Poet
Parveen Umm-e-Mushtaq
پروین ام مشتاقb. 1866
Poems
- اب کوئی ترا مثل نہیں ناز و ادا میںانداز میں شوخی میں شرارت میں حیا میںab koī tirā misl nahīñ nāz-o-adā meñandāz meñ shoḳhī meñ sharārat meñ hayā meñ
- بازی پہ دل لگا ہے کوئی دل لگی نہیںیہ بھی ہے کوئی بات کبھی ہاں کبھی نہیںbāzī pe dil lagā hai koī dil lagī nahīñye bhī hai koī bāt kabhī hāñ kabhī nahīñ
- بدلی ہوئی ہے چرخ کی رفتار آج کلہو بند راست گوئی کا بازار آج کلbadlī huī hai charḳh kī raftār āj kalho band-e-rāst goī kā bāzār āj kal
- بہت دن درس الفت میں کٹے ہیںمحبت کے سبق برسوں رٹے ہیںbahut din dars-e-ulfat meñ kaṭe haiñmohabbat ke sabaq barsoñ raṭe haiñ
- بہت سے زمیں میں دبائے گئے ہیںبہت ان کے عاشق جلائے گئے ہیںbahut se zamīñ meñ dabā.e ga.e haiñbahut un ke āshiq jalā.e ga.e haiñ
- بہت ہی صاف و شفاف آ گیا تقدیر سے کاغذتمہارے واسطے لایا ہوں میں کشمیر سے کاغذbahut hī sāf-o-shaffāf ā gayā taqdīr se kāġhaztumhāre vāste lāyā hūñ maiñ kashmīr se kāġhaz
- پوشاک نہ تو پہنیو اے سرو رواں سرخہو جائے نہ پرتو سے ترے کون و مکاں سرخposhāk na to pahaniyo ai sarv ravāñ surḳhho jā.e na partau se tire kaun-o-makāñ surḳh
- پہلو و پشت و سینہ و رخسار آئنہہے رزم گاہ حسن کا یہ چار آئنہpahlū-o-pusht-o-sīna-o-ruḳhsār ā.īnahai razm gāh-e-husn kā ye chār ā.īna
- پھیلا ہوا ہے باغ میں ہر سمت نور صبحبلبل کے چہچہوں سے ہے ظاہر سرور صبحphailā huā hai bāġh meñ har samt nūr-e-sub.hbulbul ke chahchahoñ se hai zāhir surūr-e-sub.h
- جاتا رہا قلب سے ساری خدائی کا عشققابل تعریف ہے تیرے فدائی کا عشقjātā rahā qalb se sārī ḳhudā.ī kā ishqqābil-e-ta.arīf hai tere fidā.ī kā ishq
- جس طرح دو جہاں میں خدا کا نہیں شریکتیرے جمال میں نہیں کوئی حسیں شریکjis tarah do jahāñ meñ ḳhudā kā nahīñ sharīktere jamāl meñ nahīñ koī hasīñ sharīk
- جو چار آدمیوں میں گناہ کرتے ہیںخدا کی دی ہوئی عزت تباہ کرتے ہیںjo chār ādmiyoñ meñ gunāh karte haiñḳhudā kī dī huī izzat tabāh karte haiñ
- جو دل مرا نہیں مجھے اس دل سے کیا غرضچلنی نہ ہو جو راہ تو منزل سے کیا غرضjo dil mirā nahīñ mujhe is dil se kyā ġharazchalnī na ho jo rāh to manzil se kyā ġharaz
- خدا کے فضل سے ہم حق پہ ہیں باطل سے کیا نسبتہمیں تم سے تعلق ہے مہ کامل سے کیا نسبتḳhudā ke fazl se ham haq pe haiñ bātil se kyā nisbathameñ tum se ta.alluq hai mah-e-kāmil se kiyā nisbat
- دل پکارا پھنس کے کوئے یار میںروک رکھا ہے مجھے گل زار میںdil pukārā phañs ke kū-e-yār meñrok rakhā hai mujhe gul zār meñ
- دل میں تیر عشق ہے اور فرق پر شمشیر عشقکیا بتائیں پڑ گئی ہے پاؤں میں زنجیر عشقdil meñ tīr-e-ishq hai aur farq par shamshīr ishqkyā batā.eñ paṛ ga.ī hai pā.oñ meñ zanjīr-e-ishq
