Poet
Qamar Jalalvi
1887–1968
Poems
- آہ کو سمجھے ہو کیا دل سے اگر ہو جائے گیوہ تو وہ ان کے فرشتوں کو خبر ہو جائے گیāh ko samjhe ho kyā dil se agar ho jā.egīvo to vo un ke farishtoñ ko ḳhabar ho jā.egī
- اب تو منہ سے بول مجھ کو دیکھ دن بھر ہو گیااے بت خاموش کیا سچ مچ کا پتھر ہو گیاab to muñh se bol mujh ko dekh din bhar ho gayāai but-e-ḳhāmosh kyā sach much kā patthar ho gayā
- اب کیسے رفو پیراہن ہو اس آوارہ دیوانے کاکیا جانے گریباں ہوگا کہاں دامن سے بڑا ویرانے کاab kaise rafū pairāhan ho is āvāra dīvāne kākyā jāne garebāñ hogā kahāñ dāman se baṛā vīrāne kā
- اگر چھوٹا بھی اس سے آئنہ خانہ تو کیا ہوگاوہ الجھے ہی رہیں گے زلف میں شانہ تو کیا ہوگاagar chhoṭā bhī us se ā.īna ḳhāna to kyā hogāvo uljhe hī raheñge zulf meñ shāna to kyā hogā
- ان کی طرف سے ترک ملاقات ہو گئیہم جس سے ڈر رہے تھے وہی بات ہو گئیun kī taraf se tark-e-mulāqāt ho ga.īham jis se ḍar rahe the vahī bāt ho ga.ī
- اے مرے ہم نشیں چل کہیں اور چل اس چمن میں اب اپنا گزارہ نہیںبات ہوتی گلوں تک تو سہہ لیتے ہم اب تو کانٹوں پہ بھی حق ہمارا نہیںai mire ham nashīñ chal kahīñ aur chal is chaman meñ ab apnā guzāra nahīñbāt hotī guloñ tak to sah lete ham ab to kānṭoñ pe bhī haq hamārā nahīñ
- بارش میں عہد توڑ کے گر مے کشی ہوئیتوبہ مری پھرے گی کہاں بھیگتی ہوئیbārish meñ ahd toṛ ke gar mai kashī huītauba mirī phiregī kahāñ bhīgtī huī
- باغ عالم میں رہے شادی و ماتم کی طرحپھول کی طرح ہنسے رو دئے شبنم کی طرحbāġh-e-ālam meñ rahe shādī-o-mātam kī tarahphūl kī tarah hañse ro diye shabnam kī tarah
- بجز تمہارے کسی سے کوئی سوال نہیںکہ جیسے سارے زمانے سے بول چال نہیںbajuz tumhāre kisī se koī savāl nahīñke jaise sāre zamāne se bol chāl nahīñ
- پیتے ہی سرخ آنکھیں ہیں مست شراب کیگرمی تو دیکھو ڈوبے ہوئے آفتاب کیpīte hī surḳh ānkheñ haiñ mast-e-sharāb kīgarmī to dekho ḍūbe hue āftāb kī
- تجھے کیا ناصحا احباب خود سمجھائے جاتے ہیںادھر تو کھائے جاتا ہے ادھر وہ کھائے جاتے ہیںtujhe kyā nās.hā ahbāb ḳhud samjhā.e jāte haiñidhar to khā.e jātā hai idhar vo khā.e jāte haiñ
- ترے نثار نہ دیکھی کوئی خوشی میں نےکہ اب تو موت کو سمجھا ہے زندگی میں نےtire nisār na dekhī koī ḳhushī maiñ neke ab to maut ko samjhā hai zindagī maiñ ne
- تم اپنی یاد سے کہہ دو نہ جائے چھوڑ کے دلکہ درد ہجر نہ رکھ دے کہیں مروڑ کے دلtum apnī yād se kah do na jā.e chhoṛ ke dilke dard-e-hijr na rakh de kahīñ maroṛ ke dil
- تم کو ہم خاک نشینوں کا خیال آنے تکشہر تو شہر بدل جائیں گے ویرانے تکtum ko ham ḳhāk nashīnoñ kā ḳhayāl āne takshahr to shahr badal jā.eñge vīrāne tak
- توبہ کیجے اب فریب دوستی کھائیں گے کیاآج تک پچھتا رہے ہیں اور پچھتائیں گے کیاtauba kīje ab fareb-e-dostī khā.eñge kyāāj tak puchhtā rahe haiñ aur pachhtā.eñge kyā
