Poet
Joshish Azimabadi
جوشش عظیم آبادیd. 1830
Poems
- آج گلشن میں کس کا پرتو ہےہر کلی گل کی شمع کی لو ہےāj gulshan meñ kis kā partau haihar kalī gul kī sham.a kī lau hai
- آئینۂ دل میں کچھ اگر ہےتیرا ہی جمال جلوہ گر ہےā.īna-e-dil meñ kuchh agar haiterā hī jamāl-e-jalva gar hai
- اپنی وہ بے ثبات ہستی ہےکہ سدا نیستی ہی ہنستی ہےapnī vo be sabāt hastī haike sadā nīstī hī hañstī hai
- اٹھ گئے یاں سے اپنے ہم دم توہاتھ ملتے ہی رہ گئے ہم توuṭh ga.e yāñ se apne ham dam tohāth milte hī rah ga.e ham to
- اس تند خو سے جوں ہی مری آنکھ لڑ گئیاس دل سے اور عقل سے ووہیں بگڑ گئیis tund ḳhū se jūñ hī mirī ānkh laṛ ga.īis dil se aur aql se vohaiñ bigaṛ ga.ī
- اس کمر کے خیال میں ہیں ہمبیٹھے کرتے ہیں سیر ملک عدمis kamar ke ḳhayāl meñ haiñ hambaiṭhe karte haiñ sair-e-mulk-e-adam
- ان دنوں وہ ادھر نہیں آتااپنا جینا نظر نہیں آتاin dinoñ vo idhar nahīñ ātāapnā jīnā nazar nahīñ ātā
- ان نے پہلے ہی پہل پی ہے شراب آج کے دنبولو دل کھول کر اے چنگ و رباب آج کے دنun ne pahle hī pahal pī hai sharāb āj ke dinbolo dil khol kar ai chang-o-rabāb āj ke din
- اہل جہاں کے ملنے سے ہم احتراز کربیٹھے ہیں گوشہ گیر ہو اس دل سے ساز کرahl-e-jahāñ ke milne se ham ehtirāz karbaiṭhe haiñ gosha gīr ho is dil se sāz kar
- اے زلف اس کے منہ سے تو تو لپٹ رہی ہےگیسو کو کاٹیو مت وہ آپ کٹ رہی ہےai zulf us ke muñh se to to lipaṭ rahī haigesū ko kāṭiyo mat vo āp kaṭ rahī hai
- بڑھتی جاتی ہے میری اس کی چاہسچ ہے ہوتی ہے دل کو دل سے راہbaṛhtī jātī hai merī us kī chāhsach hai hotī hai dil ko dil se rāh
- پریشان اے زلف بہر دم نہ ہوسنان مژہ کی تو پرچم نہ ہوpareshān ai zulf bahr dam na hosinān-e-mizha kī to parcham na ho
- پڑتی ہے نظر جب کہ پر و بال پر اپنےروتا ہوں قفس میں بہت احوال پر اپنےpaṛtī hai nazar jab ke par-o-bāl par apnerotā hūñ qafas meñ bahut ahvāl par apne
- پیری میں بھلا ڈھونڈھئے کیا بخت جواں کواب قطع محبت ہی ہوئی جسم سے جاں کوpīrī meñ bhalā ḍhūñḍhiye kyā baḳht-e-javāñ koab qat-e-mohabbat hī huī jism se jāñ ko
- تجھ سے ظالم کو اپنا یار کیاہم نے کیا جبر اختیار کیاtujh se zālim ko apnā yār kiyāham ne kyā jabr iḳhtiyār kiyā
- تجھ سے ہی کیا وفا کی نہیں خوش نگاہ چشمجتنے سفید پوش ہیں سب ہیں سیاہ چشمtujh se hī kyā vafā kī nahīñ ḳhush nigāh chashmjitne safed posh haiñ sab haiñ siyāh chashm
- تجھے اے شعلہ رو کب چھوڑتا ہوںجلے دل کے پھپھولے پھوڑتا ہوںtujhe ai shola ro kab chhoṛtā hūñjale dil ke phphūle phoṛtā hūñ