- دیکھو تو ذرا غضب خدا کاظالم نے مجھی کو پہلے تاکاdekho to zarā ġhazab ḳhudā kāzālim ne mujhī ko pahle tākā
- زباں ہے بے خبر اور بے زباں دلکہے کس طرح سے راز نہاں دلzabāñ hai be ḳhabar aur be zabāñ dilkahe kis tarah se rāz-e-nihāñ dil
- غریب آدمی کو ٹھاٹ پادشاہی کایہ پیش خیمہ ہے ظالم تری تباہی کاġharīb ādmī ko ṭhāṭ pādshāhī kāye pesh-e-ḳhema hai zālim tirī tabāhī kā
- کچھ طبیعت آج کل پاتا ہوں گھبرائی ہوئیشہر بھر میں ہے اداسی ہر طرف چھائی ہوئیkuchh tabī.at āj kal pātā hūñ ghabrā.ī huīshahr bhar meñ hai udāsī har taraf chhā.ī huī
- کریں گے ظلم دنیا پر یہ بت اور آسماں کب تکرہے گا پیر یہ کب تک رہوگے تم جواں کب تکkareñge zulm duniyā par ye but aur āsmāñ kab takrahegā pīr ye kab tak rahoge tum javāñ kab tak
- کسی کی کسی کو محبت نہیں ہےابھی اس کی دنیا کو لذت نہیں ہےkisī kī kisī ko mohabbat nahīñ haiabhī us kī duniyā ko lazzat nahīñ hai
- کھلایا پرتو رخسار نے کیا گل سمندر میںحباب آ کر بنے ہر سمت سے بلبل سمندر میںkhilāyā partau ruḳhsār ne kiyā gul samundar meñhabāb ā kar bane har samt se bulbul samundar meñ
- متکبر نہ ہو زردار بڑی مشکل ہےسب ہے آسان یہ سرکار بڑی مشکل ہےmutakabbir na ho zardār baṛī mushkil haisab hai āsān ye sarkār baṛī mushkil hai
- مجھ کو دنیا کی تمنا ہے نہ دیں کا لالچہائے لالچ ہے تو اک ماہ جبیں کا لالچmujh ko duniyā kī tamannā hai na deñ kā lālachhā.e lālach hai to ik māh-e-jabīñ kā lālach
- مجھ کو کیا فائدہ گر کوئی رہا میرے بعدساری مخلوق بلا سے ہو فنا میرے بعدmujh ko kyā fā.ida gar koī rahā mere ba.adsārī maḳhlūq balā se ho fanā mere ba.ad
- محفل میں غیر ہی کو نہ ہر بار دیکھنامیری طرف بھی بھول کے سرکار دیکھناmahfil meñ ġhair hī ko na har bār dekhnāmerī taraf bhī bhūl ke sarkār dekhnā
- میری عزت بڑھ گئی اک پان میںفرق کیا آیا تمہاری شان میںmerī izzat baṛh ga.ī ik pān meñfarq kyā āyā tumhārī shān meñ
- میرے لیے ہزار کرے اہتمام حرصمیں وہ ہوں مجھ پہ ڈال سکے گی نہ دام حرصmere liye hazār kare ehtimām hirsmaiñ vo hūñ mujh pe ḍāl sakegī na dām hirs
- میں چپ رہوں تو گویا رنج و غم نہاں ہوںبولوں تو سر سے پا تک حسرت کی داستاں ہوںmaiñ chup rahūñ to goyā ranj-o-ġham-e-nihāñ hūñbolūñ to sar se pā tak hasrat kī dāstāñ hūñ
- میں چپ کم رہا اور رویا زیادہیقیناً زمیں کم ہے دریا زیادہmaiñ chup kam rahā aur royā ziyādayaqīnan zamīñ kam hai dariyā ziyāda
- نرگسیں آنکھ بھی ہے ابروئے خم دار کے پاسدوسری اور بھی تلوار ہے تلوار کے پاسnargiseñ ānkh bhī hai abrū-e-ḳham dār ke pāsdūsrī aur bhī talvār hai talvār ke pās
- نکالی جائے کس ترکیب سے تقریر کی صورتوہ آئینہ کی صورت اور میں تصویر کی صورتnikālī jā.e kis tarkīb se taqrīr kī sūratvo ā.īna kī sūrat aur maiñ tasvīr kī sūrat
