Poet
صفدر مرزا پوری
Poems
- آنکھ جب ساقی پہ ڈالی جائے گیپھر طبیعت کیا سنبھالی جائے گیānkh jab sāqī pe ḍālī jā.egīphir tabī.at kyā sambhālī jā.egī
- اس قدر دور سمجھنے لگے وہ دل سے مجھےموت کیا نیند بھی اب آئے گی مشکل سے مجھےis qadar dūr samajhne lage vo dil se mujhemaut kyā nīnd bhī ab ā.egī mushkil se mujhe
- بھولے پن سے یہ اسے محفل جاناں سمجھاحشر کی خوب حقیقت دل ناداں سمجھاbhūle pan se ye use mahfil jānāñ samjhāhashr kī ḳhūb haqīqat dil-e-nādāñ samjhā
- پوچھتے ہیں تری حسرت کیا ہےآج مجھ پر یہ عنایت کیا ہےpūchhte haiñ tirī hasrat kyā haiāj mujh par ye ināyat kyā hai
- تربت پہ وہ جو آئے تو عالم نیا ہواپھولوں میں جان پڑ گئی سبزہ ہرا ہواturbat pe vo jo ā.e to ālam nayā huāphūloñ meñ jān paṛ ga.ī sabza harā huā
- جب سے آباد کیا قیس نے ویرانے کوچھیڑنے آتی ہے لیلیٰ ترے دیوانے کوjab se ābād kiyā qais ne vīrāne kochheṛne ātī hai lailā tire dīvāne ko
- جب کسی لائق نہیں ہم جب کسی قابل نہیںموت بہتر ایسے جینے سے تو کچھ حاصل نہیںjab kisī lā.iq nahīñ ham jab kisī qābil nahīñmaut behtar aise jīne se to kuchh hāsil nahīñ
- جلوہ اس بت کا چراغ رہ عرفاں نکلادیر سے ہو کے برہمن بھی مسلماں نکلاjalva us but kā charāġh-e-rah-e-irfāñ niklāder se ho ke barahman bhī musalmāñ niklā
- چھپنے والے یہ بھی چھپنے کا کوئی انداز ہےتو ہے پردے میں مگر باہر تری آواز ہےchhupne vāle ye bhī chhupne kā koī andāz haitū hai parde meñ magar bāhar tirī āvāz hai
- حسینوں پر کسی کا جب دل ناشاد آتا ہےہمیں اپنی جوانی کا زمانہ یاد آتا ہےhasīnoñ par kisī kā jab dil-e-nāshād ātā haihameñ apnī javānī kā zamāna yād ātā hai
- دل میں پہلے تو کھٹکتا نہ تھا ارماں کوئیرہ گیا ٹوٹ کے شاید ترا پیکاں کوئیdil meñ pahle to khaṭaktā na thā armāñ koīrah gayā ṭūṭ ke shāyad tirā paikāñ koī
- دور مجھ تک نہیں آتا کبھی پیمانے کاکچھ عجب رنگ ہے ساقی ترے میخانے کاdūr mujh tak nahīñ ātā kabhī paimāne kākuchh ajab rang hai sāqī tire maiḳhāne kā
- دیکھا ادھر کسی نے ادھر میں نے آہ کیتڑپا رہی ہے قلب کو بجلی نگاہ کیdekhā idhar kisī ne idhar maiñ ne āh kītaṛpā rahī hai qalb ko bijlī nigāh kī
- رکھے ہیں آپ ہاتھ جہاں اب وہاں نہیںہم کیا بتائیں درد کہاں ہے کہاں نہیںrakhe haiñ āp hāth jahāñ ab vahāñ nahīñham kyā batā.eñ dard kahāñ hai kahāñ nahīñ
- سونے دیتا نہیں شب بھر دل بیمار مجھےدرد نے اٹھ کے پکارا ہے کئی بار مجھےsone detā nahīñ shab bhar dil-e-bīmār mujhedard ne uṭh ke pukārā hai ka.ī bār mujhe
- ضرور بام پر آئے وہ بے نقاب کہیںنظر مجھے نہیں آتا ہے آفتاب کہیںzarūr bām par ā.e vo be naqāb kahīñnazar mujhe nahīñ ātā hai āftāb kahīñ
- عنایت اس قدر اللہ اکبر اپنے بسمل پرکلیجے پر کبھی وہ ہاتھ رکھتے ہیں کبھی دل پرināyat is qadar allāh akbar apne bismil parkaleje par kabhī vo hāth rakhte haiñ kabhī dil par
