ use bhūl kar usī kā rahāke jis ke sāth na thā ham safar usī kā rahā