Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Kaleem Aajiz

1926–2015

Poems

  1. is nāz is andāz se tum hā.e chalo horoz ek ġhazal ham se kahlavā.e chalo ho
  2. imtihān-e-shauq meñ sābit qadam hotā nahīñishq jab tak vāqif-e-ādāb-e-ġham hotā nahīñ
  3. unheñ fariyād nāzebā lage haisitam karte bahut achchhā lage hai
  4. badlī sī apnī ānkhoñ meñ chhā.ī huī sī haibhūlī huī sī yād phir ā.ī huī sī hai
  5. baṛī talab thī baṛā intizār dekho tobahār lā.ī hai kaisī bahār dekho to
  6. bayāñ jab kalīm apnī hālat kare haibhalā ādmī thā pe nādān niklā
  7. bekasī hai aur dil-e-nāshād haiab unheñ donoñ se ghar ābād hai
  8. tujhe kalīm koī kaise ḳhush kalām kahejo din ko rāt batā.e sahar ko shām kahe
  9. tum gul the ham nikhār abhī kal kī bāt haiham se thī sab bahār abhī kal kī bāt hai
  10. jab sabā ā.ī idhar zikr-e-bahār ā hī gayāyād ham ko inqilāb-e-rozgār ā hī gayā
  11. jahāñ ġham milā uṭhāyā phir use ġhazal meñ ḍhālāyahī dard-e-sar ḳharīdā yahī rog ham ne pālā
  12. haqīqatoñ kā jalāl deñge sadāqatoñ kā jamāl deñgetujhe bhī ham ai ġham-e-zamāna ġhazal ke sānche meñ ḍhāl deñge
  13. dard kab dil meñ mehrbāñ na rahāhāñ magar qābil-e-bayāñ na rahā
  14. dhaṛaktā jātā hai dil muskurāne vāloñ kāuṭhā nahīñ hai abhī etibār nāloñ kā
  15. zaḳhmoñ ke na.e phūl khilāne ke liye āphir mausam-e-gul yād dilāne ke liye ā
  16. zindagī mā.il-e-fariyād-o-fuġhāñ āj bhī haikal bhī thā sīne pe ik sang-e-girāñ āj bhī hai
  17. shāne kā bahut ḳhūn-e-jigar jā.e hai pyāretab zulf kahīñ tā ba kamar jā.e hai pyāre
  18. ġham-e-dil hī ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāna bantā haiyahī ġham sher bantā hai yahī afsāna bantā hai
  19. qā.im hai surūr mai gulfām hamārākyā ġham hai agar ṭūṭ gayā jām hamārā
  20. kis tarah koī dhūp meñ pighle hai jale haiye bāt vo kyā jāne jo sā.e meñ pale hai
  21. kū-e-qātil hai magar jāne ko jī chāhe haiab to kuchh faisla kar jāne ko jī chāhe hai
  22. kyā ġham hai agar shikva-e-ġham ām hai pyāreto dil ko dikhā terā yahī kām hai pyāre
  23. mat burā us ko kaho garche vo achchhā bhī nahīñvo na hotā to ġhazal meñ kabhī kahtā bhī nahīñ
  24. mirā hāl pūchh ke ham nashīñ mire soz-e-dil ko huā na debas yahī duā meñ karūñ hūñ ab ke ye ġham kisī ko ḳhudā na de
  25. mirī shāyarī meñ na raqs jām na mai kī rang fishāniyāñvahī dukh bharoñ kī hikāyateñ vahī dil jaloñ kī kahāniyāñ
  26. mirī sub.h-e-ġham balā se kabhī shām tak na pahuñchemujhe ḍar ye hai burā.ī tire nām tak na pahuñche
  27. mirī mastī ke afsāne raheñgejahāñ gardish meñ paimāne raheñge
  28. muñh faqīroñ se na pherā chāhiyeye to pūchhā chāhiye kyā chāhiye
  29. mere hī lahū par guzar auqāt karo homujh se hī amīroñ kī tarah bāt karo ho
  30. maiñ roūñ hūñ ronā mujhe bhā.e haikisī kā bhalā is meñ kyā jā.e hai
  31. nazar ko ā.īna dil ko tirā shāna banā deñgetujhe ham kyā se kyā ai zulf-e-jānāna banā deñge
  32. vaqt ke dar par bhī hai bahut kuchh vaqt ke dar se āge bhīshām-o-sahar ke sāth bhī chaliye shām-o-sahar se āge bhī
  33. vo sitam na ḍhā.e to kyā kare use kyā ḳhabar ke vafā hai kyā?tū usī ko pyār kare hai kyūñ ye kalīm tujh ko huā hai kyā?
  34. har chand ġham-o-dard kī qīmat bhī bahut thīlenā hī paṛā dil ko zarūrat bhī bahut thī
  35. ham ko to be savāl mile be talab mileham vo nahīñ haiñ sāqī ke jab māñgeñ tab mile
  36. ham ko to ḳhair pahuñchnā thā jahāñ tak pahuñchejo hameñ rok rahe the vo kahāñ tak pahuñche
  37. hai unheñ do nāmoñ se har ek afsāne kā nāmek terā nām hai ik tere dīvāne kā nām
  38. ye ānsū be sabab jārī nahīñ haimujhe rone kī bīmārī nahīñ hai
  39. ye dīvāne kabhī pābandiyoñ kā ġham nahīñ leñgegarebāñ chāk jab tak kar na leñge dam nahīñ leñge
  40. ye sitam kī mahfil-e-nāz hai kalīm us ko aur sajā.e jāvo dikhā.eñ raqs-e-sitam girī to ġhazal kā sāz bajā.e jā
  41. ye samundar hai kināre hī kināre jā.oishq har shaḳhs ke bas kā nahīñ pyāre jā.o
  42. yahī bekasī thī tamām shab isī bekasī meñ sahar huīna kabhī chaman meñ guzar huā na kabhī guloñ meñ basar huī
  43. ga.e leṭne rāt ḍhalte hueuṭhe sub.h ko ānkh milte hue
  44. āzmānā hai to ā bāzū-o-dil kī quvvattū bhī shamshīr uṭhā ham bhī ġhazal kahte haiñ
  45. ab insānoñ kī bastī kā ye ālam hai ke mat pūchholage hai āg ik ghar meñ to hamsāya huā de hai
  46. apnā lahū bhar kar logoñ ko bāñṭ ga.e paimāne logduniyā bhar ko yād raheñge ham jaise dīvāne log
  47. uṭhte huoñ ko sab ne sahārā diyā kalīmgirte hue ġharīb sambhāle kahāñ ga.e
  48. unheñ ke gīt zamāne meñ gā.e jā.eñgejo choṭ khā.eñge aur muskurā.e jā.eñge
  49. bahāroñ kī nazar meñ phūl aur kānṭe barābar haiñmohabbat kyā kareñge dost dushman dekhne vāle
  50. talḳhiyāñ is meñ bahut kuchh haiñ mazā kuchh bhī nahīñzindagī dard-e-mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