- نہ آیا کر کے وعدہ وصل کا اقرار تھا کیا تھاکسی کے بس میں تھا مجبور تھا لاچار تھا کیا تھاna āyā kar ke va.ada vasl kā iqrār thā kyā thākisī ke bas meñ thā majbūr thā lāchār thā kyā thā
- نیک و بد کی جسے خبر ہی نہیںشر ہے کم بخت وہ بشر ہی نہیںnek-o-bad kī jise ḳhabar hī nahīñshar hai kam baḳht vo bashar hī nahīñ
- وقت پر آتے ہیں نہ جاتے ہیںروز اقرار بھول جاتے ہیںvaqt par āte haiñ na jāte haiñroz iqrār bhūl jāte haiñ
- ہجر میں غم کی چڑھائی ہے الٰہی توبہکیا نصیبے کی برائی ہے الٰہی توبہhijr meñ ġham kī chaṛhā.ī hai ilāhī taubakyā nasībe kī burā.ī hai ilāhī tauba
- ہزار شرم کرو وصل میں ہزار لحاظنہ نبھنے دے گا دل زار و بے قرار لحاظhazār sharm karo vasl meñ hazār lihāzna nibhne degā dil-e-zār-o-be qarār lihāz
- ہے اپنے قتل کی دل مضطر کو اطلاعگردن کو اطلاع نہ خنجر کو اطلاعhai apne qatl kī dil-e-muztar ko ittilāgardan ko ittilā na ḳhanjar ko ittilā
- خاک کر ڈالیں ابھی چاہیں تو مے خانہ کو ہمایک ساغر کو بھرو تم ایک پیمانے کو ہمḳhāk kar ḍāleñ abhī chāheñ to mai ḳhāna ko hamek sāġhar ko bharo tum ek paimāne ko ham
- دل کی چوری میں جو چشم سرمہ سا پکڑی گئیوہ تھا چین زلف میں یہ بے خطا پکڑی گئیdil kī chorī meñ jo chashm-e-surma sā pakṛī ga.īvo thā chain-e-zulf meñ ye be ḳhatā pakṛī ga.ī
- نئے غمزے نئے انداز نظر آتے ہیںدن بہ دن حسن کے اعجاز نظر آتے ہیںna.e ġhamze na.e andāz-e-nazar āte haiñdin ba din husn ke ejāz nazar āte haiñ
- اسی دن سے مجھے دونوں کی بربادی کا خطرہ تھامکمل ہو چکے تھے جس گھڑی ارض و سما بن کرusī din se mujhe donoñ kī barbādī kā ḳhatra thāmukammal ho chuke the jis ghaṛī arz-o-samā ban kar
- اہل دنیا باؤلے ہیں باؤلوں کی تو نہ سننیند اڑاتا ہو جو افسانہ اس افسانہ سے بھاگahl-e-duniyā bā.ole haiñ bā.oloñ kī to na sunnīnd uṛātā ho jo afsāna is afsāna se bhāg
- بال رخساروں سے جب اس نے ہٹائے تو کھلادو فرنگی سیر کو نکلے ہیں ملک شام سےbāl ruḳhsāroñ se jab us ne haṭā.e to khulādo farangī sair ko nikle haiñ mulk-e-shām se
- ٹھہر جاؤ بوسے لینے دو نہ توڑو سلسلہایک کو کیا واسطہ ہے دوسرے کے کام سےṭhahar jā.o bose lene do na toṛo silsilaek ko kyā vāsta hai dūsre ke kām se
- جنوں ہوتا ہے چھا جاتی ہے حیرتکمال عقل اک دیوانہ پن ہےjunūñ hotā hai chhā jātī hai hairatkamāl-e-aql ik dīvāna pan hai
- چبھیں گے زیرہ ہائے شیشۂ دل دست نازک میںسنبھل کر ہاتھ ڈالا کیجیے میرے گریباں پرchubheñge zīra hā-e-shīsha-e-dil dast-e-nāzuk meñsambhal kar hāth ḍālā kījiye mere garebāñ par
- دلوایئے بوسہ دھیان بھی ہےاس قرضۂ واجب الادا کا
- زاہد سنبھل غرور خدا کو نہیں پسندفرش زمیں پہ پاؤں دماغ آسمان پرzāhid sambhal ġhurūr-e-ḳhudā ko nahīñ pasandfarsh-e-zamīñ pe pā.oñ dimāġh āsmān par