Poet
Nida Fazli
ندا فاضلی1938–2016Born in DelhiDied in Mumbai
Muqtida Hasan Nida Fazli grew up and studied in Gwalior and moved to Mumbai in 1964, where he wrote for magazines and later for films. He wrote ghazals, nazms and dohas in plain, colloquial language. His books include the poetry collection Khoya Hua Sa Kuchh, which won the Sahitya Akademi Award in 1998, and the autobiographical Deewaron Ke Beech. He received the Padma Shri in 2013.
Writes about
- Human relationships
- Childhood memories
- Communal harmony
- Search for meaning
Poems
- کچھ دنوں تو شہر سارا اجنبی سا ہو گیاپھر ہوا یوں وہ کسی کی میں کسی کا ہو گیاkuchh dinoñ to shahr sārā ajnabī sā ho gayāphir huā yūñ vo kisī kī maiñ kisī kā ho gayā
- کچھ طبیعت ہی ملی تھی ایسی چین سے جینے کی صورت نہ ہوئیجس کو چاہا اسے اپنا نہ سکے جو ملا اس سے محبت نہ ہوئیkuchh tabī.at hī milī thī aisī chain se jīne kī sūrat na huījis ko chāhā use apnā na sake jo milā us se mohabbat na huī
- کچے بخیے کی طرح رشتے ادھڑ جاتے ہیںلوگ ملتے ہیں مگر مل کے بچھڑ جاتے ہیںkachche baḳhiye kī tarah rishte udhaṛ jāte haiñlog milte haiñ magar mil ke bichhaṛ jāte haiñ
- کسی بھی شہر میں جاؤ کہیں قیام کروکوئی فضا کوئی منظر کسی کے نام کروkisī bhī shahr meñ jā.o kahīñ qayām karokoī fazā koī manzar kisī ke nām karo
- کسی سے خوش ہے کسی سے خفا خفا سا ہےوہ شہر میں ابھی شاید نیا نیا سا ہےkisī se ḳhush hai kisī se ḳhafā ḳhafā sā haivo shahr meñ abhī shāyad nayā nayā sā hai
- کوشش کے باوجود یہ الزام رہ گیاہر کام میں ہمیشہ کوئی کام رہ گیاkoshish ke bāvajūd ye ilzām rah gayāhar kām meñ hamesha koī kām rah gayā
- کوئی کسی سے خوش ہو اور وہ بھی بارہا ہو یہ بات تو غلط ہےرشتہ لباس بن کر میلا نہیں ہوا ہو یہ بات تو غلط ہےkoī kisī se ḳhush ho aur vo bhī bārhā ho ye bāt to ġhalat hairishta libās ban kar mailā nahīñ huā ho ye bāt to ġhalat hai
- کوئی کسی کی طرف ہے کوئی کسی کی طرفکہاں ہے شہر میں اب کوئی زندگی کی طرفkoī kisī kī taraf hai koī kisī kī tarafkahāñ hai shahr meñ ab koī zindagī kī taraf
- کوئی نہیں ہے آنے والا پھر بھی کوئی آنے کو ہےآتے جاتے رات اور دن میں کچھ تو جی بہلانے کو ہےkoī nahīñ hai āne vālā phir bhī koī āne ko haiāte jāte rāt aur din meñ kuchh to jī bahlāne ko hai
- کوئی ہندو کوئی مسلم کوئی عیسائی ہےسب نے انسان نہ بننے کی قسم کھائی ہےkoī hindū koī muslim koī īsā.ī haisab ne insān na banne kī qasam khā.ī hai
- کوئی ہنگامہ اٹھایا جائےبے سبب شور مچایا جائےkoī hangāma uṭhāyā jā.ebe sabab shor machāyā jā.e
- گرجا میں مندروں میں اذانوں میں بٹ گیاہوتے ہی صبح آدمی خانوں میں بٹ گیاgarjā meñ mandiroñ meñ azānoñ meñ baṭ gayāhote hī sub.h ādmī ḳhānoñ meñ baṭ gayā
- گرج برس پیاسی دھرتی پر پھر پانی دے مولاچڑیوں کو دانے بچوں کو گڑ دھانی دے مولاgaraj baras pyāsī dhartī par phir pānī de maulāchiṛiyoñ ko dāne bachchoñ ko guṛ dhānī de maulā
