وہ خوش لباس بھی خوش دل بھی خوش ادا بھی ہے
Nida Fazli (1938–2016)وہ خوش لباس بھی خوش دل بھی خوش ادا بھی ہے
مگر وہ ایک ہے کیوں اس سے یہ گلہ بھی ہے
ہمیشہ مندر و مسجد میں وہ نہیں رہتا
سنا ہے بچوں میں چھپ کر وہ کھیلتا بھی ہے
نہ جانے ایک میں اس جیسے اور کتنے ہیں
وہ جتنا پاس ہے اتنا ہی وہ جدا بھی ہے
وہی امیر جو روزی رساں ہے عالم کا
فقیر بن کے کبھی بھیک مانگتا بھی ہے
اکیلا ہوتا تو کچھ اور فیصلہ ہوتا
مری شکست میں شامل مری دعا بھی ہے
wo khush libas bhi khush dil bhi khush ada bhi hai
magar wo ek hai kyun us se ye gila bhi hai
hamesha mandir-o-masjid mein wo nahin rahta
suna hai bachchon mein chhup kar wo khelta bhi hai
na jane ek main is jaise aur kitne hain
wo jitna pas hai itna hi wo juda bhi hai
wahi amir jo rozi rasan hai alam ka
faqir ban ke kabhi bhik mangta bhi hai
akela hota to kuchh aur faisla hota
miri shikast mein shamil miri dua bhi hai