نہ جانے کون سا منظر نظر میں رہتا ہے
Nida Fazli (1938–2016)نہ جانے کون سا منظر نظر میں رہتا ہے
تمام عمر مسافر سفر میں رہتا ہے
لڑائی دیکھے ہوئے دشمنوں سے ممکن ہے
مگر وہ خوف جو دیوار و در میں رہتا ہے
خدا تو مالک و مختار ہے کہیں بھی رہے
کبھی بشر میں کبھی جانور میں رہتا ہے
عجیب دور ہے یہ طے شدہ نہیں کچھ بھی
نہ چاند شب میں نہ سورج سحر میں رہتا ہے
جو ملنا چاہو تو مجھ سے ملو کہیں باہر
وہ کوئی اور ہے جو میرے گھر میں رہتا ہے
بدلنا چاہو تو دنیا بدل بھی سکتی ہے
عجب فتور سا ہر وقت سر میں رہتا ہے
na jane kaun sa manzar nazar mein rahta hai
tamam umr musafir safar mein rahta hai
larai dekhe hue dushmanon se mumkin hai
magar wo khauf jo diwar-o-dar mein rahta hai
khuda to malik-o-mukhtar hai kahin bhi rahe
kabhi bashar mein kabhi janwar mein rahta hai
ajib dur hai ye tai shuda nahin kuchh bhi
na chand shab mein na suraj sahar mein rahta hai
jo milna chaho to mujh se milo kahin bahar
wo koi aur hai jo mere ghar mein rahta hai
badalna chaho to duniya badal bhi sakti hai
ajab futur sa har waqt sar mein rahta hai