Poet
Ehsan Danish
1914–1982
Poems
- رہتا نہیں انسان تو مٹ جاتا ہے غم بھیسو جائیں گے اک روز زمیں اوڑھ کے ہم بھیrahtā nahīñ insān to miṭ jātā hai ġham bhīso jā.eñge ik roz zamīñ oṛh ke ham bhī
- زخم پہ زخم کھا کے جی اپنے لہو کے گھونٹ پیآہ نہ کر لبوں کو سی عشق ہے دل لگی نہیںzaḳhm pe zaḳhm khā ke jī apne lahū ke ghūñṭ pīāh na kar laboñ ko sī ishq hai dil lagī nahīñ
- ستا لو مجھے زندگی میں ستا لوکھلے گا پس مرگ احسان کیا تھاsatā lo mujhe zindagī meñ satā lokhulegā pas-e-marg ehsān kyā thā
- ضبط بھی صبر بھی امکان میں سب کچھ ہے مگرپہلے کم بخت مرا دل تو مرا دل ہو جائےzabt bhī sabr bhī imkān meñ sab kuchh hai magarpahle kam baḳht mirā dil to mirā dil ho jā.e
- کس کس کی زباں روکنے جاؤں تری خاطرکس کس کی تباہی میں ترا ہاتھ نہیں ہےkis kis kī zabāñ rokne jā.ūñ tirī ḳhātirkis kis kī tabāhī meñ tirā hāth nahīñ hai
- میں جس رفتار سے طوفاں کی جانب بڑھتا جاتا ہوںاسی رفتار سے نزدیک ساحل ہوتا جاتا ہےmaiñ jis raftār se tūfāñ kī jānib baṛhtā jātā hūñisī raftār se nazdīk sāhil hotā jātā hai
- میں حیراں ہوں کہ کیوں اس سے ہوئی تھی دوستی اپنیمجھے کیسے گوارہ ہو گئی تھی دشمنی اپنیmaiñ hairāñ hūñ ke kyūñ us se huī thī dostī apnīmujhe kaise gavāra ho ga.ī thī dushmanī apnī
- نہ جانے محبت کا انجام کیا ہےمیں اب ہر تسلی سے گھبرا رہا ہوںna jāne mohabbat kā anjām kyā haimaiñ ab har tasallī se ghabrā rahā hūñ
- یہ اڑی اڑی سی رنگت یہ کھلے کھلے سے گیسوتری صبح کہہ رہی ہے تری رات کا فسانہye uṛī uṛī sī rangat ye khule khule se gesūtirī sub.h kah rahī hai tirī rāt kā fasāna
- یہ کون ہنس کے صحن چمن سے گزر گیااب تک ہیں پھول چاک گریباں کئے ہوئےye kaun hañs ke sehn-e-chaman se guzar gayāab tak haiñ phūl chāk-e-garebāñ kiye hue