دریا کی روانی وہی دہشت بھی وہی ہے
Yasmeen Hameed (b. 1951)دریا کی روانی وہی دہشت بھی وہی ہے
اور ڈوبتے لمحات کی صورت بھی وہی ہے
الفاظ بھی لکھے ہیں وہی نوک قلم نے
اوراق پہ پھیلی ہوئی رنگت بھی وہی ہے
کیوں اس کا سراپا نہ ہوا نقش بہ دیوار
جب میں بھی وہی ہوں مری حیرت بھی وہی ہے
کیوں برف سی پڑتی ہے کہیں شہر دروں پر
جب مژدۂ خورشید میں حدت بھی وہی ہے
کیوں ڈھونڈنے نکلے ہیں نئے غم کا خزینہ
جب دل بھی وہی درد کی دولت بھی وہی ہے
رستے سے مری جنگ بھی جاری ہے ابھی تک
اور پاؤں تلے زخم کی وحشت بھی وہی ہے
تا عمر نگاہوں کے لیے ایک سا منظر
سائے کی طرح سائے کی قیمت بھی وہی ہے
dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai
aur dubte lamhat ki surat bhi wahi hai
alfaz bhi likhe hain wahi nok-e-qalam ne
auraq pe phaili hui rangat bhi wahi hai
kyun us ka sarapa na hua naqsh ba diwar
jab main bhi wahi hun miri hairat bhi wahi hai
kyun barf si parti hai kahin shahr-e-darun par
jab muzhda-e-khurshid mein hiddat bhi wahi hai
kyun dhundne nikle hain nae gham ka khazina
jab dil bhi wahi dard ki daulat bhi wahi hai
raste se miri jang bhi jari hai abhi tak
aur paon tale zakhm ki wahshat bhi wahi hai
ta umr nigahon ke liye ek sa manzar
sae ki tarah sae ki qimat bhi wahi hai