مت برا اس کو کہو گرچہ وہ اچھا بھی نہیں
Kaleem Aajiz (1926–2015)مت برا اس کو کہو گرچہ وہ اچھا بھی نہیں
وہ نہ ہوتا تو غزل میں کبھی کہتا بھی نہیں
جانتا تھا کہ ستم گر ہے مگر کیا کیجے
دل لگانے کے لیے اور کوئی تھا بھی نہیں
جیسا بے درد ہو وہ پھر بھی یہ جیسا محبوب
ایسا کوئی نہ ہوا اور کوئی ہوگا بھی نہیں
وہی ہوگا جو ہوا ہے جو ہوا کرتا ہے
میں نے اس پیار کا انجام تو سوچا بھی نہیں
ہائے کیا دل ہے کہ لینے کے لیے جاتا ہے
اس سے پیمان وفا جس پہ بھروسا بھی نہیں
بارہا گفتگو ہوتی رہی لیکن مرا نام
اس نے پوچھا بھی نہیں میں نے بتایا بھی نہیں
تحفہ زخموں کا مجھے بھیج دیا کرتا ہے
مجھ سے ناراض ہے لیکن مجھے بھولا بھی نہیں
دوستی اس سے نبہ جائے بہت مشکل ہے
میرا تو وعدہ ہے اس کا تو ارادہ بھی نہیں
میرے اشعار وہ سن سن کے مزے لیتا رہا
میں اسی سے ہوں مخاطب وہ یہ سمجھا بھی نہیں
میرے وہ دوست مجھے داد سخن کیا دیں گے
جن کے دل کا کوئی حصہ ذرا ٹوٹا بھی نہیں
مجھ کو بننا پڑا شاعر کہ میں ادنیٰ غم دل
ضبط بھی کر نہ سکا پھوٹ کے رویا بھی نہیں
شاعری جیسی ہو عاجزؔ کی بھلی ہو کہ بری
آدمی اچھا ہے لیکن بہت اچھا بھی نہیں
mat bura us ko kaho garche wo achchha bhi nahin
wo na hota to ghazal mein kabhi kahta bhi nahin
janta tha ke sitam gar hai magar kya kije
dil lagane ke liye aur koi tha bhi nahin
jaisa be dard ho wo phir bhi ye jaisa mahbub
aisa koi na hua aur koi hoga bhi nahin
wahi hoga jo hua hai jo hua karta hai
main ne is pyar ka anjam to socha bhi nahin
hae kya dil hai ke lene ke liye jata hai
us se paiman-e-wafa jis pe bharosa bhi nahin
barha guftugu hoti rahi lekin mira nam
us ne puchha bhi nahin main ne bataya bhi nahin
tohfa zakhmon ka mujhe bhej diya karta hai
mujh se naraz hai lekin mujhe bhula bhi nahin
dosti us se naba jae bahut mushkil hai
mera to waada hai us ka to irada bhi nahin
mere ashar wo sun sun ke maze leta raha
main usi se hun mukhatib wo ye samjha bhi nahin
mere wo dost mujhe dad-e-sukhan kya denge
jin ke dil ka koi hissa zara tuta bhi nahin
mujh ko banna para shayar ke main adna gham-e-dil
zabt bhi kar na saka phut ke roya bhi nahin
shayari jaisi ho ajiz ki bhali ho ke buri
admi achchha hai lekin bahut achchha bhi nahin