- کس کے کھوئے ہوئے اوسان چلے آتے ہیںوہ جو یوں بے سر و سامان چلے آتے ہیںkis ke khoe hue ausān chale āte haiñvo jo yūñ be sar-o-sāmān chale āte haiñ
- کلیجہ منہ کو آتا ہے کریں تم سے بیاں کیونکرنہ پوچھو ہم صفیرو ہم سے چھوٹا آشیاں کیونکرkaleja muñh ko ātā hai kareñ tum se bayāñ kyūñkarna pūchho ham safīro ham se chhoṭā āshiyāñ kyūñkar
- کوئی تو بات ہے یا رب ہوائے کوے جاناں میںاسیروں کو ذرا تسکین ہو جاتی ہے زنداں میںkoī to bāt hai yā rab havā-e-kavve jānāñ meñasīroñ ko zarā taskīn ho jātī hai zindāñ meñ
- کیوں خال رخ محبوب کا احساں ہوتادل جلا تھا تو چراغ شب ہجراں ہوتاkyūñ ḳhāl-e-ruḳh mahbūb kā ehsāñ hotādil jalā thā to charāġh-e-shab-e-hijrāñ hotā
- گرائیں گی یہ بجلی جس طرف ان کا گزر ہوگامری آہوں میں بھی ان کی نگاہوں کا اثر ہوگاgirā.eñgī ye bijlī jis taraf un kā guzar hogāmirī āhoñ meñ bhī un kī nigāhoñ kā asar hogā
- گیا اب آفتاب حشر کا بھی جلوہ گر ہوناشب فرقت ہماری ہے یہ کیا جانے سحر ہوناgayā ab āftāb-e-hashr kā bhī jalva gar honāshab-e-furqat hamārī hai ye kyā jāne sahar honā
- مجھ کو یہ چھیڑ کہ تم سے بھی حسیں ہوتے ہیںان کو یہ ضد کہ دکھا دو جو کہیں ہوتے ہیںmujh ko ye chheṛ ke tum se bhī hasīñ hote haiñun ko ye zid ke dikhā do jo kahīñ hote haiñ
- میں جو مر جاؤں عجب عالم رہےغم کو بھی مرنے کا میرے غم رہےmaiñ jo mar jā.ūñ ajab ālam raheġham ko bhī marne kā mere ġham rahe
- نیا عالم نظر آتا جو میں محو فغاں ہوتازمیں زیر قدم ہوتی نہ سر پر آسماں ہوتاnayā ālam nazar ātā jo maiñ mahv-e-fuġhāñ hotāzamīñ zer-e-qadam hotī na sar par āsmāñ hotā
- وعدہ رہا نہ یاد مرے مست خواب کواب کیا جواب دوں دل پر اضطراب کوva.ada rahā na yād mire mast-e-ḳhvāb koab kyā javāb dūñ dil par iztirāb ko
- وہ چل کے ناز سے اے دل ادھر کو دیکھتے ہیںہم ان کی چال کو ان کی نظر کو دیکھتے ہیںvo chal ke nāz se ai dil idhar ko dekhte haiñham un kī chāl ko un kī nazar ko dekhte haiñ
- ہمارے زخم کی کیا فکر چارہ جو کرتےتمہیں نے چاک کیا ہے تمہیں رفو کرتےhamāre zaḳhm kī kyā fikr chāra jo kartetumheñ ne chāk kiyā hai tumheñ rafū karte
- ہوئی ہے زندگانی دشت غربت میں بسر میریوطن میں جب نہ پہنچا میں تو کیا پہنچے خبر میریhuī hai zindagānī dasht-e-ġhurbat meñ basar merīvatan meñ jab na pahuñchā meñ to kyā pahuñche ḳhabar merī
- ذرا بھی دم ترے بیمار ناتواں میں نہیںمکاں میں یوں ہے کہ جیسے کوئی مکاں میں نہیںzarā bhī dam tire bīmār nātavāñ meñ nahīñmakāñ meñ yūñ hai ke jaise koī makāñ meñ nahīñ
- کیوں کہہ رہے ہو نزع میں ہم سے خفا نہ ہواس کو فریب دو جو تمہیں جانتا نہ ہوkyūñ kah rahe ho naza.a meñ ham se ḳhafā na hous ko fareb-e-do jo tumheñ jāntā na ho
- میری صورت کو دیکھو کچھ نہ پوچھو ماجرا میراکہ جو گزری ہے مجھ پر خوب واقف ہے خدا میراmerī sūrat ko dekho kuchh na pūchho mājrā merāke jo guzrī hai mujh par ḳhūb vāqif hai ḳhudā merā