Poet
Shad Lakhnavi
شاد لکھنویd. 1892
Poems
- ابر دیدہ کا مرے ہو جو نہ اوجھڑ پانیپھر کہیں جھڑکی لگائے نہ کہیں جھڑ پانیabr dīda kā mire ho jo na ojhaṛ pānīphir kahīñ jhiṛkī lagā.e na kahīñ jhaṛ pānī
- اے بد گماں ترا ہے گماں اور کی طرفمیرا ترے سوا نہیں دھیاں اور کی طرفai bad gumāñ tirā hai gumāñ aur kī tarafmerā tire sivā nahīñ dhiyāñ aur kī taraf
- تصویر مری ہے عکس ترا تو اور نہیں میں اور نہیںکر غور تو اپنے دل میں ذرا تو اور نہیں میں اور نہیںtasvīr mirī hai aks tirā to aur nahīñ maiñ aur nahīñkar ġhaur to apne dil meñ zarā to aur nahīñ maiñ aur nahīñ
- ٹوٹے جو دانت منہ کی شباہت بگڑ گئیوہ گھر ہوا خراب جہاں پھوٹ پڑ گئیṭūṭe jo dānt muñh kī shabāhat bigaṛ ga.īvo ghar huā ḳharāb jahāñ phūṭ paṛ ga.ī
- جان یا دل نذر کرنا چاہئےکچھ نہ کچھ اس بت کو پوجا چاہئےjān yā dil nazr karnā chāhiyekuchh na kuchh us but ko pūjā chāhiye
- جو بیچ میں آئنہ ہو پیارے ادھر ہمارے ادھر تمہارےتو پھر ہوں باہم دگر نظارے ادھر ہمارے ادھر تمہارےjo bīch meñ ā.īna ho pyāre idhar hamāre idhar tumhāreto phir hūñ bāham digar nazāre idhar hamāre idhar tumhāre
- جو مرغ قبلہ نما بن کے آشیاں سے چلےتڑپ تڑپ کے وہیں رہ گئے جہاں سے چلےjo murġh-e-qibla numā ban ke āshiyāñ se chaletaṛap taṛap ke vahīñ rah ga.e jahāñ se chale
- خدا ہی اس چپ کی داد دے گا کہ تربتیں روندے ڈالتے ہیںاجل کے مارے ہوئے کسی سے نہ بولتے ہیں نہ چالتے ہیںḳhudā hī is chup kī dād degā ke turbateñ ronide ḍālte haiñajal ke māre hue kisī se na bolte haiñ na chālate haiñ
- خط دیکھیے دیدار کی سوجھی یہ نئی ہےویفر کی جگہ آنکھ لفافے پہ لگی ہےḳhat dekhiye dīdār kī sūjhī ye na.ī haivīfar kī jagah ānkh lifāfe pe lagī hai
- خلش خار ہو وحشت میں کہ غم ٹوٹ پڑےپر پھپھولوں میں الٰہی نہ مرے پھوٹ پڑےḳhalish-e-ḳhār ho vahshat meñ ke ġham ṭūṭ paṛepar phphūloñ meñ ilāhī na mire phūṭ paṛe
- دکھا دل بھی ٹکڑے جگر ہوتے ہوتےادھر بھی اٹھا درد ادھر ہوتے ہوتےdikhā dil bhī ṭukṛe jigar hote hoteidhar bhī uṭhā dard idhar hote hote
- دل کی کہوں یا کہوں جگر کیکچھ بات کروں ادھر ادھر کیdil kī kahūñ yā kahūñ jigar kīkuchh bāt karūñ idhar idhar kī
- دیکھ کر روئے صنم کو نہ بہل جاؤں گامرتے دم لے کے سنبھالا تو سنبھل جاؤں گاdekh kar rū-e-sanam ko na bahal jā.ūñgāmarte dam le ke sambhālā to sambhal jā.ūñgā
- ذرا دیکھنا خاکساری ہماریملی خاک میں خاک ساری ہماریzarā dekhnā ḳhāksārī hamārīmilī ḳhāk meñ ḳhāk sārī hamārī
- سدا رنگ مینا چمکتا رہاہمیشہ یہ سبزہ لہکتا رہاsadā rang-e-mīnā chamaktā rahāhamesha ye sabza lahaktā rahā
- سنا ہم کو آتے جو اندر سے باہرپھرے الٹے پیروں باہر سے باہرsunā ham ko āte jo andar se bāharphire ulṭe pairoñ bāhar se bāhar
- شرطیں جو بندگی میں لگانا روا ہوااے واعظوں نماز نہ ٹھہری جوا ہواsharteñ jo bandagī meñ lagānā ravā huāai vā.izoñ namāz na ṭhahrī javā huā