- تری طہارت کو شیخ کہہ تو کہاں سے لائیں اک آب جو ہمطواف دل کا ہے قصد ہم کو کریں ہیں آنسو سے نت وضو ہمtirī tahārat ko shaiḳh kah to kahāñ se lā.eñ ik āb jū hamtavāf dil kā hai qasd ham ko kareñ haiñ ānsū se nit vuzū ham
- جب ہوئے تم چمن میں آن کھڑےووہیں ہو گئے گلوں کے کان کھڑےjab hue tum chaman meñ ān khaṛevohaiñ ho ga.e guloñ ke kān khaṛe
- جلا بلا ہوں گرفتار حال اپنا ہوںبرنگ شمع سراپا وبال اپنا ہوںjalā balā hūñ giraftār hāl apnā hūñbarang-e-sham.a sarāpā vabāl apnā hūñ
- چشم خونخوار ابروئے خم دار دونوں ایک ہیںہیں جدا لیکن بوقت کار دونوں ایک ہیںchashm-e-ḳhūñḳhvār abrū-e-ḳham dār donoñ ek haiñhaiñ judā lekin boqat kār donoñ ek haiñ
- چشم سے غافل نہ ہوا چاہئےاس کے مقابل نہ ہوا چاہئےchashm se ġhāfil na huā chāhiyeus ke muqābil na huā chāhiye
- چھوڑیئے کس طرح سے مے نوشیزور عالم رکھے ہے بے ہوشیchhoṛiye kis tarah se mai noshīzor ālam rakhe hai be hoshī
- حال اب تنگ ہے زمانے کارنگ بے رنگ ہے زمانے کاhāl ab tang hai zamāne kārang be rang hai zamāne kā
- دامان دل سے گرد تعلق کو جھاڑئیےجوں سرو پاؤں باغ تجرد میں گاڑئیےdāmān-e-dil se gard-e-ta.alluq ko jhāṛiyejūñ sarv pā.oñ bāġh tajarrud meñ gāṛiye
- دل میں ہر چند ہے خیال اس کانظر آتا نہیں جمال اس کاdil meñ har chand hai ḳhayāl us kānazar ātā nahīñ jamāl us kā
- دنیا کی جستجو تو ہم سے نہ ہو سکے گییہ منت آرزو تو ہم سے نہ ہو سکے گیduniyā kī justujū to ham se na ho sakegīye minnat ārzū to ham se na ho sakegī
- سامنے اس کے رو نہیں سکتاچپ رہوں یہ بھی ہو نہیں سکتاsāmne us ke ro nahīñ saktāchup rahūñ ye bhī ho nahīñ saktā
- شیخ کو کعبے سے جو مقصود ہےوہ کنشت دل ہی میں موجود ہےshaiḳh ko ka.abe se jo maqsūd haivo kinshat dil hī meñ maujūd hai
- عیش و عشرت ہی میں کچھ ہے زندگیمرگ ہے بے یار و بے مے زندگیaish-o-ishrat hī meñ kuchh hai zindagīmarg hai be yār-o-be mai zindagī
- کافر ہوں گر کسی کو دیوانہ جانتا ہوںاحوال قیس کا بھی افسانہ جانتا ہوںkāfir hūñ gar kisī ko dīvāna jāntā hūñahvāl qais kā bhī afsāna jāntā hūñ
- کشتی ہے تباہ دل شدوں کیلینا خبر اپنے بے خودوں کیkashtī hai tabāh dil shudoñ kīlenā ḳhabar apne be ḳhudoñ kī
- کیا بدگمانیاں ہیں مری جان لیجئےیہ دل تو ہے وہی اسے پہچان لیجئےkyā badgumāniyāñ haiñ mirī jān lījiyeye dil to hai vahī use pahchān lījiye
- کیجئے رندی کا پیشہ شیشہ شیشہ ہے شرابلیجئے اک گھونٹ شیشہ شیشہ شیشہ ہے شرابkījiye rindī kā pesha shīsha shīsha hai sharāblījiye ik ghūñṭ shīsha shīsha shīsha hai sharāb
