Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Faisal Qadri Gunnauri

b. 1995

Poems

  1. ab zindagī se koī bhī shikva nahīñ mujhetū mil gayā to koī tamannā nahīñ mujhe
  2. us ne jab se hāth pakaṛnā chhoṛ diyātab se ham ne sāth meñ chalnā chhoṛ diyā
  3. uf sitam gar tirī adā.eñ bhīyād ātī haiñ dil jalātī haiñ
  4. un kī hazār koshisheñ aur zid alag rahīapnī to ḍeṛh īnṭ kī masjid alag rahī
  5. ek ham haiñ ke zaḳhm jhelte haiñek vo haiñ ke dil se khelte haiñ
  6. tire karam se jo dāman hamāre bhar jā.eñhasad kī āg meñ jal jal ke log mar jā.eñ
  7. tum jo chāho vo karte phirte hosārī pābandiyāñ hamī par haiñ
  8. tumhāre jaisā na dekhā koī mire hamdamhasīn yūñ to jahāñ meñ mujhe hazār mile
  9. terā ā.īna kah rahe haiñ mujhemerī tasvīr dekhne vāle
  10. terī ḳhātir jo huī is har shahādat ko salāmsarzamīn-e-hind terī shān-o-shaukat ko salām
  11. ṭimṭimāte the jo charāġh kabhīab vo qindīl hone vāle haiñ
  12. jāne vālā chalā gayā to kyūñus ke jāne kā ġham kiyā jā.e
  13. jin ko apnā samajh rahe the hamrang un ko badalte dekh liyā
  14. janam letī haiñ na.ī ḳhvāhisheñ jab bhī dil meñmuflisī hai ke vahīñ hāth pakaṛ letī hai
  15. dil kā mire parinda tumhāre qafas meñ thājab tak tumhārā hāth mirī dastaras meñ thā
  16. zindagī misl-e-kahkashāñ hotīkāsh merī bhī āj māñ hotī
  17. saudā kabhī zamīr kā maiñ ne kiyā nahīñsad shukr meñ bhī ishq meñ tājir huā nahīñ
  18. qīmat lagā rahe haiñ jo dīdār-e-yār kīvāqif nahīñ haiñ vo abhī rāhoñ se pyār kī
  19. kabhī ziyāda kabhī kam udās rahtā hūñtumhārī yād meñ har dam udās rahtā hūñ
  20. kitnī be rang zindagī hai mirīishq ke rang yār bhar do nā
  21. kis kī ḳhushbū se muattar ye fazā hone lagīgulbadan kaun ye guzrā hai galī se merī
  22. kisī tarah to hamārā visāl ho jā.eagarche us ke liye intiqāl ho jā.e
  23. kaise use pata ho ke mamtā azīm haiham jaisā kamsinī se jo bachcha yatīm hai
  24. vo dekho log shain alif ain re hueham ain shain qāf meñ uljhe hī rah ga.e
  25. har kisī shaḳhs ke mūāfiq haiaisā lagtā hai to munāfiq hai
  26. ham aise sāre subūtoñ ko phāṛ ḍāleñgehamāre bīch meñ jo bhī darāṛ ḍāleñge
  27. hai un meñ kaisā jādū boltī haiñtirī ānkheñ bhī urdū boltī haiñ
  28. ye kaisā bojh hai bhārī hai dil parajab sī kaifiyat tārī hai dil par