- شکل مژگاں نہ خار کی سی ہےہم نے تاڑی کٹار کی سی ہےshakl-e-mizhgāñ na ḳhār kī sī haiham ne tāṛī kaṭār kī sī hai
- شگفتہ ہوتے ہی مرجھا گئی کلی افسوسبہار باغ ادھر آئی ادھر گئی افسوسshagufta hote hī murjhā ga.ī kalī afsosbahār-e-bāġh idhar ā.ī idhar ga.ī afsos
- عشق رخ و زلف میں کیا کوچشب آ کے رہا سحر کیا کوچishq-e-ruḳh-o-zulf meñ kiyā kūchshab ā ke rahā sahar kiyā kūch
- عشق میں زور عمر بھر ماراعاقبت کوہ کن نے سر ماراishq meñ zor umr bhar mārāāqibat koh kin ne sar mārā
- غیروں میں حنا وہ مل رہا ہےنیرنگ جہاں بدل رہا ہےġhairoñ meñ hinā vo mil rahā hainairang-e-jahāñ badal rahā hai
- قول اس دروغ گو کا کوئی بھی سچ ہوا ہےواعظ جہان بھر کا جھوٹا لباریا ہےqaul is daroġh go kā koī bhī sach huā haivā.iz jahān bhar kā jhūṭā labāriyā hai
- کہتے ہیں نالۂ حزیں سن کےسو دل گداز ہیں دھن کےkahte haiñ nāla-e-hazīñ sun keso dil gudāz haiñ dhun ke
- کیا کہوں غنچۂ گل نیم دہاں ہے کچھ اورلا کلامی ہے وہاں بات یہاں ہے کچھ اورkyā kahūñ ġhuncha-e-gul nīm dahāñ hai kuchh aurlā kalāmī hai vahāñ bāt yahāñ hai kuchh aur
- کیا یہ بت بیٹھیں گے خدا بن کراللہ اللہ اے برہمن کرkyā ye but baiṭheñge ḳhudā ban karallāh allāh ai barahman kar
- گر جنوں کر مجھے پابند سلاسل جاتاپاؤں رکھنے کا ٹھکانا تو کہیں مل جاتاgar junūñ kar mujhe pāband-e-salāsil jātāpā.oñ rakhne kā ṭhikānā to kahīñ mil jātā
- گوش کر فریاد عاشق جان کرنالۂ بلبل پہ اے گل کان کرgosh kar fariyād āshiq jān karnāla-e-bulbul pe ai gul kān kar
- لب بہ لب نبت العنب ہر دم رہےدور دور جام مے جم جم رہےlab ba lab nabat alinab har dam rahedūr daur-e-jām-e-mai jam jam rahe
- میں وہ بے چارہ ہوں جس سے بے کسی مانوس ہےجو ہتھیلی ہاتھ میں ہے اک کف افسوس ہےmaiñ vo be chāra hūñ jis se be kisī mānūs haijo hathelī hāth meñ hai ik kaf-e-afsos hai
- وقت تزئیں جو دکھائے وہ صفا سینے کومنہ دکھانے کی نہ پھر جا رہے آئینے کوvaqt-e-tazīñ jo dikhā.e vo safā sīne komuñh dikhāne kī na phir jā rahe ā.īne ko
- وہ مے پرست ہوں بدلی نہ جب نظر آئیسمٹ گئیں جو سیہ کاریاں گھٹا چھائیvo mai parast hūñ badlī na jab nazar ā.īsimaṭ ga.īñ jo siyah kāriyāñ ghaṭā chhā.ī
- ہر شب خیال غیر کے مارے الگ تھلگآتے ہیں خواب میں وہ ہمارے الگ تھلگhar shab ḳhayāl-e-ġhair ke māre alag thalagāte haiñ ḳhvāb meñ vo hamāre alag thalag
- ہم سے دو چار بزم میں دھیان اور کی طرفآنکھ اس طرف لگائی ہے کان اور کی طرفham se do chār bazm meñ dhyān aur kī tarafānkh is taraf lagā.ī hai kān aur kī taraf
- ہم وہ نالاں ہیں بولی ٹھولی میںبلبلوں کو جو لیں ٹھٹھولی میںham vo nālāñ haiñ bolī ṭhavalī meñbulbuloñ ko jo leñ ṭhaṭholī meñ
- یہ صنم بھی گھٹور کتنے ہیںبت بنے سن رہے ہیں جتنے ہیںye sanam bhī ghuṭvar kitne haiñbut bane sun rahe haiñ jitne haiñ