Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ehsan Danish

1914–1982

Poems

Meter
  1. ānkh meñ ānsū haiñ ehsās-e-masarrat dil meñ haiek firdaus-e-nazāra āp kī mahfil meñ hai
  2. āyā nahīñ hai rāh pe charḳh-e-kuhan abhīḳhatre meñ dekhtā hūñ chaman kā chaman abhī
  3. ab kaho kārvāñ kidhar ko chalerāste kho ga.e charāġh jale
  4. apnī rusvā.ī kā ehsās to ab kuchh bhī nahīñhonṭ hī sun haiñ ḳhamoshī kā sabab kuchh bhī nahīñ
  5. uṭhā hūñ ik hujūm-e-tamannā liye hueduniyā se jā rahā hūñ maiñ duniyā liye hue
  6. iz.hār-e-sadāqat meñ asar kyūñ nahīñ hotāab merī taraf un kā guzar kyūñ nahīñ hotā
  7. agar mohabbat ke mudda.ī ho to ye ravayya ravā nahīñ haijo shikva hai rūbarū nahīñ hai jo bāt hai barmalā nahīñ hai
  8. baḳhsh dī hāl-e-zabūñ ne jalva sāmānī mujhekāsh mil jā.e zamāne kī pareshānī mujhe
  9. banā deñgī duniyā ko ik din sharābīye bad mast ānkheñ ye ḍore gulābī
  10. bahār ā.ī hai phir jhūm kar sahāb uṭhākahāñ hai mutrib-e-rangīñ navā rabāb uṭhā
  11. tirā jamāl tirā husn kāmgār rahevo kyā kare na jise dil pe iḳhtiyār rahe
  12. tauba kī nāzishoñ pe sitam ḍhā ke pī gayā''pī''! us ne jab kahā to maiñ ghabrā ke pī gayā
  13. jab bhī ḳhalvat meñ vo yād ā.egāvaqt kā sail ṭhahar jā.egā
  14. jab ruḳh-e-husn se naqāb uṭhāban ke har zarra āftāb uṭhā
  15. jabīñ kī dhūl jigar kī jalan chhupā.egāshurū-e-ishq hai vo fitratan chhupā.egā
  16. jo le ke un kī tamannā ke ḳhvāb niklegāba ijz shauq ba hāl-e-ḳharāb niklegā
  17. jīne ke liye jo mar rahe haiñāġhāz-e-hayāt kar rahe haiñ
  18. hausle māyūs zauq-e-justujū nākām haiye dil-e-nā mahram anjām kā anjām hai
  19. ra.anā.ī-e-kaunain se be zār hameñ theham the tire jalvoñ ke talab gār hameñ the
  20. rindān-e-tishna kām ko jā kar ḳhabar kareñā.ī bahār abr-e-karam par nazar kareñ
  21. rang tahzīb-o-tamaddun ke shanāsā ham bhī haiñsūrat-e-ā.īna marhūn-e-tamāshā ham bhī haiñ
  22. rahe jo zindagī meñ zindagī kā āsrā ho karvahī nikle sarīr ārā qayāmat meñ ḳhudā ho kar
  23. zindagī meñ us ko kaif-e-zindagī hāsil nahīñjis kā dil rāz-o-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ
  24. soz-e-junūñ ko dil kī ġhizā kar diyā gayāik zahr-e-jāñ talab ko davā kar diyā gayā
  25. ishq ko taqlīd se āzād kardil se girya ānkh se fariyād kar
  26. kabhī kabhī jo vo ġhurbat kade meñ ā.e haiñmire bahe hue ānsū jabīñ pe lā.e haiñ
  27. kuchh is tarah se tasavvur meñ ā rahā hai koīcharāġh rūh meñ jaise jalā rahā hai koī
  28. kuchh log jo savār haiñ kāġhaz kī nā.o partohmat tarāshte haiñ havā ke dabā.o par
  29. karte karte imtizāj-e-ka.aba-o-but ḳhāna hamis jagah pahuñche ke ho kar rah ga.e dīvāna ham
  30. kal rāt kuchh ajīb samāñ ġham kade meñ thāmaiñ jis ko ḍhūñḍhtā thā mire ā.īne meñ thā
  31. kahāñ mahfil meñ mujh tak bāda-e-gulfām ātā haijo merā nām ātā hai to ḳhālī jām ātā hai
  32. mujhe pūchhā hai ā kar tum ne is aḳhlāq-e-kāmil seke maiñ sharminda ho kar rah gayā andāza-e-dil se
  33. mire miṭāne kī tadbīr thī hijāb na thāvagarna kaun se din husn-e-be naqāb na thā
  34. mil mil ke dostoñ ne vo dī hai daġhā mujheab ḳhud pe bhī nahīñ hai gumān-e-vafā mujhe
  35. mausam se rang-o-bū haiñ ḳhafā dekhte chaloye kyā chalī chaman meñ huā dekhte chalo
  36. na sev honṭ na ḳhvāboñ meñ sadā do ham komaslahat kā ye taqāzā hai bhulā do ham ko
  37. vafā kā ahd thā dil ko sambhālne ke liyevo hañs paṛe mujhe mushkil meñ ḍālne ke liye
  38. vafā.eñ kar ke jafā.oñ kā ġham uṭhā.e jāisī tarah se zamāne ko āzmā.e jā
  39. hujūm-e-ranj se dil ko masarrat hotī jātī haike mujh par ā.īna apnī haqīqat hotī jātī hai
  40. hazāroñ ġham haiñ is manzil meñ manzil dekhne vālekaleja thām le apnā mirā dil dekhne vāle
  41. ham se ulfat jatā.ī jātī haibe qarārī baṛhā.ī jātī hai
  42. hangāma-e-ḳhudī se to be niyāz ho jāgum ho ke be ḳhudī meñ āgāh rāz ho jā
  43. yūñ na mil mujh se ḳhafā ho jaisesāth chal mauj-e-sabā ho jaise
  44. ye to nahīñ ke tum se mohabbat nahīñ mujheitnā zarūr hai ke shikāyat nahīñ mujhe
  45. āj us ne hañs ke yūñ pūchhā mizājumr bhar ke ranj-o-ġham yād ā ga.e
  46. ehsān apnā koī bure vaqt kā nahīñahbāb be vafā haiñ ḳhudā be niyāz hai
  47. ehsān aisā talḳh javāb-e-vafā milāham is ke ba.ad phir koī armāñ na kar sake
  48. ol avval jab mujhe jaur āshnā samjhā thā maiñāj samjhā hūñ jo samjhā thā bajā samjhā thā maiñ
  49. tum sāda mizājī se miṭe phirte ho jis parvo shaḳhs to duniyā meñ kisī kā bhī nahīñ hai
  50. dil kī shaguftagī ke sāth rāhat mai kada ga.īfursat mai kashī to hai hasrat mai kashī nahīñ