Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Kailash Mahir

b. 1928

Poems

  1. bhaṭak rahā hūñ ḳhalā.oñ meñ gum shuda kī tarahsukūt-e-sang ne ṭhukrā diyā sadā kī tarah
  2. pūrab des kī yādeñ lāyā phir mausam kā tīkhā panmujh se pahroñ uns kare hai tanhā.ī kā sonā pan
  3. tāb-e-furqat bhī nahīñ zabt kā yārā bhī nahīñuse ghabrā ke bhulā deñ ye gavārā bhī nahīñ
  4. tanhā.ī jahāñ zikr-e-ruḳh yār kare haihar ġham ko charāġh-e-sar dīvār kare hai
  5. jāne kyā soch ke ham tujh se vafā karte haiñqarz hai pichhle janam kā so adā karte haiñ
  6. sā.e haiñ gosh bar āvāz zarā āhistamūniso āj kī shab zikr-e-vafā āhista
  7. kuchh ho sāqī ye tirā jām-e-ināyat to nahīñdil meñ hasrat hai magar hāth meñ tāqat to nahīñ
  8. kisī bargad kā sar-e-rāh na ehsān liyāapnā sāya thā kaṛī dhūp meñ ḳhud tān liyā
  9. kaisā jashn-e-bahār hai apnāgul pe sāya bhī bār hai apnā
  10. lahū na ānkh se ṭapkā na zaḳhm-e-dil ubhrebharī bahār ke ye din bahut girāñ guzre
  11. nairangī-e-bahār-e-junūñ ham bhī dekh leñkyā gul khilā.e girya-e-shabnam bhī dekh leñ
  12. har ḳhushī ko ġhamoñ meñ ḍhālā haiārzūoñ kā bol bālā hai
  13. ham navā miltā to āvāz kā saudā karteham kahāñ ā ga.e parchhā.īñ kā pīchhā karte
  14. ye bhī kyā kam hai ke is bazm se hushyār chalepārsā ā.e the ham ban ke gunah gār chale