یہ صنم بھی گھٹور کتنے ہیں
Shad Lakhnavi (d. 1892)یہ صنم بھی گھٹور کتنے ہیں
بت بنے سن رہے ہیں جتنے ہیں
صبح پیری ہے غافلان جہاں
خواب خرگوش میں ہیں جتنے ہیں
موج در موج ہے تباہی میں
دم بخود ہیں حباب جتنے ہیں
بوئے گل ہو کہ نکہت گل ہو
خانہ برباد ہیں یہ جتنے ہیں
طرفہ قاتل ہے جس کے مورد ملخ
بے چھری ہیں حلال جتنے ہیں
خوش نوا یہ ہے نالۂ بلبل
ہمہ تن گوش گل ہیں جتنے ہیں
اے صنم تو وہ ہے نے و ناقوس
دم ترا بھر رہے ہیں جتنے ہیں
ہر روش باغ دہر میں گل تر
دیدۂ منتظر ہیں جتنے ہیں
ایک میں کیا ہوں محو صورت صاف
حیرتی آئنے ہیں جتنے ہیں
کل غزل ایک قافیہ اے شادؔ
شعر معیوب ہیں یہ جتنے ہیں
ye sanam bhi ghutwar kitne hain
but bane sun rahe hain jitne hain
subh piri hai ghafilan jahan
khwab-e-khargosh mein hain jitne hain
mauj dar mauj hai tabahi mein
dam bakhud hain habab jitne hain
bu-e-gul ho ke nikhat-e-gul ho
khana barbad hain ye jitne hain
turfa qatil hai jis ke morid malakh
be chhuri hain halal jitne hain
khush nawa ye hai nala-e-bulbul
hama tan gosh-e-gul hain jitne hain
ai sanam to wo hai ne-o-naqus
dam tira bhar rahe hain jitne hain
har rawish bagh-e-dahr mein gul-e-tar
dida-e-muntazir hain jitne hain
ek main kya hun mahw-e-surat saf
hairati aine hain jitne hain
kal ghazal ek qafiya ai shad
sher maayub hain ye jitne hain