Poet
Idris Azad
Poems
- آپ تو بات کا اخبار بنا دیتے ہیںگھر کا ماحول پر اسرار بنا دیتے ہیںāp to bāt kā aḳhbār banā dete haiñghar kā māhaul pur asrār banā dete haiñ
- اب تو اسباب و علل سے مجھے برتر کر دےاس فریضے پہ فرشتوں کو مقرر کر دےab to asbāb-o-ilal se mujhe bartar kar deis farīze pe farishtoñ ko muqarrar kar de
- تمہارے حسن کے جلوے بہم نہیں ہیں میاںنہیں ہیں اب وہ تمہارے کرم نہیں ہیں میاںtumhāre husn ke jalve baham nahīñ haiñ miyāñnahīñ haiñ ab vo tumhāre karam nahīñ haiñ miyāñ
- جب تجھے منبر یاقوت کٹہرا ہوا تھامیں سر عرش ترے سامنے ٹھہرا ہوا تھاjab tujhe mimbar-e-yāqūt kaṭahrā huā thāmaiñ sar-e-arsh tire sāmne ṭhahrā huā thā
- چاہت مری مٹی میں عجب چھوڑ گیا ہےدل جل کے بھی خاشاک طلب چھوڑ گیا ہےchāhat mirī miṭṭī meñ ajab chhoṛ gayā haidil jal ke bhī ḳhāshāk talab chhoṛ gayā hai
- چمن کی سیر بھی کافی رہی انا کے لیےصبا نے پھول کے بوسے مجھے دکھا کے لیےchaman kī sair bhī kāfī rahī anā ke liyesabā ne phūl ke bose mujhe dikhā ke liye
- خدا نے جب مجھ بشر کو اپنا خلف بنایا سوال یہ ہےتو میں نے کیوں آسمان سر پر نہیں اٹھایا سوال یہ ہےḳhudā ne jab mujh bashar ko apnā ḳhalaf banāyā savāl ye haito maiñ ne kyūñ āsmān sar par nahīñ uṭhāyā savāl ye hai
- دشمن جاں کے لیے لفظ مسیحا نکلاسچ مرے منہ سے تو نکلا مگر آدھا نکلاdushman-e-jāñ ke liye lafz masīhā niklāsach mire muñh se to niklā magar ādhā niklā
- زمانہ آنکھ سے اوجھل مکان سامنے ہےچھپی ہوئی ہے حقیقت گمان سامنے ہےzamāna ānkh se ojhal makān sāmne haichhupī huī hai haqīqat gumān sāmne hai
- صبر سے ٹوٹا ہوا ضبط سے ہارا ہوا میںجتنا باقی بچا ہوں اتنا تمہارا ہوا میںsabr se ṭūṭā huā zabt se hārā havā meñjitnā bāqī bachā hūñ itnā tumhārā havā meñ
- عجلت کو اختیار نہ کر انتظار کرخود پر جنوں سوار نہ کر انتظار کرujlat ko iḳhtiyār na kar intizār karḳhud par junūñ savār na kar intizār kar
- گزشتہ شب جو ہستی بر فراز دار تھی میں تھاپھر اگلے دن جو سرخی شوکت اخبار تھی میں تھاguzishta shab jo hastī bar farāz-e-dār thī maiñ thāphir agle din jo surḳhī shaukat-e-aḳhbār thī maiñ thā
- مرے واسطے وہ عدم ہوئے جو صف عدو سے نکل گئےمری محفلوں سے نکل گئے مری گفتگو سے نکل گئےmire vāste vo adam hue jo saf-e-adū se nikal ga.emirī mahfiloñ se nikal ga.e mirī guftugū se nikal ga.e
- مصر سے ریت چلی آتی ہے تکرار کے ساتھحسن کا نام لیا جاتا ہے بازار کے ساتھmisr se ret chalī ātī hai takrār ke sāthhusn kā nām liyā jātā hai bāzār ke sāth
- میں اپنے عشق میں پیہم زوال دیکھتا ہوںجو تیرے چاہنے والوں کا حال دیکھتا ہوںmaiñ apne ishq meñ paiham zavāl dekhtā hūñjo tere chāhne vāloñ kā hāl dekhtā hūñ
- وفور شعر ہے اور رات ہونے والی ہےتو چاند ہے تو ملاقات ہونے والی ہےvafūr-e-sher hai aur rāt hone vālī haitū chānd hai to mulāqāt hone vālī hai
- وہ حشر خیز عنایات پر اتر آیابلا کا رنگ ہے اور رات پر اتر آیاvo hashr ḳhez ināyāt par utar āyābalā kā rang hai aur rāt par utar āyā
- ہمارے ہوتے ہوتے رہ گئے ہیںقسم سے آپ اچھے رہ گئے ہیںhamāre hote hote rah ga.e haiñqasam se āp achchhe rah ga.e haiñ
