Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Kaleem Aajiz

1926–2015

Poems

  1. āzmānā hai to ā bāzū-o-dil kī quvvattū bhī shamshīr uṭhā ham bhī ġhazal kahte haiñ
  2. ab insānoñ kī bastī kā ye ālam hai ke mat pūchholage hai āg ik ghar meñ to hamsāya huā de hai
  3. apnā lahū bhar kar logoñ ko bāñṭ ga.e paimāne logduniyā bhar ko yād raheñge ham jaise dīvāne log
  4. uṭhte huoñ ko sab ne sahārā diyā kalīmgirte hue ġharīb sambhāle kahāñ ga.e
  5. unheñ ke gīt zamāne meñ gā.e jā.eñgejo choṭ khā.eñge aur muskurā.e jā.eñge
  6. bahāroñ kī nazar meñ phūl aur kānṭe barābar haiñmohabbat kyā kareñge dost dushman dekhne vāle
  7. talḳhiyāñ is meñ bahut kuchh haiñ mazā kuchh bhī nahīñzindagī dard-e-mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
  8. dil thām ke karvaṭ pe liye jā.ūñ hūñ karvaṭvo āg lagī hai ke bujhā.e na bane hai
  9. duniyā meñ ġharīboñ ko do kām hī āte haiñkhāne ke liye jīnā jīne ke liye khānā
  10. sunā hai hameñ be vafā tum kaho hozarā ham se ānkheñ milā lo to jāneñ
  11. sunegā kaun merī chāk dāmānī kā afsānayahāñ sab apne apne pairahan kī bāt karte haiñ
  12. ishq meñ maut kā nām hai zindagījis ko jīnā ho marnā gavārā kare
  13. ġham hai to koī lutf nahīñ bistar-e-gul parjī ḳhush hai to kānṭoñ pe bhī ārām bahut hai
  14. fan meñ na mojiza na karāmāt chāhiyedil ko lage bas aisī koī bāt chāhiye
  15. kabhī aisā bhī hove hai rote rotejigar thām kar muskurānā paṛe hai
  16. kal kahte rahe haiñ vahī kal kahte raheñgehar daur meñ ham un pe ġhazal kahte raheñge
  17. kyā sitam hai ke vo zālim bhī hai mahbūb bhī haiyād karte na bane aur bhulā.e na bane
  18. guzar jā.eñge jab din guzre ālam yād ā.eñgehameñ tum yād ā.oge tumheñ ham yād ā.eñge
  19. marnā to bahut sahl sī ik bāt lage haijīnā hī mohabbat meñ karāmāt lage hai
  20. mausam-e-gul hameñ jab yād āyājitnā ġham bhūle the sab yād āyā
  21. merī ġhazal ko merī jāñ faqat ġhazal na samajhik ā.īna hai jo har dam tire muqābil hai
  22. maiñ mohabbat na chhupā.ūñ to adāvat na chhupāna yahī rāz meñ ab hai na vahī rāz meñ hai
  23. mai kade kī taraf chalā zāhidsub.h kā bhūlā shām ghar āyā
  24. vo kahte haiñ har choṭ par muskurā.ovafā yād rakho sitam bhūl jā.o
  25. hamāre qatl se qātil ko tajriba ye huālahū lahū bhī hai mehndī bhī hai sharāb bhī hai
  26. ye tarz-e-ḳhās hai koī kahāñ se lā.egājo ham kaheñge kisī se kahā na jā.egā