
Poet
Mir Taqi Mir
میر تقی میر1723–1810Born in AgraDied in Lucknow
Mir Muhammad Taqi, who wrote as Mir, was one of the principal poets of the Delhi school of the Urdu ghazal. He spent much of his life in Delhi and, after Ahmad Shah Abdali's raids on the city, moved in 1782 to the court of Asaf-ud-Daula in Lucknow. His Urdu verse fills six divans, and he also wrote the Persian autobiography Zikr-e-Mir and Nikat-us-Shuara, an account of Urdu poets.
Writes about
- Love
- Sorrow
- Ruin of Delhi
- Divine love
Poems
- بو کہ ہو سوئے باغ نکلے ہےباؤ سے اک دماغ نکلے ہےbū ke ho sū-e-bāġh nikle haibā.o se ik dimāġh nikle hai
- بھلا ہوگا کچھ اک احوال اس سے یا برا ہوگامآل اپنا ترے غم میں خدا جانے کہ کیا ہوگاbhalā hogā kuchh ik ahvāl us se yā burā hogāmaāl apnā tire ġham meñ ḳhudā jāne ke kyā hogā
- بیتابیوں میں تنگ ہم آئے ہیں جان سےوقت شکیب خوش کہ گیا درمیان سےbetābiyoñ meñ tang ham ā.e haiñ jān sevaqt-e-shakeb ḳhush ke gayā darmiyān se
- بے روی و زلف یار ہے رونے سے کام یاںدامن ہے منہ پہ ابر نمط صبح و شام یاںbe ravī-o-zulf-e-yār hai rone se kām yāñdāman hai muñh pe abr namat sub.h-o-shām yāñ
- بے کسانہ جی گرفتاری سے شیون میں رہااک دل غم خوار رکھتے تھے سو گلشن میں رہاbe kasāna jī giraftārī se shevan meñ rahāik dil-e-ġham ḳhvār rakhte the so gulshan meñ rahā
- بے یار شہر دل کا ویران ہو رہا ہےدکھلائی دے جہاں تک میدان ہو رہا ہےbe yār shahr-e-dil kā vīrān ho rahā haidikhlā.ī de jahāñ tak maidān ho rahā hai
- پائے خطاب کیا کیا دیکھے عتاب کیا کیادل کو لگا کے ہم نے کھینچے عذاب کیا کیاpā.e ḳhitāb kyā kyā dekhe itāb kyā kyādil ko lagā ke ham ne khīñche azāb kyā kyā
- پتا پتا بوٹا بوٹا حال ہمارا جانے ہےجانے نہ جانے گل ہی نہ جانے باغ تو سارا جانے ہےpattā pattā būṭā būṭā hāl hamārā jāne haijāne na jāne gul hī na jāne bāġh to sārā jāne hai
- پشت پا ماری بسکہ دنیا پرزخم پڑ پڑ گیا مرے پا پرpusht-e-pā mārī baske duniyā parzaḳhm paṛ paṛ gayā mire pā par
- پلکوں پہ تھے پارۂ جگر راتہم آنکھوں میں لے گئے بسر راتpalkoñ pe the pāra-e-jigar rātham ānkhoñ meñ le ga.e basar rāt
- پل میں جہاں کو دیکھتے میرے ڈبو چکااک وقت میں یہ دیدہ بھی طوفان رو چکاpal meñ jahāñ ko dekhte mere ḍubo chukāik vaqt meñ ye dīda bhī tūfān ro chukā
- پھر اس سے طرح کچھ جو دعوے کی سی ڈالی ہےکیا تازہ کوئی گل نے اب شاخ نکالی ہےphir us se tarah kuchh jo da.ave kī sī ḍālī haikyā tāza koī gul ne ab shāḳh nikālī hai
- پیری میں کیا جوانی کے موسم کو روئیےاب صبح ہونے آئی ہے اک دم تو سوئیےpīrī meñ kyā javānī ke mausam ko roiyeab sub.h hone ā.ī hai ik dam to soiye
- پیغام غم جگر کا گلزار تک نہ پہنچانالہ مرا چمن کی دیوار تک نہ پہنچاpaiġhām ġham jigar kā gulzār tak na pahuñchānāla mirā chaman kī dīvār tak na pahuñchā
