اظہار صداقت میں اثر کیوں نہیں ہوتا
Ehsan Danish (1914–1982)اظہار صداقت میں اثر کیوں نہیں ہوتا
اب میری طرف ان کا گزر کیوں نہیں ہوتا
خوشبو کا یہ بکھراؤ بھی توہین چمن ہے
احساس تجھے باد سحر کیوں نہیں ہوتا
کیوں فکر سے محروم ہیں اس دور کی نسلیں
پہلا سا زبانوں میں اثر کیوں نہیں ہوتا
جو بات ادھر ہے وہ ادھر کیوں نہیں جاتی
جو کرب ادھر ہے وہ ادھر کیوں نہیں ہوتا
اس شہر زبوں حال میں تخریب کا احساس
ہونا تو ضروری ہے مگر کیوں نہیں ہوتا
فنکار اسی کشمکش وقت میں گم ہیں
بازار خریدار ہنر کیوں نہیں ہوتا
اللہ کو کرتے ہیں مصیبت میں سبھی یاد
یہ ورد مگر شام و سحر کیوں نہیں ہوتا
خودبیں ہیں سبھی اور یہ بتانے سے ہیں معذور
آئینے سے نقصان نظر کیوں نہیں ہوتا
پیشانیٔ کہسار پہ سورج کا ہے میلاد
وادی میں مگر شور سحر کیوں نہیں ہوتا
ہو جس کے پیمبر کا گزر عرش بریں پر
امت کا ستاروں میں سفر کیوں نہیں ہوتا
حیراں ہوں کہ اقبالؔ کی تعلیم کا دانشؔ
اس شہر کے لوگوں پہ اثر کیوں نہیں ہوتا
izhar-e-sadaqat mein asar kyun nahin hota
ab meri taraf un ka guzar kyun nahin hota
khushbu ka ye bakhrao bhi tauhin-e-chaman hai
ehsas tujhe bad-e-sahar kyun nahin hota
kyun fikr se mahrum hain is daur ki naslen
pahla sa zabanon mein asar kyun nahin hota
jo bat idhar hai wo idhar kyun nahin jati
jo karb idhar hai wo idhar kyun nahin hota
is shahr-e-zabun hal mein takhrib ka ehsas
hona to zaruri hai magar kyun nahin hota
fankar isi kashmakash-e-waqt mein gum hain
bazar kharidar hunar kyun nahin hota
allah ko karte hain musibat mein sabhi yad
ye wird magar sham-o-sahar kyun nahin hota
khudbin hain sabhi aur ye batane se hain maazur
aine se nuqsan nazar kyun nahin hota
peshani-e-kohsar pe suraj ka hai milad
wadi mein magar shor-e-sahar kyun nahin hota
ho jis ke payambar ka guzar arsh-e-barin par
ummat ka sitaron mein safar kyun nahin hota
hairan hun ke iqbal ki taalim ka danish
is shahr ke logon pe asar kyun nahin hota