Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Kaleem Aajiz

1926–2015

Poems

  1. dil thām ke karvaṭ pe liye jā.ūñ hūñ karvaṭvo āg lagī hai ke bujhā.e na bane hai
  2. duniyā meñ ġharīboñ ko do kām hī āte haiñkhāne ke liye jīnā jīne ke liye khānā
  3. sunā hai hameñ be vafā tum kaho hozarā ham se ānkheñ milā lo to jāneñ
  4. sunegā kaun merī chāk dāmānī kā afsānayahāñ sab apne apne pairahan kī bāt karte haiñ
  5. ishq meñ maut kā nām hai zindagījis ko jīnā ho marnā gavārā kare
  6. ġham hai to koī lutf nahīñ bistar-e-gul parjī ḳhush hai to kānṭoñ pe bhī ārām bahut hai
  7. fan meñ na mojiza na karāmāt chāhiyedil ko lage bas aisī koī bāt chāhiye
  8. kabhī aisā bhī hove hai rote rotejigar thām kar muskurānā paṛe hai
  9. kal kahte rahe haiñ vahī kal kahte raheñgehar daur meñ ham un pe ġhazal kahte raheñge
  10. kyā sitam hai ke vo zālim bhī hai mahbūb bhī haiyād karte na bane aur bhulā.e na bane
  11. guzar jā.eñge jab din guzre ālam yād ā.eñgehameñ tum yād ā.oge tumheñ ham yād ā.eñge
  12. marnā to bahut sahl sī ik bāt lage haijīnā hī mohabbat meñ karāmāt lage hai
  13. mausam-e-gul hameñ jab yād āyājitnā ġham bhūle the sab yād āyā
  14. merī ġhazal ko merī jāñ faqat ġhazal na samajhik ā.īna hai jo har dam tire muqābil hai
  15. maiñ mohabbat na chhupā.ūñ to adāvat na chhupāna yahī rāz meñ ab hai na vahī rāz meñ hai
  16. mai kade kī taraf chalā zāhidsub.h kā bhūlā shām ghar āyā
  17. vo kahte haiñ har choṭ par muskurā.ovafā yād rakho sitam bhūl jā.o
  18. hamāre qatl se qātil ko tajriba ye huālahū lahū bhī hai mehndī bhī hai sharāb bhī hai
  19. ye tarz-e-ḳhās hai koī kahāñ se lā.egājo ham kaheñge kisī se kahā na jā.egā