Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Idris Azad

Poems

Meter
  1. āp to bāt kā aḳhbār banā dete haiñghar kā māhaul pur asrār banā dete haiñ
  2. ab to asbāb-o-ilal se mujhe bartar kar deis farīze pe farishtoñ ko muqarrar kar de
  3. tumhāre husn ke jalve baham nahīñ haiñ miyāñnahīñ haiñ ab vo tumhāre karam nahīñ haiñ miyāñ
  4. jab tujhe mimbar-e-yāqūt kaṭahrā huā thāmaiñ sar-e-arsh tire sāmne ṭhahrā huā thā
  5. chāhat mirī miṭṭī meñ ajab chhoṛ gayā haidil jal ke bhī ḳhāshāk talab chhoṛ gayā hai
  6. chaman kī sair bhī kāfī rahī anā ke liyesabā ne phūl ke bose mujhe dikhā ke liye
  7. ḳhudā ne jab mujh bashar ko apnā ḳhalaf banāyā savāl ye haito maiñ ne kyūñ āsmān sar par nahīñ uṭhāyā savāl ye hai
  8. dushman-e-jāñ ke liye lafz masīhā niklāsach mire muñh se to niklā magar ādhā niklā
  9. zamāna ānkh se ojhal makān sāmne haichhupī huī hai haqīqat gumān sāmne hai
  10. sabr se ṭūṭā huā zabt se hārā havā meñjitnā bāqī bachā hūñ itnā tumhārā havā meñ
  11. ujlat ko iḳhtiyār na kar intizār karḳhud par junūñ savār na kar intizār kar
  12. guzishta shab jo hastī bar farāz-e-dār thī maiñ thāphir agle din jo surḳhī shaukat-e-aḳhbār thī maiñ thā
  13. mire vāste vo adam hue jo saf-e-adū se nikal ga.emirī mahfiloñ se nikal ga.e mirī guftugū se nikal ga.e
  14. misr se ret chalī ātī hai takrār ke sāthhusn kā nām liyā jātā hai bāzār ke sāth
  15. maiñ apne ishq meñ paiham zavāl dekhtā hūñjo tere chāhne vāloñ kā hāl dekhtā hūñ
  16. vafūr-e-sher hai aur rāt hone vālī haitū chānd hai to mulāqāt hone vālī hai
  17. vo hashr ḳhez ināyāt par utar āyābalā kā rang hai aur rāt par utar āyā
  18. hamāre hote hote rah ga.e haiñqasam se āp achchhe rah ga.e haiñ
  19. ham aise log shīshe meñ utar jāte haiñ dil dārāchhanak kar ṭūṭ jāte haiñ bikhar jāte haiñ dil dārā
  20. ham badalte nahīñ badalte haiñis liye ham se log jalte haiñ
  21. yūñ bazāhir to pas-e-pusht na ḍāloge hameñjānte haiñ baṛī izzat se nikāloge hameñ