Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

سخی لکھنوی

Poems

Meter
  1. apne qāsid ko sabā bāñdhte haiñsach hai shāyar bhī huā bāñdhte haiñ
  2. un ko nafrat use kyā kahte haiñham ko raġhbat use kyā kahte haiñ
  3. un kī chuṭkī meñ dil na mil jātāto ye sikka hamārā chal jātā
  4. bām par ātā hai hamārā chāndāsmāñ se kare kinārā chānd
  5. bahār ā kar jo gulshan meñ vo gā.eñtū ġhuncha har taraf chuṭkī bajā.eñ
  6. pahlū meñ baiṭh kar vo pāte kiyādil to thā hī nahīñ churāte kiyā
  7. phir ulajhte haiñ vo gesū kī tarahphir kajī par haiñ vo abrū kī tarah
  8. tum agar do na pairahan apnācharḳh se māñg lūñ kafan apnā
  9. jī jā.e magar na vo parī jā.eyā rab na hamārī dil lagī jā.e
  10. chashm-e-mai gūñ vahāñ sharāb lazīzdil-e-sozāñ yahāñ kabāb lazīz
  11. dil use de diyā saḳhī hī to haimarhabā parvarish alī hī to hai
  12. dil hī merā faqat hai matlab kāyā jigar bhī hai āp ke ḍhab kā
  13. dam yār tā naza.a bhar lījiyesaḳhī zindagī tak to mar lījiye
  14. dolhan bhī agar ban ke ā.egī rāthameñ be tumhāre na bhā.egī rāt
  15. ruḳh par hai malāl āj kaisādil bar hai malāl āj kaisā
  16. ruḳh-e-raushan pe safā lauṭ ga.īzulf par kālī balā lauṭ ga.ī
  17. ruḳh-e-raushan dikhā.iye sāhabsham.a ko kuchh jalā.iye sāhab
  18. zulf-e-shab rang jo banā.ī haiin dinoñ shāne kī ban ā.ī hai
  19. saḳhī se chhūṭ kar jā.eñge ghar āpajī kuchh ḳhair bhī hai haiñ kidhar āp
  20. ishq karne meñ dil bhī kyā hai shoḳhsaikṛoñ meñ se ik chunā hai shoḳh
  21. ishq hai yār kā ḳhudā hāfizamar dushvār kā ḳhudā hāfiz
  22. qāsid tire bār bār ā.eek hafta meñ tīn chār ā.e
  23. qabr meñ ab kisī kā dhyān nahīñsach hai jab jī nahīñ jahān nahīñ
  24. guftugū ho dabī zabān bahuthaiñ lagā.e raqīb kān bahut
  25. ghar meñ sāqī-e-mast ke chal keāj sāġhar sharāb kā chhalke
  26. māh-e-nau parda-e-sahāb meñ haiyā ke abrū koī naqāb meñ hai
  27. munkir-e-but hai ye jāhil to nahīñghar se vā.iz kahīñ fāzil to nahīñ
  28. nāḳhūsh jo ho gul badan kisī kākyā bhā.e use suḳhan kisī kā
  29. nisbat vahī māh āsmāñ selā.eñ tashbīh ruḳh kahāñ se
  30. na bachpan meñ kaho ham ko kaṛī bātna khulvā.o ke chhoṭā muñh baṛī bāt
  31. ham pe jaur-o-sitam ke kyā ma.anītark-e-rahm-o-karam ke kyā ma.anī
  32. hai chaman meñ rahm gulchīñ ko na kuchh sayyād koab ḳhudā hī shād rakhe bulbul-e-nāshād ko
  33. yūñ pareshāñ kabhī ham bhī to na theaise is zulf meñ ḳham bhī to na the
  34. ye to ma.alūm ke phir ā.iyegābaiṭhiye āj kahāñ jā.iyegā