Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Yasmeen Hameed

b. 1951

Poems

  1. itne āsūda kināre nahīñ achchhe lagteek hī jaise nazāre nahīñ achchhe lagte
  2. ufuq tak merā sahrā khul rahā haikahīñ dariyā se dariyā mil rahā hai
  3. ik be panāh rāt kā tanhā javāb thāchhoṭā sā ik diyā jo sar-e-ehtisāb thā
  4. ek ik harf sameṭo mujhe tahrīr karomerī yaksoī ko āmada-e-zanjīr karo
  5. parda ānkhoñ se haṭāne meñ bahut der lagīhameñ duniyā nazar āne meñ bahut der lagī
  6. ta.alluq ke bahā.o kā maqdam isti.āra kis jagah haimire gahre samundar terī vahshat kā kināra kis jagah hai
  7. jāgte sote hue likhte haiñsher ham rote hue likhte haiñ
  8. ḳhalish hai ḳhvāb hai ādhī kahānī haihamārī bāt to bas ānī jānī hai
  9. dariyā kī ravānī vahī dahshat bhī vahī haiaur ḍūbte lamhāt kī sūrat bhī vahī hai
  10. daulat-e-dard sameṭo ke bikharne ko hairāt kā āḳhirī lamha bhī guzarne ko hai
  11. rāste kī samt aksar dekhte rahte haiñ kyūñḳhāk apne faisloñ kī chhānte rahte haiñ kyūñ
  12. rasā.ī kā qarīna ānkh meñ haizahe qismat madīna ānkh meñ hai
  13. rah-e-be sā.ibāñ se koī rishta joṛ kar dekhūñmaiñ apne shahr kī sārī fasīleñ toṛ kar dekhūñ
  14. sāneha qismatoñ ke darīchoñ meñ lapkegā chhup jā.egā bāt ṭal jā.egīsab musāfir gharoñ ko palaṭ jā.eñge ġham kī vahshat ḳhushī meñ badal jā.egī
  15. subuk hotī havā se tez chalnā chāhtī hūñmaiñ ik jalte diye ke sāth jalnā chāhtī hūñ
  16. shajar hūñ dhūp kī zad par kisī kā sā.ibāñ hūñkisī bhī vaqt miṭ saktā hai jo aisā nishāñ hūñ
  17. atā-e-abr se inkār karnā chāhiye thāmaiñ sahrā thī mujhe iqrār karnā chāhiye thā
  18. qayās-o-yās kī had se nikal karchalī jā.ūñ kahīñ chehra badal kar
  19. kitnā mushkil thā ye rasta kaun likhegāpūrī bāt aur pūrā qissa kaun likhegā
  20. koī pūchhe mire mahtāb se mere sitāroñ sechhalaktā kyūñ nahīñ sailāb meñ pānī kināroñ se
  21. koī sāya sā lipaṭ jātā hai dil se ā karkhiṛkiyāñ kholnī paṛtī haiñ mujhe ghabrā kar
  22. kyā huā koī sochtā bhī nahīñaur kahne ko kuchh huā bhī nahīñ
  23. misāl aks mire ā.īne meñ ḍhaltā rahāvo ḳhad-o-ḳhāl bhī apne magar badaltā rahā
  24. mujhe āgahī kā nishāñ samajh ke miṭā.o matye charāġh jalne lagā hai us ko bujhā.o mat
  25. musalsal ek hī tasvīr chashm-e-tar meñ rahīcharāġh bujh bhī gayā raushnī safar meñ rahī
  26. ham ne kisī ko ahd-e-vafā se rahā kiyāapnī ragoñ se jaise lahū ko judā kiyā
  27. hameñ ḳhabar thī bachāne kā is meñ yārā nahīñso ham bhī ḍūb ga.e aur use pukārā nahīñ
  28. ye duniyā dūr tak kā silsila na.īñhameñ us ke liye kuchh sochnā na.īñ