اے بد گماں ترا ہے گماں اور کی طرف
Shad Lakhnavi (d. 1892)اے بد گماں ترا ہے گماں اور کی طرف
میرا ترے سوا نہیں دھیاں اور کی طرف
ناوک مجھے رقیب کو برچھی لگائیے
تیر اس طرف چلے تو سناں اور کی طرف
مجھ کو سنا کے غیر کے اوپر پلٹ پرو
پلٹو جو گفتگو میں زباں اور کی طرف
حور و پری پہ کیا ہے ہمارا سوائے یار
دل اور کی طرف ہے نہ جاں اور کی طرف
گھر دل میں تو ہمارے خدا کے لیے نہ لے
اے خانماں خراب مکاں اور کی طرف
ہم فاقہ مست رزق مقدر پہ شاد ہیں
بھیجے خدا طعام کے خواں اور کی طرف
اردو میں مصحفیؔ کو بھی استاد کہہ کے شادؔ
آوازہ کس گیا یہ جواں اور کی طرف
ai bad guman tira hai guman aur ki taraf
mera tire siwa nahin dhiyan aur ki taraf
nawak mujhe raqib ko barchhi lagaiye
tir is taraf chale to sinan aur ki taraf
mujh ko suna ke ghair ke upar palat piro
palto jo guftugu mein zaban aur ki taraf
hur-o-pari pe kya hai hamara siwae yar
dil aur ki taraf hai na jan aur ki taraf
ghar dil mein to hamare khuda ke liye na le
ai khanuman kharab makan aur ki taraf
ham faqa mast rizq-e-muqaddar pe shad hain
bheje khuda taam ke khwan aur ki taraf
urdu mein mushafi ko bhi ustad kah ke shad
awaza kis gaya ye jawan aur ki taraf