- کیوں کہوں قامت کو تیرے اے بت رعنا الفاور کچھ خوبی نہیں رکھتا ہے اک سیدھا الفkyūñ kahūñ qāmat ko tere ai but-e-ra.anā alifaur kuchh ḳhūbī nahīñ rakhtā hai ik sīdhā alif
- گر کوئی کاٹ لے سر بھی ترے دیوانے کاپر یہ سودائے محبت ہے نہیں جانے کاgar koī kāṭ le sar bhī tire dīvāne kāpar ye saudā-e-mohabbat hai nahīñ jāne kā
- گو کہ محتاج ہیں گدا ہیں ہمبے نیازی کے بادشا ہیں ہمgo ke mohtāj haiñ gadā haiñ hambe niyāzī ke bādshā haiñ ham
- لب پر جو مرے آہ غم آلود نہیں ہےاظہار محبت مجھے مقصود نہیں ہےlab par jo mire āh ġham ālūd nahīñ haiiz.hār-e-mohabbat mujhe maqsūd nahīñ hai
- لکھا خط اسے لے قلم اور کاغذجلے عشق سوزاں سے ہم اور کاغذlikhā ḳhat use le qalam aur kāġhazjale ishq sozāñ se ham aur kāġhaz
- مر رہتے ہیں در پر ترے دو چار ہمیشہہے جور و جفا تجھ کو سزا وار ہمیشہmar rahte haiñ dar par tire do chār hameshahai jaur-o-jafā tujh ko sazā vār hamesha
- مرنا تو بہتر ہے جو مر جائیےجی سے کسی کے نہ اتر جائیےmarnā to behtar hai jo mar jā.iyejī se kisī ke na utar jā.iye
- مرے جب تک کہ دم میں دم رہے گایہی رونا یہی ماتم رہے گاmire jab tak ke dam meñ dam rahegāyahī ronā yahī mātam rahegā
- منہ بنائے ہوئے پھرتا ہے وہ کل سے ہم سےکوئی آج اس کو ملا دے کسی کل سے ہم سےmuñh banā.e hue phirtā hai vo kal se ham sekoī āj us ko milā de kisī kal se ham se
- نالۂ دل کی تو کوتاہی نہیںپر اثر کچھ اس کو ہوتا ہی نہیںnāla-e-dil kī to kotāhī nahīñpur asar kuchh us ko hotā hī nahīñ
- نوبت اپنی تو جان تک پہنچیحیف اس کے نہ کان تک پہنچیnaubat apnī to jān tak pahuñchīhaif us ke na kān tak pahuñchī
- نہیں معتقد جو ترے دید کامیں دیوانہ ہوں اس کی فہمید کاnahīñ motaqid jo tire dīd kāmaiñ dīvāna hūñ us kī fahmyad kā
- وہ سعی قفس میں کر کہ ٹوٹےاس میں رہے بال و پر کہ ٹوٹےvo sa.ī-e-qafas meñ kar ke ṭūṭeis meñ rahe bāl-o-par ke ṭūṭe
- ہر چند کہ دیکھے ہے وہ پیار کی آنکھوں سےپر نکلے ہے بے رنگی اس پار کی آنکھوں سےhar chand ke dekhe hai vo pyār kī ānkhoñ separ nikle hai be rangī us pār kī ānkhoñ se
- ہم ہی کرتے نہیں زلفوں کو تری ہار پسندشیخ صاحب کو بھی آتا ہے یہ زنار پسندham hī karte nahīñ zulfoñ ko tirī hār pasandshaiḳh sāhab ko bhī ātā hai ye zunnār pasand
- ہیں دل جگر ہمارے یہ مہر و ماہ دونوںپہنچے ہیں آسماں پہ ہمراہ آہ دونوںhaiñ dil jigar hamāre ye mehr-o-māh donoñpahuñche haiñ āsmāñ pe hamrāh āh donoñ