Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Idris Azad

Poems

Meter
  1. use ehsās honā chāhiye thāke bachche ko khilaunā chāhiye thā
  2. bajtā rahtā hai musalsal kisī barbat kī tarahkis kī dastak pe lagā hai mirā darvāza-e-dil
  3. tirī ta.arīf karne lag gayā hūñmohabbat ne dayānat chhīn lī hai
  4. tirī rūnumā.ī kī rāt bhī maiñ jahāñ khaṛā thā khaṛā rahāke hujūm-e-shahr ko chīr kar mujhe rāsta nahīñ chāhiye
  5. tum ne tāroñ ko rahnumā jānāham ne tāroñ kī rahnumā.ī kī
  6. ṭūṭī nashist dil to mohabbat kī ābrūvāpas usī maqām pe lā.ī na jā sakī
  7. dil kā darvāza khulā thā koī ṭiktā kaisejo bhī ātā thā vo jāne ke liye ātā thā
  8. e.id kā chānd tum ne dekh liyāchānd kī e.id ho ga.ī hogī
  9. khīñch lātī hai samundar se jazīre sar-e-ābjab mirī ānkh ko manzar kī tamannā ho jā.e
  10. maiñ apne āp se rahtā hūñ dūr e.id ke dinik ajnabī sā takalluf na.e libās meñ hai
  11. maiñ to itnā bhī samajhne se rahā hūñ qāsirrāh takne ke sivā ānkh kā maqsad kyā hai
  12. maiñ jis meñ dafn hūñ ik chaltī phirtī qabr hai yejanam nahīñ thā vo darasl mar gayā thā maiñ
  13. maiñ ne jitne bhī log dekhe haiñsab ke sīnoñ meñ rog dekhe haiñ
  14. nahīñ nahīñ maiñ akelā to dil girafta na thāshajar bhī baiṭhā thā mujh se kamar lagā.e hue
  15. vo shauq rabt-e-nau meñ khaṛī jhūltī rahīmaiñ shāḳh etibār se phal kī tarah girā
  16. vo shahr bhar ko fasāne sunātā phirtā haihamāre sāmne sachchā bane to bāt bane