بیکسی ہے اور دل ناشاد ہے
Kaleem Aajiz (1926–2015)بیکسی ہے اور دل ناشاد ہے
اب انہیں دونوں سے گھر آباد ہے
اب انہیں کی فکر میں صیاد ہے
جن کے نغموں سے چمن آباد ہے
جو مجھے برباد کر کے شاد ہے
اس ستم گر کو مبارک باد ہے
تم نے جو چاہا وہی ہو کر رہا
یہ ہماری مختصر روداد ہے
ہم نے تم سے رکھ کے امید کرم
وہ سبق سیکھا کہ اب تک یاد ہے
بے بسی بن کر نہ ٹپکے آنکھ سے
دل میں جو اک حسرت فریاد ہے
bekasi hai aur dil-e-nashad hai
ab unhen donon se ghar abad hai
ab unhen ki fikr mein sayyad hai
jin ke naghmon se chaman abad hai
jo mujhe barbad kar ke shad hai
us sitam gar ko mubarak bad hai
tum ne jo chaha wahi ho kar raha
ye hamari mukhtasar rudad hai
ham ne tum se rakh ke ummid-e-karam
wo sabaq sikha ke ab tak yad hai
be basi ban kar na tapke ankh se
dil mein jo ik hasrat-e-fariyad hai