Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Kailash Mahir

b. 1928

Poems

  1. bhaṭak rahā hūñ ḳhalā.oñ meñ gum shuda kī tarahsukūt-e-sang ne ṭhukrā diyā sadā kī tarah
  2. pūrab des kī yādeñ lāyā phir mausam kā tīkhā panmujh se pahroñ uns kare hai tanhā.ī kā sonā pan
  3. tāb-e-furqat bhī nahīñ zabt kā yārā bhī nahīñuse ghabrā ke bhulā deñ ye gavārā bhī nahīñ
  4. tanhā.ī jahāñ zikr-e-ruḳh yār kare haihar ġham ko charāġh-e-sar dīvār kare hai
  5. jāne kyā soch ke ham tujh se vafā karte haiñqarz hai pichhle janam kā so adā karte haiñ
  6. sā.e haiñ gosh bar āvāz zarā āhistamūniso āj kī shab zikr-e-vafā āhista
  7. kuchh ho sāqī ye tirā jām-e-ināyat to nahīñdil meñ hasrat hai magar hāth meñ tāqat to nahīñ
  8. kisī bargad kā sar-e-rāh na ehsān liyāapnā sāya thā kaṛī dhūp meñ ḳhud tān liyā
  9. kaisā jashn-e-bahār hai apnāgul pe sāya bhī bār hai apnā
  10. lahū na ānkh se ṭapkā na zaḳhm-e-dil ubhrebharī bahār ke ye din bahut girāñ guzre
  11. nairangī-e-bahār-e-junūñ ham bhī dekh leñkyā gul khilā.e girya-e-shabnam bhī dekh leñ
  12. har ḳhushī ko ġhamoñ meñ ḍhālā haiārzūoñ kā bol bālā hai
  13. ham navā miltā to āvāz kā saudā karteham kahāñ ā ga.e parchhā.īñ kā pīchhā karte
  14. ye bhī kyā kam hai ke is bazm se hushyār chalepārsā ā.e the ham ban ke gunah gār chale
  15. abhī fazā.oñ meñ tārī hai muztarib sā sukūñabhī ḳhalā.oñ meñ āvāz gūnj jātī hai
  16. apne māzī kā ā.īna le karjāne kab se udās baiṭhā hūñ
  17. rākh hī rākh hai is ḍher meñ kyā rakhā haikhokhlī ānkheñ jahāñ bahtā rahā āb-e-hayāt
  18. mujhe aisā mahsūs hone lagā haikitābeñ qalam mez kursī ye albam
  19. ham safar tū ne idhar kāsh na dekhā hotākam nigāhī ne tirī kaisī kashish chhalkā dī
  20. ye bhī kyā kam hai ke tū ne mujhe pahchān liyāvo bhī kyā rāt thī jab tujh se mulāqāt huī
  21. tulū-e-sub.h-e-fardā kī munādī bhī zarā sun loye aiṭam jab phaṭegā to qayāmat chār sū hogī
  22. bahut dūr kyūñ bhīṛ se maiñ khaṛā hūñmujhe log kyūñ der se tak rahe haiñ
  23. zarā tum darīche se bāhar to jhāñkokaun nāla kunāñ hai ye kaisī fuġhāñ hai
  24. ġhazālaka.ī bār pūchhā hai maiñ ne
  25. fazā.eñ tilmilā uṭheñ jo maiñ ne gungunā diyāhayāt rasmasā ga.ī jo maiñ ne muskurā diyā
  26. ye go dhūl belāfazā jaise ghar lauṭṭī gā.e bhainsoñ kā revaṛ
  27. tum bhī is shahr meñ ban jā.oge patthar jaisehañsne vālā yahāñ koī hai na rone vālā