- تاب دل صرف جدائی ہو چکییعنی طاقت آزمائی ہو چکیtāb-e-dil sirf-e-judā.ī ho chukīya.anī tāqat āzmā.ī ho chukī
- تا بہ مقدور انتظار کیادل نے اب زور بے قرار کیاtā ba maqdūr intizār kiyādil ne ab zor-e-be qarār kiyā
- تری ابرو و تیغ تیز تو ہم دم ہیں یہ دونوںہوئے ہیں دل جگر بھی سامنے رستم ہیں یہ دونوںtirī abrū-o-teġh-e-tez to ham dam haiñ ye donoñhue haiñ dil jigar bhī sāmne rustam haiñ ye donoñ
- ترے عشق میں آگے سودا ہوا تھاپر اتنا بھی ظالم نہ رسوا ہوا تھاtire ishq meñ āge saudā huā thāpar itnā bhī zālim na rusvā huā thā
- تڑپنا بھی دیکھا نہ بسمل کا اپنےمیں کشتہ ہوں انداز قاتل کا اپنےtaṛapnā bhī dekhā na bismil kā apnemaiñ kushta hūñ andāz-e-qātil kā apne
- تلوار غرق خوں ہے آنکھیں گلابیاں ہیںدیکھیں تو تیری کب تک یہ بد شرابیاں ہیںtalvār ġharq-e-ḳhūñ hai ānkheñ gulābiyāñ haiñdekheñ to terī kab tak ye bad sharābiyāñ haiñ
- تنگ آئے ہیں دل اس جی سے اٹھا بیٹھیں گےبھوکوں مرتے ہیں کچھ اب یار بھی کھا بیٹھیں گےtang ā.e haiñ dil is jī se uṭhā baiṭheñgebhūkoñ marte haiñ kuchh ab yār bhī khā baiṭheñge
- تھا مستعار حسن سے اس کے جو نور تھاخورشید میں بھی اس ہی کا ذرہ ظہور تھاthā musta.ār husn se us ke jo nūr thāḳhurshīd meñ bhī is hī kā zarra zuhūr thā
- تیرا رخ مخطط قرآن ہے ہمارابوسہ بھی لیں تو کیا ہے ایمان ہے ہماراterā ruḳh maḳhtat qurān hai hamārābosa bhī leñ to kyā hai īmān hai hamārā
- تیر جو اس کمان سے نکلاجگر مرغ جان سے نکلاtīr jo is kamān se niklājigar-e-murġh-e-jān se niklā
- تیغ ستم سے اس کی مرا سر جدا ہواشکر خدا کہ حق محبت ادا ہواteġh-e-sitam se us kī mirā sar judā huāshukr-e-ḳhudā ke haq mohabbat adā huā
- جانا کہ شغل رکھتے ہو تیر و کماں سے تمپر مل چلا کرو بھی کسو خستہ جاں سے تمjānā ke shaġhl rakhte ho tīr-o-kamāñ se tumpar mil chalā karo bhī kisū ḳhasta jāñ se tum
- جاں گداز اتنی کہاں آواز عود و چنگ ہےدل کے سے نالوں کا ان پردوں میں کچھ آہنگ ہےjāñ gudāz itnī kahāñ āvāz ūd-o-chang haidil ke se nāloñ kā in pardoñ meñ kuchh āhang hai
- جب جنوں سے ہمیں توسل تھااپنی زنجیر پا ہی کا غل تھاjab junūñ se hameñ tosil thāapnī zanjīr-e-pā hī kā ġhul thā
- جب رونے بیٹھتا ہوں تب کیا کسر رہے ہےرومال دو دو دن تک جوں ابر تر رہے ہےjab rone baiṭhtā hūñ tab kyā kasar rahe hairūmāl do do din tak jūñ abr-e-tar rahe hai
- جب سے اس بے وفا نے بال رکھےصید بندوں نے جال ڈال رکھےjab se us be vafā ne bāl rakhesaid bandoñ ne jāl ḍāl rakhe
- جب سے خط ہے سیاہ خال کی تھانگتب سے لٹتی ہے ہند چاروں دانگjab se ḳhat hai siyāh ḳhāl kī thāngtab se luṭṭī hai hind chāroñ dāng
- جب نام ترا لیجیے تب چشم بھر آوےاس زندگی کرنے کو کہاں سے جگر آوےjab nām tirā lījiye tab chashm bhar āveis zindagī karne ko kahāñ se jigar āve
