Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Faisal Qadri Gunnauri

b. 1995

Poems

  1. apne sīne meñ dabā.e hue ġham rakhā haiham ne har hāl meñ ulfat kā bharam rakhā hai
  2. batā kaise ham tujh ko chāheñ sitam garadā.eñ haiñ qātil nigāheñ sitam gar
  3. jab ā.īnoñ ko bhī dhundlā dikhā.ī dene lagāmaiñ apne āp hī apnī safā.ī dene lagā
  4. jab bhī mausam ye sard hotā haijāne kyūñ dil meñ dard hotā hai
  5. jo sab kī ḳhair ḳhvāhī chāhtā haivo apnī vāh vāhī chāhtā hai
  6. hāl kyā kar diyā dīvāne kāshukriya mujh ko āzmāne kā
  7. dīd kā ishtiyāq thoṛī haius ko ranj-e-firāq thoṛī hai
  8. sārā qissa tamām hone ko haidil kisī kā ġhulām hone ko hai
  9. sab kī nazroñ meñ yūñ bhī pyārā hūñmaiñ tirī ik nazar kā mārā hūñ
  10. ġhairoñ ne kiye haiñ jo karam yād kareñgerah rah ke phir apnoñ ke sitam yād kareñge
  11. kab nazāroñ kā samāñ dekhā haitum ne bas daur-e-ḳhizāñ dekhā hai
  12. garche aulād ban ke baiṭhe haiñfaḳhr ajdād ban ke baiṭhe haiñ
  13. muddatoñ ba.ad usī shaḳhs kī yād ā.ī haishaḳhs bhī vo jo ke muddat hī se harjā.ī hai
  14. ham kahāñ apnī mohabbat meñ ḳhalal chāhte haiñāp har bāt pe kyūñ rad-e-amal chāhte haiñ
  15. ye kaun hai jo kānoñ meñ ras ghol rahā haikoyal kī tarah mīṭhā bahut bol rahā hai
  16. tirī mohabbat ne mere hamdamkyā hai kuchh mujh pe aisā jādū
  17. zikr har ek ān bhārat kāmotarif hai jahān bhārat kā
  18. rāh ulfat pe chal ke dekho toapne ġham se nikal ke dekho to
  19. kahīñ milte hue parbat gagan sekahīñ miltī huī gangā jaman se
  20. merā pyārā hindostānkitnī ūnchī us kī shān
  21. ab zindagī se koī bhī shikva nahīñ mujhetū mil gayā to koī tamannā nahīñ mujhe
  22. us ne jab se hāth pakaṛnā chhoṛ diyātab se ham ne sāth meñ chalnā chhoṛ diyā
  23. uf sitam gar tirī adā.eñ bhīyād ātī haiñ dil jalātī haiñ
  24. un kī hazār koshisheñ aur zid alag rahīapnī to ḍeṛh īnṭ kī masjid alag rahī
  25. ek ham haiñ ke zaḳhm jhelte haiñek vo haiñ ke dil se khelte haiñ
  26. tire karam se jo dāman hamāre bhar jā.eñhasad kī āg meñ jal jal ke log mar jā.eñ
  27. tum jo chāho vo karte phirte hosārī pābandiyāñ hamī par haiñ
  28. tumhāre jaisā na dekhā koī mire hamdamhasīn yūñ to jahāñ meñ mujhe hazār mile
  29. terā ā.īna kah rahe haiñ mujhemerī tasvīr dekhne vāle
  30. terī ḳhātir jo huī is har shahādat ko salāmsarzamīn-e-hind terī shān-o-shaukat ko salām
  31. ṭimṭimāte the jo charāġh kabhīab vo qindīl hone vāle haiñ
  32. jāne vālā chalā gayā to kyūñus ke jāne kā ġham kiyā jā.e
  33. jin ko apnā samajh rahe the hamrang un ko badalte dekh liyā
  34. janam letī haiñ na.ī ḳhvāhisheñ jab bhī dil meñmuflisī hai ke vahīñ hāth pakaṛ letī hai
  35. dil kā mire parinda tumhāre qafas meñ thājab tak tumhārā hāth mirī dastaras meñ thā
  36. zindagī misl-e-kahkashāñ hotīkāsh merī bhī āj māñ hotī
  37. saudā kabhī zamīr kā maiñ ne kiyā nahīñsad shukr meñ bhī ishq meñ tājir huā nahīñ
  38. qīmat lagā rahe haiñ jo dīdār-e-yār kīvāqif nahīñ haiñ vo abhī rāhoñ se pyār kī
  39. kabhī ziyāda kabhī kam udās rahtā hūñtumhārī yād meñ har dam udās rahtā hūñ
  40. kitnī be rang zindagī hai mirīishq ke rang yār bhar do nā
  41. kis kī ḳhushbū se muattar ye fazā hone lagīgulbadan kaun ye guzrā hai galī se merī
  42. kisī tarah to hamārā visāl ho jā.eagarche us ke liye intiqāl ho jā.e
  43. kaise use pata ho ke mamtā azīm haiham jaisā kamsinī se jo bachcha yatīm hai
  44. vo dekho log shain alif ain re hueham ain shain qāf meñ uljhe hī rah ga.e
  45. har kisī shaḳhs ke mūāfiq haiaisā lagtā hai to munāfiq hai
  46. ham aise sāre subūtoñ ko phāṛ ḍāleñgehamāre bīch meñ jo bhī darāṛ ḍāleñge
  47. hai un meñ kaisā jādū boltī haiñtirī ānkheñ bhī urdū boltī haiñ
  48. ye kaisā bojh hai bhārī hai dil parajab sī kaifiyat tārī hai dil par