Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Adil Mansuri

عادل منصوری

1936–2008

Poems

  1. ādhoñ kī taraf se kabhī paunoñ kī taraf seāvāze kise jāte haiñ bonoñ kī taraf se
  2. ab ṭūṭne hī vālā hai tanhā.ī kā hisārik shaḳhs chīḳhtā hai samundar ke ār pār
  3. iblāġh ke badan meñ tajassus kā silsilaṭūṭā hai chashm-e-ḳhvāb meñ hairat kā ā.īna
  4. ek qatra ashk kā chhalkā to dariyā kar diyāek musht-e-ḳhāk jo bikhrī to sahrā kar diyā
  5. badan par na.ī fasl āne lagīhavā dil meñ ḳhvāhish jagāne lagī
  6. bismil ke taṛapne kī adā.oñ meñ nasha thāmaiñ hāth meñ talvār liye jhūm rahā thā
  7. bhūl kar bhī na phir milegā tojāntā hūñ yahī karegā to
  8. pānī ko patthar kahte haiñkyā kuchh dīda var kahte haiñ
  9. pahlū ke ār pār guzartā huā sā hoik shaḳhs ā.īne meñ utartā huā sā ho
  10. phir kisī ḳhvāb ke parde se pukārā jā.ūñphir kisī yād kī talvār se mārā jā.ūñ
  11. phaile hue haiñ shahr meñ sā.e niḍhāl sejā.eñ kahāñ nikal ke ḳhayāloñ ke jāl se
  12. jalne lage ḳhalā meñ havā.oñ ke naqsh-e-pāsūraj kā hāth shām kī gardan pe jā paṛā
  13. jo chīz thī kamre meñ vo be rabt paṛī thītanhā.ī-e-shab band-e-qabā khol rahī thī
  14. jītā hai sirf tere liye kaun mar ke dekhik roz merī jān ye harkat bhī kar ke dekh
  15. chāroñ taraf se maut ne gherā hai zīst koaur us ke sāth hukm ke ab zindagī karo
  16. chehre pe chammachitī huī dhūp mar ga.īsūraj ko ḍhaltā dekh ke phir shām ḍar ga.ī
  17. haj kā safar hai is meñ koī sāth bhī to hoparda nashīñ se apnī mulāqāt bhī to ho
  18. darvāza band dekh ke mere makān kājhonkā havā kā khiṛkī ke parde hilā gayā
  19. dūr ufuq ke pār se āvāz ke parvardigārsadiyoñ soī ḳhāmushī ko sāmne ā kar pukār
  20. zamīñ chhoṛ kar maiñ kidhar jā.ūñgāandheroñ ke andar utar jā.ūñgā
  21. sāns kī ānch zarā tez karokānch kā jism pighal jāne do
  22. saṛkoñ par sūraj utrāsāya sāya ṭūṭ gayā
  23. soe hue palang ke sā.e jagā gayākhiṛkī khulī to āsmāñ kamre meñ ā gayā
  24. āshiq the shahr meñ jo purāne sharāb kehaiñ un ke dil meñ vasvase ab ehtisāb ke
  25. kaun thā vo ḳhvāb ke malbūs meñ lipṭā huārāt ke gumbad se ṭakrā kar palaṭ ā.ī sadā
  26. gānṭhī hai us ne dostī ik pesh-e-imām seādil uṭhā lo hāth duā-o-salām se
  27. ghūm rahā thā ek shaḳhs rāt ke ḳhārzār meñus kā lahū bhī mar gayā sub.h ke intizār meñ
  28. mujhe pasand nahīñ aise kārobār meñ hūñye jabr hai ke maiñ ḳhud apne iḳhtiyār meñ hūñ
  29. na koī rok sakā ḳhvāb ke safīroñ koudās kar ga.e nīndoñ ke rāhgīroñ ko
  30. vusat-e-dāman-e-sahrā dekhūñapnī āvāz ko phailā dekhūñ
  31. vo barsāt kī shab vo pichhlā paharandhere ke pahlū meñ sunsān ghar
  32. vo tum tak kaise ātājism se bhārī sāya thā
  33. vo ghar chhoṛ kar jā rahā hai sunoḳhudā ke liye koī to rok lo
  34. hāth meñ āftāb pighlā karrāt bhar raushnī se khelā kar
  35. har ḳhvāb kālī rāt ke sānche meñ ḍhāl karye kaun chhup gayā hai sitāre uchhāl kar
  36. havā ḳhatm dariyā to sahrā lagāsafar kā tasalsul kahāñ jā lagā
  37. hone ko yūñ to shahr meñ apnā makān thānafrat kā regzār magar darmiyān thā
  38. ye phailtī shikastagī ehsās kī tarafdariyā ravāñ davāñ haiñ mirī pyās kī taraf