- جب ہم کلام ہم سے ہوتا ہے پان کھا کرکس رنگ سے کرے ہے باتیں چبا چبا کرjab ham kalām ham se hotā hai pān khā karkis rang se kare hai bāteñ chabā chabā kar
- جدا جو پہلو سے وہ دلبر یگانہ ہواتپش کی یاں تئیں دل نے کہ درد شانہ ہواjudā jo pahlū se vo dilbar yagāna huātapish kī yāñ ta.īñ dil ne ke dard shāna huā
- جز جرم عشق کوئی بھی ثابت کیا گناہناحق ہماری جان لی اچھے ہو واہ واہjuz jurm-e-ishq koī bhī sābit kiyā gunāhnāhaq hamārī jān lī achchhe ho vāh vāh
- جس جگہ دور جام ہوتا ہےواں یہ عاجز مدام ہوتا ہےjis jagah daur-e-jām hotā haivāñ ye ājiz mudām hotā hai
- جس سر کو غرور آج ہے یاں تاجوری کاکل اس پہ یہیں شور ہے پھر نوحہ گری کاjis sar ko ġhurūr āj hai yāñ tājvarī kākal us pe yahīñ shor hai phir nauha girī kā
- جفائیں دیکھ لیاں بے وفائیاں دیکھیںبھلا ہوا کہ تری سب برائیاں دیکھیںjafā.eñ dekh liyāñ be vafā.iyāñ dekheñbhalā huā ke tirī sab burā.iyāñ dekheñ
- جن جن کو تھا یہ عشق کا آزار مر گئےاکثر ہمارے ساتھ کے بیمار مر گئےjin jin ko thā ye ishq kā āzār mar ga.eaksar hamāre sāth ke bīmār mar ga.e
- جنس گراں کو تجھ سے جو لوگ چاہتے ہیںوے روگ اپنے جی کو ناحق بساہتے ہیںjins-e-girāñ ko tujh se jo log chāhte haiñve rog apne jī ko nāhaq basāhatte haiñ
- جن کے لیے اپنے تو یوں جان نکلتے ہیںاس راہ میں وے جیسے انجان نکلتے ہیںjin ke liye apne to yūñ jān nikalte haiñis rāh meñ ve jaise anjān nikalte haiñ
- جو اس شور سے میرؔ روتا رہے گاتو ہمسایہ کاہے کو سوتا رہے گاjo is shor se mīr rotā rahegātū hamsāya kāhe ko sotā rahegā
- جو تو ہی صنم ہم سے بے زار ہوگاتو جینا ہمیں اپنا دشوار ہوگاjo tū hī sanam ham se be zār hogātū jīnā hameñ apnā dushvār hogā
- جو دیکھو مرے شعر تر کی طرفتو مائل نہ ہو پھر گہر کی طرفjo dekho mire sher-e-tar kī taraftū mā.il na ho phir guhar kī taraf
- جوشش اشک سے ہوں آٹھ پہر پانی میںگرچہ ہوتے ہیں بہت خوف و خطر پانی میںjoshish-e-ashk se hūñ āṭh pahar pānī meñgarche hote haiñ bahut ḳhauf-o-ḳhatar pānī meñ
- جو کہو تم سو ہے بجا صاحبہم برے ہی سہی بھلا صاحبjo kaho tum so hai bajā sāhabham bure hī sahī bhalā sāhab
- جو میں نہ ہوں تو کرو ترک ناز کرنے کوکوئی تو چاہیے جی بھی نیاز کرنے کوjo maiñ na hūñ to karo tark-e-nāz karne kokoī to chāhiye jī bhī niyāz karne ko
- جو یہ دل ہے تو کیا سرانجام ہوگاتا خاک بھی خاک آرام ہوگاjo ye dil hai to kyā saranjām hogātā ḳhāk bhī ḳhāk ārām hogā
- جہاں اب خار زاریں ہو گئی ہیںیہیں آگے بہاریں ہو گئی ہیںjahāñ ab ḳhār zāreñ ho ga.ī haiñyahīñ āge bahāreñ ho ga.ī haiñ
- جھمکے دکھا کے طور کو جن نے جلا دیاآئی قیامت ان نے جو پردہ اٹھا دیاjhamke dikhā ke tūr ko jin ne jalā diyāā.ī qayāmat un ne jo parda uṭhā diyā