- چھوڑ کر گھر بار اپنا حسرت دیدار میںاک تماشہ بن کے آ بیٹھا ہوں کوئے یار میںchhoṛ kar ghar bār apnā hasrat-e-dīdār meñik tamāsha ban ke ā baiṭhā hūñ kū-e-yār meñ
- حسن کب عشق کا ممنون وفا ہوتا ہےلاکھ پروانہ مرے شمع پہ کیا ہوتا ہےhusn kab ishq kā mamnūn-e-vafā hotā hailākh parvāna mire sham.a pe kyā hotā hai
- دونوں ہیں ان کے ہجر کا حاصل لئے ہوئےدل کو ہے درد درد کو ہے دل لئے ہوئےdonoñ haiñ un ke hijr kā hāsil liye huedil ko hai dard dard ko hai dil liye hue
- دہائی ہے تری تو لے خبر او لا مکاں والےچمن میں رو رہے ہیں آشیاں کو آشیاں والےduhā.ī hai tirī to le ḳhabar o lā makāñ vālechaman meñ ro rahe haiñ āshiyāñ ko āshiyāñ vāle
- دیکھتے ہیں رقص میں دن رات پیمانے کو ہمساقیا راس آ گئے ہیں تیرے مے خانے کو ہمdekhte haiñ raqs meñ din rāt paimāne ko hamsāqiyā rās ā ga.e haiñ tere mai ḳhāne ko ham
- دیکھیے ہو گئی بد نام مسیحائی بھیہم نہ کہتے تھے کہ ٹلتی ہے کہیں آئی بھیdekhiye ho ga.ī bad nām masīhā.ī bhīham na kahte the ke ṭaltī hai kahīñ ā.ī bhī
- راز دل کیوں نہ کہوں سامنے دیوانوں کےیہ تو وہ لوگ ہیں اپنوں کے نہ بیگانوں کےrāz-e-dil kyūñ na kahūñ sāmne dīvānoñ keye to vo log haiñ apnoñ ke na begānoñ ke
- سجدے ترے کہنے سے میں کر لوں بھی تو کیا ہوتو اے بت کافر نہ خدا ہے نہ خدا ہوsajde tire kahne se maiñ kar lūñ bhī to kyā hotū ai but-e-kāfir na ḳhudā hai na ḳhudā ho
- سرخیاں کیوں ڈھونڈھ کر لاؤں فسانے کے لئےبس تمہارا نام کافی ہے زمانے کے لئےsurḳhiyāñ kyūñ ḍhūñḍh kar lā.ūñ fasāne ke liyebas tumhārā nām kāfī hai zamāne ke liye
- سوال چھوڑ کہ حالت یہ کیوں بنائی ہےاسے نہ سن جو کہانی سنی سنائی ہےsavāl chhoṛ ke hālat ye kyūñ banā.ī haiuse na sun jo kahānī sunī sunā.ī hai
- سوز غم فراق سے دل کو بچائے کونظالم تری لگائی ہوئی کو بجھائے کونsoz-e-ġham-e-firāq se dil ko bachā.e kaunzālim tirī lagā.ī huī ko bujhā.e kaun
- شیخ آخر یہ صراحی ہے کوئی خم تو نہیںاور بھی بیٹھے ہیں محفل میں ہمیں تم تو نہیںshaiḳh āḳhir ye surāhī hai koī ḳham to nahīñaur bhī baiṭhe haiñ mahfil meñ hameñ tum to nahīñ
- کب میرا نشیمن اہل چمن گلشن میں گوارا کرتے ہیںغنچے اپنی آوازوں میں بجلی کو پکارا کرتے ہیںkab merā nasheman ahl-e-chaman gulshan meñ gavārā karte haiñġhunche apnī āvāzoñ meñ bijlī ko pukārā karte haiñ
- کبھی جو آنکھ پہ گیسوئے یار ہوتا ہےشراب خانے پہ ابر بہار ہوتا ہےkabhī jo ānkh pe gesū-e-yār hotā haisharāb ḳhāne pe abr-e-bahār hotā hai
- کبھی کہا نہ کسی سے ترے فسانے کونہ جانے کیسے خبر ہو گئی زمانے کوkabhī kahā na kisī se tire fasāne kona jāne kaise ḳhabar ho ga.ī zamāne ko