- گھر سے نکلے تو ہو سوچا بھی کدھر جاؤ گےہر طرف تیز ہوائیں ہیں بکھر جاؤ گےghar se nikle to ho sochā bhī kidhar jā.ogehar taraf tez havā.eñ haiñ bikhar jā.oge
- مٹھی بھر لوگوں کے ہاتھوں میں لاکھوں کی تقدیریں ہیںجدا جدا ہیں دھرم علاقے ایک سی لیکن زنجیریں ہیںmuṭṭhī bhar logoñ ke hāthoñ meñ lākhoñ kī taqdīreñ haiñjudā judā haiñ dharm ilāqe ek sī lekin zanjīreñ haiñ
- محبت میں وفاداری سے بچئےجہاں تک ہو اداکاری سے بچئےmohabbat meñ vafādārī se bachiyejahāñ tak ho adākārī se bachiye
- من بیراگی تن انوراگی قدم قدم دشواری ہےجیون جینا سہل نہ جانو بہت بڑی فن کاری ہےman bairāgī tan anūrāgī qadam qadam dushvārī haijīvan jīnā sahl na jāno bahut baṛī fan kārī hai
- منہ کی بات سنے ہر کوئی دل کے درد کو جانے کونآوازوں کے بازاروں میں خاموشی پہچانے کونmuñh kī bāt sune har koī dil ke dard ko jāne kaunāvāzoñ ke bāzāroñ meñ ḳhāmoshī pahchāne kaun
- میری تیری دوریاں ہیں اب عبادت کے خلافہر طرف ہے فوج آرائی محبت کے خلافmerī terī dūriyāñ haiñ ab ibādat ke ḳhilāfhar taraf hai fauj ārā.ī mohabbat ke ḳhilāf
- میں اپنے اختیار میں ہوں بھی نہیں بھی ہوںدنیا کے کاروبار میں ہوں بھی نہیں بھی ہوںmaiñ apne iḳhtiyār meñ hūñ bhī nahīñ bhī hūñduniyā ke kārobār meñ hūñ bhī nahīñ bhī hūñ
- نزدیکیوں میں دور کا منظر تلاش کرجو ہاتھ میں نہیں ہے وہ پتھر تلاش کرnazdīkiyoñ meñ dūr kā manzar talāsh karjo hāth meñ nahīñ hai vo patthar talāsh kar
- نشہ نشہ کے لئے ہے عذاب میں شاملکسی کی یاد کو کیجے شراب میں شاملnasha nasha ke liye hai azāb meñ shāmilkisī kī yād ko kīje sharāb meñ shāmil
- نہ جانے کون سا منظر نظر میں رہتا ہےتمام عمر مسافر سفر میں رہتا ہےna jāne kaun sā manzar nazar meñ rahtā haitamām umr musāfir safar meñ rahtā hai
- نیل گگن میں تیر رہا ہے اجلا اجلا پورا چاندماں کی لوری سا بچے کے دودھ کٹورے جیسا چاندnīl gagan meñ tīr rahā hai ujlā ujlā pūrā chāndmāñ kī lorī sā bachche ke dūdh kaṭore jaisā chānd
- نئی نئی آنکھیں ہوں تو ہر منظر اچھا لگتا ہےکچھ دن شہر میں گھومے لیکن اب گھر اچھا لگتا ہےna.ī na.ī ānkheñ hūñ to har manzar achchhā lagtā haikuchh din shahr meñ ghūme lekin ab ghar achchhā lagtā hai
- وقت بنجارا صفت لمحہ بہ لمحہ اپناکس کو معلوم یہاں کون ہے کتنا اپناvaqt banjārā sifat lamha ba lamha apnākis ko ma.alūm yahāñ kaun hai kitnā apnā
- وہ خوش لباس بھی خوش دل بھی خوش ادا بھی ہےمگر وہ ایک ہے کیوں اس سے یہ گلہ بھی ہےvo ḳhush libās bhī ḳhush dil bhī ḳhush adā bhī haimagar vo ek hai kyūñ us se ye gila bhī hai
- ہر اک رستہ اندھیروں میں گھرا ہےمحبت اک ضروری حادثہ ہےhar ik rasta andheroñ meñ ghirā haimohabbat ik zarūrī hādisa hai
- ہر ایک بات کو چپ چاپ کیوں سنا جائےکبھی تو حوصلہ کر کے نہیں کہا جائےhar ek bāt ko chup chāp kyūñ sunā jā.ekabhī to hausla kar ke nahīñ kahā jā.e