- ہم ایسے لوگ شیشے میں اتر جاتے ہیں دل داراچھنک کر ٹوٹ جاتے ہیں بکھر جاتے ہیں دل داراham aise log shīshe meñ utar jāte haiñ dil dārāchhanak kar ṭūṭ jāte haiñ bikhar jāte haiñ dil dārā
- ہم بدلتے نہیں بدلتے ہیںاس لیے ہم سے لوگ جلتے ہیںham badalte nahīñ badalte haiñis liye ham se log jalte haiñ
- یوں بظاہر تو پس پشت نہ ڈالو گے ہمیںجانتے ہیں بڑی عزت سے نکالو گے ہمیںyūñ bazāhir to pas-e-pusht na ḍāloge hameñjānte haiñ baṛī izzat se nikāloge hameñ
- اسے احساس ہونا چاہیے تھاکہ بچے کو کھلونا چاہیے تھاuse ehsās honā chāhiye thāke bachche ko khilaunā chāhiye thā
- بجتا رہتا ہے مسلسل کسی بربط کی طرحکس کی دستک پہ لگا ہے مرا دروازۂ دلbajtā rahtā hai musalsal kisī barbat kī tarahkis kī dastak pe lagā hai mirā darvāza-e-dil
- تری تعریف کرنے لگ گیا ہوںمحبت نے دیانت چھین لی ہےtirī ta.arīf karne lag gayā hūñmohabbat ne dayānat chhīn lī hai
- تری رونمائی کی رات بھی میں جہاں کھڑا تھا کھڑا رہاکہ ہجوم شہر کو چیر کر مجھے راستہ نہیں چاہیےtirī rūnumā.ī kī rāt bhī maiñ jahāñ khaṛā thā khaṛā rahāke hujūm-e-shahr ko chīr kar mujhe rāsta nahīñ chāhiye
- تم نے تاروں کو رہنما جاناہم نے تاروں کی رہنمائی کیtum ne tāroñ ko rahnumā jānāham ne tāroñ kī rahnumā.ī kī
- ٹوٹی نشست دل تو محبت کی آبروواپس اسی مقام پہ لائی نہ جا سکیṭūṭī nashist dil to mohabbat kī ābrūvāpas usī maqām pe lā.ī na jā sakī
- دل کا دروازہ کھلا تھا کوئی ٹکتا کیسےجو بھی آتا تھا وہ جانے کے لیے آتا تھاdil kā darvāza khulā thā koī ṭiktā kaisejo bhī ātā thā vo jāne ke liye ātā thā
- عید کا چاند تم نے دیکھ لیاچاند کی عید ہو گئی ہوگیe.id kā chānd tum ne dekh liyāchānd kī e.id ho ga.ī hogī
- کھینچ لاتی ہے سمندر سے جزیرے سر آبجب مری آنکھ کو منظر کی تمنا ہو جائےkhīñch lātī hai samundar se jazīre sar-e-ābjab mirī ānkh ko manzar kī tamannā ho jā.e
- میں اپنے آپ سے رہتا ہوں دور عید کے دناک اجنبی سا تکلف نئے لباس میں ہےmaiñ apne āp se rahtā hūñ dūr e.id ke dinik ajnabī sā takalluf na.e libās meñ hai
- میں تو اتنا بھی سمجھنے سے رہا ہوں قاصرراہ تکنے کے سوا آنکھ کا مقصد کیا ہےmaiñ to itnā bhī samajhne se rahā hūñ qāsirrāh takne ke sivā ānkh kā maqsad kyā hai
- میں جس میں دفن ہوں اک چلتی پھرتی قبر ہے یہجنم نہیں تھا وہ دراصل مر گیا تھا میںmaiñ jis meñ dafn hūñ ik chaltī phirtī qabr hai yejanam nahīñ thā vo darasl mar gayā thā maiñ
- میں نے جتنے بھی لوگ دیکھے ہیںسب کے سینوں میں روگ دیکھے ہیںmaiñ ne jitne bhī log dekhe haiñsab ke sīnoñ meñ rog dekhe haiñ
- نہیں نہیں میں اکیلا تو دل گرفتہ نہ تھاشجر بھی بیٹھا تھا مجھ سے کمر لگائے ہوئےnahīñ nahīñ maiñ akelā to dil girafta na thāshajar bhī baiṭhā thā mujh se kamar lagā.e hue
- وہ شوق ربط نو میں کھڑی جھولتی رہیمیں شاخ اعتبار سے پھل کی طرح گراvo shauq rabt-e-nau meñ khaṛī jhūltī rahīmaiñ shāḳh etibār se phal kī tarah girā
- وہ شہر بھر کو فسانے سناتا پھرتا ہےہمارے سامنے سچا بنے تو بات بنےvo shahr bhar ko fasāne sunātā phirtā haihamāre sāmne sachchā bane to bāt bane