- کرتے بھی کیا حضور نہ جب اپنے گھر ملےدشمن سے ہم کبھی نہ ملے تھے مگر ملےkarte bhī kyā huzūr na jab apne ghar miledushman se ham kabhī na mile the magar mile
- کسی صورت سحر نہیں ہوتیرات ادھر سے ادھر نہیں ہوتیkisī sūrat sahar nahīñ hotīrāt idhar se idhar nahīñ hotī
- کسی کا نام لو بے نام افسانے بہت سے ہیںنہ جانے کس کو تم کہتے ہو دیوانے بہت سے ہیںkisī kā nām lo be nām afsāne bahut se haiñna jāne kis ko tum kahte ho dīvāne bahut se haiñ
- کون سے تھے وہ تمہارے عہد جو ٹوٹے نہ تھےخیر ان باتوں میں کیا رکھا ہے تم جھوٹے نہ تھےkaun se the vo tumhāre ahd jo ṭūṭe na theḳhair in bātoñ meñ kyā rakhā hai tum jhūṭe na the
- لحد اور حشر میں یہ فرق کم پائے نہیں جاتےیہاں دھوپ آ نہیں سکتی وہاں سائے نہیں جاتےlahad aur hashr meñ ye farq kam pā.e nahīñ jāteyahāñ dhūp ā nahīñ saktī vahāñ sā.e nahīñ jāte
- مجھے باغباں سے گلہ یہ ہے کہ چمن سے بے خبری رہیکہ ہے نخل گل کا تو ذکر کیا کوئی شاخ تک نہ ہری رہیmujhe bāġhbāñ se gila ye hai ke chaman se be ḳhabarī rahīke hai naḳhl-e-gul kā to zikr kyā koī shāḳh tak na harī rahī
- مرا خاموش رہ کر بھی انہیں سب کچھ سنا دینازباں سے کچھ نہ کہنا دیکھ کر آنسو بہا دیناmirā ḳhāmosh rah kar bhī unheñ sab kuchh sunā denāzabāñ se kuchh na kahnā dekh kar ānsū bahā denā
- مریض محبت انہیں کا فسانہ سناتا رہا دم نکلتے نکلتےمگر ذکر شام الم کا جب آیا چراغ سحر بجھ گیا جلتے جلتےmarīz-e-mohabbat unheñ kā fasāna sunātā rahā dam nikalte nikaltemagar zikr-e-shām-e-alam kā jab āyā charāġh-e-sahar bujh gayā jalte jalte
- موسیٰ سمجھے تھے ارماں نکل جائے گایہ خبر ہی نہ تھی طور جل جائے گاmūsā samjhe the armāñ nikal jā.egāye ḳhabar hī na thī tūr jal jā.egā
- نہ رکتے ہیں آنسو نہ تھمتے ہیں نالےکہو کوئی کیسے محبت چھپا لےna rukte haiñ ānsū na thamte haiñ nālekaho koī kaise mohabbat chhupā le
- وہ آغاز محبت کا زمانہذرا سی بات بنتی تھی فسانہvo āġhāz-e-mohabbat kā zamānazarā sī bāt bantī thī fasāna
- ہٹی زلف ان کے چہرے سے مگر آہستہ آہستہعیاں سورج ہوا وقت سحر آہستہ آہستہhaṭī zulf un ke chehre se magar āhista āhistaayāñ sūraj huā vaqt-e-sahar āhista āhista
- یوں تمہارے ناتوان شوق منزل بھر چلےکھائی ٹھوکر گر پڑے گر کر اٹھے اٹھ کر چلےyūñ tumhāre nātavān-e-shauq manzil bhar chalekhā.ī ṭhokar gir paṛe gir kar uṭhe uṭh kar chale
- یہ درد ہجر اور اس پر سحر نہیں ہوتیکہیں ادھر کی تو دنیا ادھر نہیں ہوتیye dard-e-hijr aur us par sahar nahīñ hotīkahīñ idhar kī to duniyā idhar nahīñ hotī
- یہ رستے میں کس سے ملاقات کر لیکہاں رہ گئے تھے بڑی رات کر لیye raste meñ kis se mulāqāt kar līkahāñ rah ga.e the baṛī rāt kar lī
- یہ روز حشر کا اور شکوۂ وفا کے لئےخدا کے سامنے تو چپ رہو خدا کے لئےye roz-e-hashr kā aur shikva-e-vafā ke liyeḳhudā ke sāmne to chup raho ḳhudā ke liye