نزدیکیوں میں دور کا منظر تلاش کر
Nida Fazli (1938–2016)نزدیکیوں میں دور کا منظر تلاش کر
جو ہاتھ میں نہیں ہے وہ پتھر تلاش کر
سورج کے ارد گرد بھٹکنے سے فائدہ
دریا ہوا ہے گم تو سمندر تلاش کر
تاریخ میں محل بھی ہے حاکم بھی تخت بھی
گمنام جو ہوئے ہیں وہ لشکر تلاش کر
رہتا نہیں ہے کچھ بھی یہاں ایک سا سدا
دروازہ گھر کا کھول کے پھر گھر تلاش کر
کوشش بھی کر امید بھی رکھ راستہ بھی چن
پھر اس کے بعد تھوڑا مقدر تلاش کر
nazdikiyon mein dur ka manzar talash kar
jo hath mein nahin hai wo patthar talash kar
suraj ke urad gard bhatakne se faida
dariya hua hai gum to samundar talash kar
tarikh mein mahal bhi hai hakim bhi takht bhi
gumnam jo hue hain wo lashkar talash kar
rahta nahin hai kuchh bhi yahan ek sa sada
darwaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar
koshish bhi kar umid bhi rakh rasta bhi chun
phir is ke baad thora muqaddar talash kar