کسی کی کسی کو محبت نہیں ہے
Parveen Umm-e-Mushtaq (b. 1866)کسی کی کسی کو محبت نہیں ہے
ابھی اس کی دنیا کو لذت نہیں ہے
اگر تم کو ملنے کی فرصت نہیں ہے
مجھے بھی زیادہ ضرورت نہیں ہے
بہت خوش نما ہے گلستان عالم
مگر سیر کرنے کی فرصت نہیں ہے
بہت سے گھروں میں خزانے ہیں مدفوں
نہیں ہے تو گنج قناعت نہیں ہے
کہاں تک نہ بے ہوش و بے خود کرے گی
مئے وصل ہے کوئی شربت نہیں ہے
خیالات میں اپنے ہوں غرق واعظ
مجھے کہنے سننے کی فرصت نہیں ہے
دکھاتے نہیں شرم سے روئے روشن
کوئی کامیابی کی صورت نہیں ہے
تزلزل میں کس واسطے ہے زمانہ
شب ہجر ہے یہ قیامت نہیں ہے
کہاں اے پری تو کہاں حور جنت
تری اس کی آپس میں نسبت نہیں ہے
مری قمریوں کے سوا کون انساں
یہ شمشاد ہے اس کی قامت نہیں ہے
وہ اٹھے تو لاکھوں ہی فتنے اٹھیں گے
وہ قامت بھی کم از قیامت نہیں ہے
نہ کیوں دل لگے یاں وہ ہے اور خلوت
یہ حورا نہیں ہے یہ جنت نہیں ہے
جفائیں نہ کیجے نہ کیجے نہ کیجے
تحمل کی اب مجھ کو طاقت نہیں ہے
تلاطم میں مصروف ہے قطرہ قطرہ
کوئی شے یہاں بے حقیقت نہیں ہے
جہاں تک بنے تم سے بیداد کر لو
اگر آنے والی قیامت نہیں ہے
لرزتا ہے کیوں ڈر سے اے جسم لاغر
یہ دھڑکا ہے دل کا قیامت نہیں ہے
حسینوں کی چاہت حسینوں کی الفت
مصیبت بھی ہے اور مصیبت نہیں ہے
تمہیں عاشق اور مجھ کو معشوق لاکھوں
یہاں آدمیوں کی قلت نہیں ہے
سنبھل کر ذرا ناز و اغماض کیجے
حسینوں کی دنیا میں قلت نہیں ہے
زمانہ میں ہونے کو سب کچھ ہے پرویںؔ
ہمیں کیا امید شفاعت نہیں ہے
kisi ki kisi ko mohabbat nahin hai
abhi us ki duniya ko lazzat nahin hai
agar tum ko milne ki fursat nahin hai
mujhe bhi ziyada zarurat nahin hai
bahut khush numa hai gulistan-e-alam
magar sair karne ki fursat nahin hai
bahut se gharon mein khazane hain madfun
nahin hai to ganj-e-qanaat nahin hai
kahan tak na be hosh-o-be khud karegi
mai-e-wasl hai koi sharbat nahin hai
khayalat main apne hun gharq-e-waiz
mujhe kahne sunne ki fursat nahin hai
dikhate nahin sharm se ru-e-raushan
koi kamyabi ki surat nahin hai
tazalzul mein kis waste hai zamana
shab-e-hijr hai ye qayamat nahin hai
kahan ai pari to kahan hur-e-jannat
tiri us ki apas mein nisbat nahin hai
miri qamariyon ke siwa kaun insan
ye shamshad hai us ki qamat nahin hai
wo uthe to lakhon hi fitne uthenge
wo qamat bhi kam az qayamat nahin hai
na kyun dil lage yan wo hai aur khalwat
ye hora nahin hai ye jannat nahin hai
jafaen na kije na kije na kije
tahammul ki ab mujh ko taqat nahin hai
talatum mein masruf hai qatra qatra
koi shai yahan be haqiqat nahin hai
jahan tak bane tum se bedad kar lo
agar ane wali qayamat nahin hai
larazta hai kyun dar se ai jism-e-laghar
ye dharka hai dil ka qayamat nahin hai
hasinon ki chahat hasinon ki ulfat
musibat bhi hai aur musibat nahin hai
tumhen ashiq aur mujh ko maashuq lakhon
yahan admiyon ki qillat nahin hai
sambhal kar zara naz-o-aghmaz kije
hasinon ki duniya mein qillat nahin hai
zamana mein hone ko sab kuchh hai parwin
hamen kya ummid-e-shafaat nahin hai