- ہر ایک گھر میں دیا بھی جلے اناج بھی ہواگر نہ ہو کہیں ایسا تو احتجاج بھی ہوhar ek ghar meñ diyā bhī jale anāj bhī hoagar na ho kahīñ aisā to ehtijāj bhī ho
- ہر چمکتی قربت میں ایک فاصلہ دیکھوںکون آنے والا ہے کس کا راستہ دیکھوںhar chamaktī qurbat meñ ek fāsla dekhūñkaun āne vālā hai kis kā rāsta dekhūñ
- ہر طرف ہر جگہ بے شمار آدمیپھر بھی تنہائیوں کا شکار آدمیhar taraf har jagah be shumār ādmīphir bhī tanhā.iyoñ kā shikār ādmī
- ہر گھڑی خود سے الجھنا ہے مقدر میرامیں ہی کشتی ہوں مجھی میں ہے سمندر میراhar ghaṛī ḳhud se ulajhnā hai muqaddar merāmaiñ hī kashtī hūñ mujhī meñ hai samundar merā
- ہوش والوں کو خبر کیا بے خودی کیا چیز ہےعشق کیجے پھر سمجھئے زندگی کیا چیز ہےhosh vāloñ ko ḳhabar kyā be ḳhudī kyā chīz haiishq kīje phir samajhiye zindagī kyā chīz hai
- ہوئے سب کے جہاں میں ایک جب اپنا جہاں اور ہممسلسل لڑتے رہتے ہیں زمین و آسماں اور ہمhue sab ke jahāñ meñ ek jab apnā jahāñ aur hammusalsal laṛte rahte haiñ zamīn-o-āsmāñ aur ham
- یقین چاند پہ سورج میں اعتبار بھی رکھمگر نگاہ میں تھوڑا سا انتظار بھی رکھyaqīn chānd pe sūraj meñ etibār bhī rakhmagar nigāh meñ thoṛā sā intizār bhī rakh
- یوں لگ رہا ہے جیسے کوئی آس پاس ہےوہ کون ہے جو ہے بھی نہیں اور اداس ہےyūñ lag rahā hai jaise koī ās pās haivo kaun hai jo hai bhī nahīñ aur udās hai
- یہ جو پھیلا ہوا زمانہ ہےاس کا رقبہ غریب خانہ ہےye jo phailā huā zamāna haius kā raqba ġharīb ḳhāna hai
- یہ کیسی کشمکش ہے زندگی میںکسی کو ڈھونڈتے ہیں ہم کسی میںye kaisī kashmakash hai zindagī meñkisī ko ḍhūñḍte haiñ ham kisī meñ
- یہ نہ پوچھو کہ واقعہ کیا ہےکس کی نظروں کا زاویہ کیا ہےye na pūchho ke vāqi.a kyā haikis kī nazroñ kā zāviya kyā hai
- سفر کو جب بھی کسی داستان میں رکھناقدم یقین میں منزل گمان میں رکھناsafar ko jab bhī kisī dāstān meñ rakhnāqadam yaqīn meñ manzil gumān meñ rakhnā
- وہ ایک خواب جو چہرہ کبھی نہیں بنتابنا کے چاند اسے آسمان میں رکھناvo ek ḳhvāb jo chehra kabhī nahīñ bantābanā ke chānd use āsmān meñ rakhnā
- آؤکہیں سے تھوڑی سی مٹی بھر لائیںā.okahīñ se thoṛī sī miṭṭī bhar lā.eñ
- اگر قبرستان میںالگ الگ کتبے نہ ہوںagar qabristān meñalag alag katbe na hūñ
- بیٹھے بیٹھے یوں ہی قلم لے کرمیں نے کاغذ کے ایک کونے پرbaiṭhe baiṭhe yūñ hī qalam le karmaiñ ne kāġhaz ke ek kone par
- تم نےشاید کسی رسالے میںtum neshāyad kisī risāle meñ
- تو اس طرح سے مری زندگی میں شامل ہےجہاں بھی جاؤں یہ لگتا ہے تیری محفل ہےto is tarah se mirī zindagī meñ shāmil haijahāñ bhī jā.ūñ ye lagtā hai terī mahfil hai
- جامن کی اک شاخ پہ بیٹھی اک چڑیاہرے ہرے پتوں میں چھپ کر گاتی ہےjāman kī ik shāḳh pe baiṭhī ik chiṛiyāhare hare pattoñ meñ chhup kar gātī hai
- دور شاداب پہاڑی پہ بنا اک بنگلہلال کھپریلوں پہ پھیلی ہوئی انگور کی بیلdūr shādāb pahāṛī pe banā ik banglalāl khaprailoñ pe phailī huī angūr kī bel
- دیوتا ہے کوئی ہم میںنہ فرشتہ کوئیdevtā hai koī ham meñna farishta koī